Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
..inn sab ke vaaste.
Old
  (#1)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
..inn sab ke vaaste. - 10th July 2006, 02:57 PM

Maazi, Haal aur mustakbill....

Iss naam ke teen nukkad hai aur na jaane kyoN pichle kuch dino se khayaalaat aur mere alfaaz haath mein haath daale inn nukkad ke darmiyaan chakkar lagaa rahe hain....aaj unkaa haath thaam karr poochaa hazraat maajraa kya hai..? to kehne lage....


Main ghar ko choR aaya tha khud Ghar ke vaaste,
paane ko ek *bahaal se manzar ke vaaste.

Ek Deep duur se hi sahi roshni tau de,
aur chaahiye kya tumko rahguzar ke vaaste.

main apni aarzoo ka Qatl karke khush huun ke,
ik juu-e-narm-rau tau hai shajar ke vaaste.

aise bhi hain charaag jinki lau se aaj tak,
Dhundhlaayi aankh roti hai sahar ke vaaste.

Insaan fard fard hai tau soch fard fard,
pinha ke vaaste kahiiN patthar ke vaaste.

abb jism-o-jaan-o-saans-o-raat-o-din ke sath sath,
kuch maal bhi hai kharch-e-humsafar ke vaaste.

hairat nahi ke meri fugaaN be-asar gayee,
Gaafil jahaaN kyuN roye dar-badar ke vaaste.

Sarr nahi jhuktaa kabhi "Talib" ka kisi taur,
jhuktaa hai magar Allah-o-Akbar ke vaaste.


Bahaal=in good condition (ba+haal) opp of be-haal.
juu-e-narm rau=slow flowing river.
fard= different.
pinha = hidden.
fugaan=cry
gaafil=careless
dar-badar= kinda vagabond.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Re: ..inn sab ke vaaste.
Old
  (#2)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: ..inn sab ke vaaste. - 10th July 2006, 03:38 PM

Ek Deep duur se hi sahi roshni tau de,
aur chaahiye kya tumko rahguzar ke vaaste.

WAH...KYA KAHA HAI TAALIB BHAI AAPNE..WAH..WAH...BAHOOOT KHOOOOB...!!!!

Insaan fard fard hai tau soch fard fard,
pinha ke vaaste kahiiN patthar ke vaaste.

abb jism-o-jaan-o-saans-o-raat-o-din ke sath sath,
kuch maal bhi hai kharch-e-humsafar ke vaaste.

WAH...KYA KEHNE....YEHI ANDAAZ AAP KA DIL CHEER LETA HAI..!!

Sarr nahi jhuktaa kabhi "Talib" ka kisi taur,
jhuktaa hai magar Allah-o-Akbar ke vaaste.

WAH....KYA BAAT HAI...YEH SHER BEHAD BEHAD DAMDAAR LAGA,,KHAAS KAR ISMEIN CHUPE AAPKI KHUDDARI KE JAZBAAT..!!!

TAALIB BHAI
aap jab bhi apni gazal ke saath aate hai...fiza mein jaise ek raunaq aa jati hai...aap ka andaaz-e-bayaan mujhe jaatiye taur parbahot pasand hai..yeh gazal aur is mein choope aapke jazbaat bhi mujhe bahoot khaas lage,..,.meri dil se nikli mubaaraqbaad kubool kijiye
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
10th July 2006, 04:28 PM

Namaskaar Taalib Ji,

kaise hain aap? dua hai hamesha hamesha khush rahein.

Aap kamm likhtey hain magar jab bhi likhtey hain tow aas-paas ke maahol mein bilkul alag nazar aate hain. Aur fir wahan aapke shabd hamara ek gehraahi se parichay karaatey hain. Aapke gehre shabdon ko maapna aasaan nahin hai magar maine jab-jab aapko parha tow wahan jaane ki koshish kari jahan aapki nazm.ein humey lejaana chahati hain.

Bas isi tarah likhtey rahiyega.....main aapse bahaut kuch seekhney ki ummeed rakhta hoon.

aapka
v i p i n


विपिन



Last edited by Vipinbox; 10th July 2006 at 04:30 PM..
   
Reply With Quote
Re: ..inn sab ke vaaste.
Old
  (#4)
Diggaj_Dave
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Diggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to behold
 
Diggaj_Dave's Avatar
 
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 26
Re: ..inn sab ke vaaste. - 10th July 2006, 04:31 PM

....

Ek Deep duur se hi sahi roshni tau de,
aur chaahiye kya tumko rahguzar ke vaaste.

main apni aarzoo ka Qatl karke khush huun ke,
ik juu-e-narm-rau tau hai shajar ke vaaste.


Wah.........bohat badhiya


aise bhi hain charaag jinki lau se aaj tak,
Dhundhlaayi aankh roti hai sahar ke vaaste.

Insaan fard fard hai tau soch fard fard,
pinha ke vaaste kahiiN patthar ke vaaste.



Beautifulllllllll..........



hairat nahi ke meri fugaaN be-asar gayee,
Gaafil jahaaN kyuN roye dar-badar ke vaaste.

Sarr nahi jhuktaa kabhi "Talib" ka kisi taur,
jhuktaa hai magar Allah-o-Akbar ke vaaste.



Very very nice.........





Talib jee

Padha aapko kam hi haiN coz aap aaj kal kam hi aate haiN yaha..lekin jab bhi padha aapko padhkar hamesha sukoon mila haiN.sabhi sher bohat pasand aaye

shukriyah..............aate rahiyega hamein aapko padhkar kuch sikhne ko milta rahega


Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
 Send a message via ICQ to Diggaj_Dave Send a message via Yahoo to Diggaj_Dave Send a message via AIM to Diggaj_Dave  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th July 2006, 07:33 PM

Hmmmn Ghalib ke Bhai...

Ek aur zabardast kalaam apki kalam ki tez dhaar se…

Ek Deep duur se hi sahi roshni tau de,
aur chaahiye kya tumko rahguzar ke vaaste

Yeh sher dil-lazeez raha…aur ek purane geet ki lines yaad aayin

khushabuu aatii rahe duur se hii sahii
saamane ho chaman koii kam to nahii.n
chaa.Nd milataa nahii.n sabako sa.Nsaar me.n
hai diyaa hii bahut roshanii ke lie

Insaan fard fard hai tau soch fard fard,
pinha ke vaaste kahiiN patthar ke vaaste.

Bahut khuub! Khuda aur Bhagwaan ko apki shayri mein aksar sath sath paaya hai…

Maine kuchh kaha tau chota munh badi baat hogi… halanki sab ashaar apne aap mein mukammal hain…zara sa rabt aur badhaaya karein sheron ke beech…...shayri ki duniya mein aap bahut aage nikleinge saaf zaahir hai…pinhaa aur patthar se dua bhi hai…


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
10th July 2006, 07:43 PM

Ek Deep duur se hi sahi roshni tau de,
aur chaahiye kya tumko rahguzar ke vaaste.


Namaskar Talib Ji

Aapki rachna ki yeh panktiyaan bahut khoobsurat hain....a kind of inspirational words.......

Duur se hi sahi ek diya to Jaley
Mana uss se Jag ka Andhera na mitey
Par Asha ki ek kiran woh Baney
Duur se hi sahi ek Diya to Jagey


Keep writing
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
10th July 2006, 07:52 PM

Ha Ha Ha....

Sabse pehle iss kuRi (Parastaar ji) ke jawaab ka jawaab de rahaa hoon iss liye inn teeno upar waale mundoN se maufii bhi chaataa huuN..(sorry guys - Manoj, Vipin Bhai ne Mr. Dave Digajj)


Kyaa baat hai madame.. aapko meraa kalaam inta zyaadaa pasand aayaa ke woh dil-lazeez ho gayaa.. ha ha ha.. aisaa lagtaa hai maine bhari mehfil mein koi pakwaan rakh diyaa ho...

it should have been.. dil-azeez..

Well aapkaa jawaab bhi maine kaafi dil-lazeez payaa.. i mean dil-azeez paayaa.. Shurkiyaa aapki daad aur dua dono ka..Apna Khayaal rakhiyega.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#8)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th July 2006, 08:00 PM

you couldn't resist...could you...? chupke se ishaara nahi kiya ja sakta thaa...i could have edited..it was only a typo...bhari mehfil mein...ohhhhhhhh...!!!


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
bhut pyari gazal hai
Old
  (#9)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
bhut pyari gazal hai - 11th July 2006, 03:29 PM

talib bhai jaan ajj raj appka mureed ho gaya...app mujhay apni shagirdee main lelo......kasam say bhut khus likha hai har share purasar thaa......rouh ko sakoon mila.....khaas kar yeh share dil main uttar gaya,......

aise bhi hain charaag jinki lau se aaj tak,
Dhundhlaayi aankh roti hai sahar ke vaaste.........


meri dilli daad kabool kijiye........raj......


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
11th July 2006, 08:15 PM

Quote:
main apni aarzoo ka Qatl karke khush huun ke,
ik juu-e-narm-rau tau hai shajar ke vaaste.

Sarr nahi jhuktaa kabhi "Talib" ka kisi taur,
jhuktaa hai magar Allah-o-Akbar ke vaaste.
Esmail Saaheb:

PurKhulooS tasleemaat,

Aaj aik taveel arse ke ba'd aap ko paRhna naseeb huaa.. aap ne buhat pur.fikr she'r kahe haiN. daad qubool keejiye!

Waah! bohta khoob!

-Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#11)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
12th July 2006, 06:25 AM

talib ji ,
kaise hai aap ? umeed hai ki achhe honge hmm chhithi nahi likhti

main apni aarzoo ka Qatl karke khush huun ke,
ik juu-e-narm-rau tau hai shajar ke vaaste.

aapki kahi baaton ki kya taairf karen hum humne to abhi seekhna hai

ye sher bhaut gahra laga

shrdh


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Old
  (#12)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
12th July 2006, 10:42 AM

Talib saheb

behad khoobsurat ghazel hai yeh aap ki.

is mein aap ne apne makhsoos andaaz mein jis shuguftgi ke saath, jis khud-daari ke saath, apni anaa ki paasdari ke saath, apne dard ka zikr kiyaa hai, voh behad pur-asr hai aur parhne waale per gehraa asar chorta hai.
is ke saath saath ek inkisaari aur khaloos ki jhalak yeh bataati hai ke aap sirf achchay shayer hi naheen balke bohat achchay insaan bhi hain.
aap se istidaa hai ke aap isi tarz per qayem rahiye, Allah aap ko bohat taraqqi aur kaamraani ataa kare gaa.
yehi hamari dua hai yehi tamanna.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
12th July 2006, 02:46 PM

aaghaaz se anjaam tak mashallah bahaut hi umda laga...khas kar ke anjaam toh bahaut hi badhiya tha..

Sarr nahi jhuktaa kabhi "Talib" ka kisi taur,
jhuktaa hai magar Allah-o-Akbar ke vaaste.

aapko jabbhi padha hai dil se waah waahi khud ba khud nikal jaati hai..khuda aapki kalam ke hunar ko yuhin barqaraar rakkhe.
khush rahiye.aabaad rahiye.


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ek Ghazal....Ye Raastain hain tere Vaaste sukanya Shayri-e-Dard 2 19th July 2006 08:09 PM
Khuda ke Vaaste saajan_1545 Shayri-e-Ishq 2 3rd March 2006 09:06 AM
khuda ke vaaste (1) maikasH Shayri-e-Dard 0 20th October 2001 09:00 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com