Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Mauka pyaar ka
Old
  (#1)
c_satpal
Registered User
c_satpal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 4
Join Date: Feb 2004
Rep Power: 0
Post Mauka pyaar ka - 21st August 2004, 12:09 PM

Nazar apne pyaar ko dhoond ta hai,
Bequarar rehta hai ek nazar dekhne apne yaar ko.
Aaj bhi meri nazar kuch aisi hi hai,
Bechain hai meri nazar pane apne pyaar ko.

Ashko ke sahare nikali hai zindgani humne,
Par aaj bhi zinda hun tere hi intazar mein.
Afsos to iss baat ka hai ki dil diya bhi tumne,
Aur ji rahe ho tum bhi gum-e-gulzar mein.

Mohabbat thi aap ko jisse wo h pyaar aap ko na mili
Jo chaah meri thi wo h dil-e-quarar mujhe kabhi na mili.
Mili to bas ruswayee thi, wahi gum-e-tanhayee thi.
Wahi rona tha, jo aaj aap ke paas aayi bhi.

Hum aap ko yun ghootte na dekh sakenge,
Chaho to bhi aap uske na ho sakenge,
Iss dukh ko leke tumko iss tarah jine na doonga,
Itna kiya hai intazar, kuch pal aur intazar karoonga.

Dil ko dard hua tha, jab aap ne bataya. ki
Aap kisise mohabbat karte hain.
Dil aaj bhi khush nahi hai, halat ki wajah se
Aaj ek doosre ko chod sakte hain.

Ek guzarish tumse mein karna chahta hun,
Tumhe haste huye mein dekhna chahta hun.
Janta hun mere bagair bhi tum jee sakoge.
Par wada karo, ki unn pal ko yaad nahi karoge.

E-mohabbat meri,
Aaj bhi meri chahat mein kami nahi hai.
Meri liye jo kal thi, tu aaj bhi wahi hai.
Farq bas hai itna, jo kal tha guzra mujh par.
Wo h aaj tujh par guzar rahi hai.

Ye na soch lena ki mein gum-e-ehsaas dila raha hun,
Sach jo hai aaj tak wahi bata raha hun.
Lage bura agar to mafi zaroor dena.
Iss nachiz ko bhi mohabbat dikhane ka mauka zaroor dena.
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
21st August 2004, 01:40 PM

Ashko ke sahare nikali hai zindgani humne,
Par aaj bhi zinda hun tere hi intazar mein.
Afsos to iss baat ka hai ki dil diya bhi tumne,
Aur ji rahe ho tum bhi gum-e-gulzar mein.


Ek guzarish tumse mein karna chahta hun,
Tumhe haste huye mein dekhna chahta hun.
Janta hun mere bagair bhi tum jee sakoge.
Par wada karo, ki unn pal ko yaad nahi karoge.


Bahut hi sundar kalaam likha hai aapne...Ek ek sher lajawaab hai.... Aise hi likhte rahein... Tc and keep up the good work..


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
EK Mauka Anupama18 Shayri-e-Ishq 1 18th June 2005 10:10 AM
mauka meena chheda Shayri-e-Dard 21 21st July 2004 12:32 PM
ek mauka to de koi hamein ek_dil_pyara_sa Shayri-e-Dard 0 13th May 2004 05:04 PM
Dil ne mauka diya hi nahi...jaane kya kya na thi tamannayaain hamari....???????????.. shayri12345 Shayri-e-Dard 7 20th August 2002 03:18 AM
mauka chiranthana Shayri-e-Ishq 1 11th June 2001 02:24 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com