Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal: apne hisse ki khushiyaan sab udaas aayi...
Old
  (#1)
Pradhyuman
'Bismil'
Pradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant future
 
Pradhyuman's Avatar
 
Offline
Posts: 773
Join Date: Mar 2006
Rep Power: 38
Ghazal: apne hisse ki khushiyaan sab udaas aayi... - 29th September 2011, 08:59 PM

Aadaab dosto,

chand mamooli se ashaar jo ki haal hi meiN likhe hain..arz hai..


behisii ka phir dilaane jo ehsaas aayi
apne hisse ki khushiyaan sab udaas aayi

woh jo aayi hai muhalle ke sabhi ghar hoke
humse kehti hai hamaare liye khaas aayi

jab kabhi dil ne maanga hai aasmaan saara
jo bhi apna tha ho apna bas yehi aas aayi

kaun apna tha zamaane meiN jataane shayad
aakhri dum bhi kam bakhti mere paas aayi

tum to ruthe ho khuda se aise "bismil"
zindagi di jo sab ko hi yahaan raas aayi


Pradhyuman - Bismil


-------------------------------------------------

gore ghareeban hai ye 'bismil', kyun tu naashaad nazar aata hai?
musht-e-khaak hai basi yahan, bata kahan fuwaad nazar aata hai?
--------------------------------------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
30th September 2011, 02:27 PM

Boht Khooob Ghazal Hui Hai Ji....




Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
30th September 2011, 02:36 PM

Quote:
Originally Posted by Pradhyuman View Post
Aadaab dosto,

chand mamooli se ashaar jo ki haal hi meiN likhe hain..arz hai..


behisii ka phir dilaane jo ehsaas aayi
apne hisse ki khushiyaan sab udaas aayi

woh jo aayi hai muhalle ke sabhi ghar hoke
humse kehti hai hamaare liye khaas aayi

jab kabhi dil ne maanga hai aasmaan saara
jo bhi apna tha ho apna bas yehi aas aayi

kaun apna tha zamaane meiN jataane shayad
aakhri dum bhi kam bakhti mere paas aayi

tum to ruthe ho khuda se aise "bismil"
zindagi di jo sab ko hi yahaan raas aayi


Pradhyuman - Bismil


Behad khuubsurat AasharoN se milwaaya aapne,.. wese to saari ghazal hi kaabile tareef rahi hai magar jo sher mujhe sabse khaas lagaa wo ye hai..

jab kabhi dil ne maanga hai aasmaan saara
jo bhi apna tha ho apna bas yehi aas aayi


likhte raheN.. khush raheN..

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
30th September 2011, 03:33 PM

Bismil Ji …….. Aap Ki Ye Ghazal Boht Khooob Rahi…… Achi Soch Or Andaz-e-Bayan Bhi Khoob Hai…Meri Taraf Se Daad Qabool Farmayen…..

behisii ka phir dilaane jo ehsaas aayi
apne hisse ki khushiyaan sab udaas aayi


Bs Is Ghazal Ka Matla Theak Se Nahi Khul Saka Mujh Pr….. Shayad Ye Meri Naqas Samjh Hai… Magar Is Baray Me Kuch Arz Krna Chahta Hun…..

1- Aap Ne Pehlay Misray Me Lafz "Behisi" Istemaal Kia Hai… Mere Khayal Me Agar Ye Be-Basi Hota To Ziada Theak Tha….

2- Sani Misray Me Aap Ne Kaha Ke Apnay Hissay ki Khushian Sab Udaas Aayi… Mujhy Samjh Nahi Aa Saki Ke Khushian Kaisay Udaas Aati Hain… Khushi To Khushi Hee Hoti Hai…..

3- Is Ke Ilawa Aap Ne Qafiya Or Radeef Me "Waahid" Ka Seegha Chuna Hai… Jaisay "Udaas Aayi" Raas Aayi…. Magar Isi Sher Ke Saci Misra Me Aap Keh Rahay Hain Ke Khushian Udaas Aayi…. Khushian To Jama Hai Or Un Ke Sath Waahid Ka Seegha Kaisay Lag Sakta Hai…?

Aap Aisa Keh Saktay Hain……

Be-Basi Ka Phir Jo Dilanay Ahsaas Aayi
Apni Hissay Ki Khushi Kam Hamen Raas Aayi

Agar Aap Ko Meri Baat Theak Lagay To Aik Baar Ghaur Zarur Kijiye Ga…. Nahi To Aap Meri Islaah Farma Dijiye Ga…Meri Kisi Bhi Baat se Aap Naraz Nahona Plzzzz……. Mujhy Jo Mehsus Hua Me Ne Keh Dia….Aik Baar Phir Baqi Ashaar Ke Liye Daad Qabool Farmayen …. Khush Rahen….




Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Pradhyuman
'Bismil'
Pradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant future
 
Pradhyuman's Avatar
 
Offline
Posts: 773
Join Date: Mar 2006
Rep Power: 38
30th September 2011, 06:29 PM

shaad bhai,

bahot bahot shukriyaa aapka...hamesha khush rahen

aapka dost,
Pradhyuman

ahamad bhai,

bahot bahot shukriyaa aapka ki aapne apni baat yahaan rakhi..acha laga padhkar...

behisii ka phir dilaane jo ehsaas aayi
apne hisse ki khushiyaan sab udaas aayi


iss sher ke maaine yeh hai ki mujhme ehsaas hai hi nahi..iss baat ka ehsaas dilaane aaye ho waise mere hisse ki khushiyaan udaas aayi..khushi aapko khush karne aati hai..magar khud kya khushi se aati hai??..baat thodi kaalpanik hai..maslan bas use aana tha (majboori meiN) to aa gayi..ab lekhak to apni soch ka daayra aam zabaan aur samjh se aage le hi ja sakta hai..magar haan yeh baat maiN gar theek se keh nahi paaya to woh meri hi galti hai..

jo aapne aayi pe kahaa woh interesting laga..khushiyaan aayeN (plural) hona chahiye..aur khushi aayi (singular) hona chahiye..

phir se ek koshish karta hun..(bebasi nahi behisi hi kehna chaah rahaa hun..)

behisi ka phir dilaane jo ehsaas aayi
apne hisse ki khushi bhi ab udaas aayi

aapki raaey zaroor chahiye hogi

aapka dost,
Pradhyuman


-------------------------------------------------

gore ghareeban hai ye 'bismil', kyun tu naashaad nazar aata hai?
musht-e-khaak hai basi yahan, bata kahan fuwaad nazar aata hai?
--------------------------------------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
3rd October 2011, 11:49 AM

Bismil JI.... Boht Shukria Ke Aap Ne Meri Raaye Ko Parha Or Tawajjo Farmayi..... Abhi Jo Aap Ne Dobara Sher Kaha Hai... Wo NIsbatn Behter Hai.... Acha Laga Hai......

Yunhi Likhtay Rahen Or Khush Rahen




Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com