Quote:
Originally posted by ek_wafa
Kyun na abb dam-e-akhir* takk aane ki Baat Karo (=last breath)
Talkhi-e-ziist* mein Rooh doob jane ki Baat Karo (=bitterness of reality)
Ghum mein Mahaarat hasil hai mujhe
Abb toh sang-o-khar* udane ki Baat Karo (=stones & thorns)
Rabta kya rakhna yaaron Zindagi se
Jism se jaan nikal jane ki Baat Karo
Juu-e-dard* se nikal kar phir Zinda hai (=river of pain)
Dil-e-kasta* pe Khanzar chalane ki Baat Karo (=wounded heart)
Faiyaaz* se jo firte hain wo Dil fareb hain “wafa” (=kind heart)
Yun na kisi ko humnafas banane ki Baat Karo
|
waaaaaaah waaaaaaaaaaah
wafaaa aap ne to kamal hi kar diya kyaa khoob likha hai
dil dil chir kar ghar kar diya is kalaam ne tumaare ,
sach mai kyaao khoobsoorat se labzo ko tumne chuna hai sach mai padh kar majaa aa gayaa
aise hi likhti raho
manu