Bade din baad nazar aaye..aur itni zabardast ghazal ke saath..kya kehna hai...Bahut hi acchi ghazal hai hamesha ki tarahl!!
abhi dil ke zakhmoN ka chaaraa nahiiN hai
tera bin ai saqi guzaaraa nahiiN hai
--wah wah
tumheN sauNp deN hum kisii aur ko
itnaa badaa dil hamaaraa nahiiN hai
--kya baat kahi hai!!!
koii aisaa lamhaa na hogaa sanam
humne tumhe jab pukaaraa nahiiN hai
---wah..very touchy
saNbhalnaa mujhe bhi nahiiN hai, agar
tere baazuyoN ka sahaaraa nahiiN hai
---baDi pyaari baat kahi hai aapne
tumne to yuuN aaNkh bhar lee hai jaanaa
goya ye khanjar tumhaaraa nahiiN hai !!!
--
Chalein phir......jaldi muqammal karke aap apni ye ghazal pesh karein..hume intizaar rahega
K'hafiz,
shumaila