Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Tum bin Kaya Hai jeena
Old
  (#1)
Ek_Tanha_Dil
Registered User
Ek_Tanha_Dil is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Sep 2004
Location: delhi
Rep Power: 0
Tum bin Kaya Hai jeena - 25th September 2004, 11:43 PM

bada armaan tha tere saath jeevan bintane ka
shikwa raha bas tere khamosh reh jaane ka,
deewangi isse badhkar aur kaya hogi
ki in aankho ko aaj bhi intzaar hai tere aane ka

dard ko bhi ab dard hone laga,
dard khud ab mere ghav dhone laga,
dard to hame dard dekar na rula saka,
dard hame chukar hi rone laga

mana bhul jaana aapki aadat sahi
par hame bhula paana aapki kismat main nahi
chaho to aajma ke dekh lo
khud ko bhul jaayoge par hame nahi

hum haste hai to wo samjhte hai inhe aadat hai muskurane ki
magar wo naadan kaya jaane ye bhi ek ada hai gum chupane ki

kaash banane waale ne dil kaanch ke banaye hote
kam se kam todne waalo ke haatho main zakham to aaye hote
   
Reply With Quote
Namaskar
Old
  (#2)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
Namaskar - 26th September 2004, 10:38 AM

Namaskar .......(Naam to aapne likha nahi)

Aapke pehle Rachna padee.Ankhon mein na jaaney kyon Ashq Aa gayee.Bahut Rachnai padee shayri.com par Par ur Rachna is very beautiful..............simply touching.I suppose u have joined recently shayri.com Welcome to shayri.com.


Agar aapke izzazat ho to kuch panktiyaan likhna chainge apne Rachnao se Aapke panktiyon par............

bada armaan tha tere saath jeevan bintane ka
shikwa raha bas tere khamosh reh jaane ka,
deewangi isse badhkar aur kaya hogi
ki in aankho ko aaj bhi intzaar hai tere aane ka

Duur Rehkar bhi Yaad Karenge
Yahi soch kar Aitbaar karainge
Kab Ek Dastak ho Aur lage tum ho
Yahi soch kar tera intezar karainge

dard ko bhi ab dard hone laga,
dard khud ab mere ghav dhone laga,
dard to hame dard dekar na rula saka,
dard hame chukar hi rone laga

Duur kahin rehte ho kahin
Dard mein dubey rehtey ho kahin
Dil mein kissi kay bastey kyon nahin
Duur kahin rehtay ho kahin

mana bhul jaana aapki aadat sahi
par hame bhula paana aapki kismat main nahi
chaho to aajma ke dekh lo
khud ko bhul jaayoge par hame nahi

Sansoon ka samundar ja raha hay duur kya karein
nayee si Lehrain le ja rahin hain duur kya karein
Rokna chahain tumko Rok na sakey hum tumko
Abb ja raha hay duur kya karein

hum haste hai to wo samjhte hai inhe aadat hai muskurane ki
magar wo naadan kaya jaane ye bhi ek ada hai gum chupane ki

kaash banane waale ne dil kaanch ke banaye hote
kam se kam todne waalo ke haatho main zakham to aaye hote

Tumse kya hum Zamane se khafa ho aaye hain
Dard se kya Muskurahat se juda ho aaye hain
Dosti kya Dillagi se juda ho aaye hain
Ankhon mein Ashq ka sailaab le aaye hain


Take Care keep writing
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#3)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
hi - 26th September 2004, 11:50 AM

hi

too good ..........


bye tc




.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae





.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
26th September 2004, 02:10 PM

hi tanha janab

maafi chahunga aapne ye jo likha hai.... main pehle bhi sun chuka hun.... ye bat theek nahi .... aap agar kisi ka suna hua yahan pesh kar rahe hai to ye usool hai yahan ka ki aap us shaksh ka naam bhi yahan mukhatib kare humse aur aapko yaad nahi to yahi likh de ki aapne kahin suna tha... khair kalam accha tha ise yahan post karne ke liye shukriya... muafi chahunga agar kuch galat bol gaya hun to .....

aapka apna


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#5)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
26th September 2004, 02:45 PM

hum haste hai to wo samjhte hai inhe aadat hai muskurane ki
magar wo naadan kaya jaane ye bhi ek ada hai gum chupane ki


http://www.shayri.com/forums/showthr...dat+muskuraane


http://www.shayri.com/forums/showthr...dat+muskuraane

kaash banane waale ne dil kaanch ke banaye hote
kam se kam todne waalo ke haatho main zakham to aaye hote


http://www.shayri.com/forums/showthr...sh+kaanch+hota

Theek se yaad nahi.. magar ye sher yahaan kisi member ki signature me bhi tha...

Kunal ji theek keh rahe hain..

Ye do sher to yahin, isi bazm me pesh ho chuke hain... aur aapki ek aur thread me kuchh kalaam, jaane maane shayar ke likhe hue ashaar se bohat milte jhhulte hain...

Tanha ji.. shayad aapko is board ke rules aur regulations theek se pata nahi hain.. Isi liye hum aapko bataate hain.. ki yahaan jab kisi aur ka ashaar post kiya jaata hai, to shayar ka naam bataaya jaata hai.. aur agar likhne waale ka naam nahi pata, to phir 'Unknown Writer' likh sakte hain.. isse kisi ko ye ghalatfehmi nahi hogi ki ye kalaam aapne likha hai...

Ho sakta hai ye aapse anjaane me hua ho.. lekin aage khayaal rakhiyega..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...

Last edited by Afshan; 26th September 2004 at 02:52 PM..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
kaya toota kaya bikhar gaya yeh main janta hoon,............ rajveeer Shayri-e-Dard 12 24th March 2009 06:37 PM
Mohbbat bhi kaya kaya sitam hum pe dhaye silent-tears Shayri-e-Dard 0 23rd February 2008 08:02 PM
teri yaad bhee kaya kaya motizaa karti hai..(gazal) rajveeer Shayri-e-Dard 16 20th January 2007 08:58 PM
kaya toota kaya bikhar gaya yeh main janta hoon,............ rajveeer Shayri-e-Ishq 2 28th June 2006 10:16 AM
Kaya Pata naaqsh Shayri-e-Dard 1 8th November 2005 04:41 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com