Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
kin ujlatoN meN hai jeevan ka kaarobaar kiya
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
kin ujlatoN meN hai jeevan ka kaarobaar kiya - 30th October 2021, 07:56 PM

किन उजलतों* में है जीवन का कारोबार किया
कि जान बेचके मरने का इंतज़ार किया
*जल्दबाज़ियों

न चाहकर भी मेरे फ़न की आबयारी* की
मुझे जब अहल-ए-जहां ने है अश्क्बार किया
*सिंचाई

बडे़ ही नाज़ से रक्खा है सब उसूलों को
बस इक मलाल* रहा उनपे एतबार किया
*खेद

हम ऐसे सादा-दिलों के भी क्या अदब-आदाब*
ग़लत लगा तो किया बैर वरना प्यार किया
*शिषटता और व्यवहार

ख़ुद अपने हाथ से पैवस्त* कर रहा हूँ मैं
जो तीर उसने जिगर के था आर-पार किया
(ग़ालिब के ख़याल पर) *अंदर धँसा देना

दिया है दोष भी क़ुदरत को बाग़बान ने जब
किया है ख़ाक सबा को गुलों को ख़ार किया

मुझे न होने दिया बे-अमां* कभी उसने
कि जाते-जाते भी मुझको सुपुर्द-ए-दार* किया
*बिना शरण के **फाँसी को सौंपना

अता हुईं थी हमें मुफ़्त में सभी ख़ुशियाँ
मगर हमारी ख़ुदी ने उन्हें उधार किया

सफ़र का शौक़ है अंजाम से है बेज़ारी
तो रहगुज़ार से मंज़िल को दरकिनार** किया
*अलग करना

वही हैं तार मगर साज़ हमने बदले हैं
उन्हें सितार बनाया कभी ‘गिटार’ किया

हरेक शख़्स सुनाता है तेरा हाल मुझे
ये एक साथ ही कितनों को राज़दार किया

ये जुर्म-ए-इश्क़ है “ज़र्रा” इसे कभी-न-कभी
किया सभी ने मगर हमने बार-बार किया

- ज़र्रा

(ये ग़ज़ल दाग़ देहलवी की मशहूर ग़ज़ल की ज़मीन में हुई है)

kin ujlatoN* meN hai jeevan ka kaarobaar kiya
ki jaan bechke marne ka intzaar kiya
*haste

na chaahkar bhi mere fan ki aabyaari* ki
mujhe jab ahl-e-jahaaN ne hai ashkbaar kiya
*irrigation

baDe hi naaz se rak’kha hai sab usooloN ko
bas ik malaal* raha unpe aet’baar kiya
*regret

hum aise saada-diloN ke bhi kya adab-aadaab*
Galat laga to kiya bair varna pyaar kiya
*etiquette and manners

KHud apne haath se paivast* kar raha hooN maiN
jo teer usne jigar ke tha aar-paar kiya
(Galib ke KHayaal par) *pierce

diya hai doSH bhi qudrat ko baaGbaan ne jab
kiya hai KHaak saba ko guloN ko KHaar kiya

mujhe na hone diya be-amaaN kabhi usne
ki jaate-jaate bhi mujhko supurd-e-daar** kiya
*without refuge **submit to gallows

ata hueeN thi humeN muft meN sabhi KHushiyaaN
magar humaari KHudi ne unheN udhaar kiya

safar ka shauq hai anjaam se hai bezaari
to rehguzaar se manzil ko darkinaar* kiya
*leave side

vahi haiN taar magar saaz humne badle haiN
unheN sitaar banaaya kabhi ‘guitar’ kiya

harek shaKHs sunaata hai tera haal mujhe
ye ek saath hi kitnoN ko raazdaar kiya

ye jurm-e-ishq hai “zarraa” ise kabhi-na-kabhi
kiya sabhi ne magar humne baar-baar kiya

- zarraa

(ye Gazal daaG dehlavi ki mash’hoor Gazal ki zameen meN hui hai)


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com