dhoondta hai.. -
5th July 2004, 11:36 PM
lehron se ghabra kar wo bahar aa gaya lekin
tab se kinare pe har or ek toofan dhoondta hai
mil to jaye insan ko khuda bhi par majboori hai iski
jahan isse zamin milti hai wahin aasman dhoondta hai
ik mahman nawazi ki taarif thi jo suni thi usne
aaj talak mehmaan ke ghar mezbaan dhoondta hai
anubhav hai aisa shatranj ki chalon ka uska
farzon ki basti mein roz naya ehsaan dhoondta hai
jismon ka pata de do ruhon ka kya karoge
wo bavara ishq mein apni pehchan dhoondta hai
dil-e-nadan kaun samjhaye tujhe guzre waqt ke khel
kyun aasman mein parindon ke nishan dhoondta hai
its better to get hated for what you are than to get loved for what you are not.......
hamne chot zara si khayi to hamne do char likhe,
unpe bhala kya guzri hogi jinhone sher hazaar likhe
Last edited by mani_unique; 5th July 2004 at 11:38 PM..
|