Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal: 'mohabbat.. mohabbat!'
Old
  (#1)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
Post Ghazal: 'mohabbat.. mohabbat!' - 24th February 2004, 11:17 PM

---
dil thaa woh teraa baazaar mohabbat kaa
par maiN naa thaa khariidaar mohabbat kaa

uff! thaa bewakoof jo dillagii naa jaanii
aur kar baiThaa maiN izhaar mohabbat kaa

..barsaaye the phool jis dil meiN kal tune,
aaj kaanToN se bharaa gulzaar mohabbat kaa

karre daNge fassaad dil, tere naam ke..
hai sakoon meraa shikaar mohabbat kaa

sune gii kab tak apne naam kii chiiKHeN?
dhokebaaz pardaa aaj utaar mohabbat kaa!

'aman' kii sanam de gham, chahe zaKHm
hai aaj phir bhii intezaar mohabbat kaa..
---



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
24th February 2004, 11:27 PM

Salam,
Aaj aap kuch alag dhang se likhha hein. Lekin jo bhi likhha hein, tadap bohot mehsoos huyi. Hadhka shayad hi na samajh ayi ho lekin baas mehsoos huyi. Yunhi likhte rahiyega. I better not say much. Aur haan, tarif karne ke liye bohot hein yeaha par jo aa jaayenge. Tahe dilse shukriya ke sath sath daad bhi kabool kijiyega. Aapna khayal rakhiyega. God bless you. Allah Hafiz.

If possible, plz smile.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
24th February 2004, 11:35 PM

mohtarma shimul saahiba

bahot bahot shukriyaa jo merii ghazal pe kuch alfaaz baaNTe.
nazar-e-karam kaa mamnuuN rahooN gaa.



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
hi
Old
  (#4)
shayri12345
Registered User
shayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 27
hi - 25th February 2004, 05:49 AM

my aman,
uff ye mohabbat .mohobbat jaan bhi leti hai jeene bhi nahi deti...aur thodi si dillagi isme mil jaaye to tauba tauba......

uff! thaa bewakoof jo dillagii naa jaanii
aur kar baiThaa maiN izhaar mohabbat kaa

barsaaye the phool jis dil meiN kal tune,
aaj kaanToN se bharaa gulzaar mohabbat kaa

'aman' kii sanam de gham, chahe zaKHm
hai aaj phir bhii intezaar mohabbat kaa..

khambhakht dil, na jeene det ahai aur na hi marne deta hai....aankhain kholo to unhe dekhna chahta hai...band karke mehsus karta hai...phir chahe mohoobat me gulzar kaanton se bhara ho ya phoolon se....aakhir waqt tak usi ka intzaar karta hai...

~~aapki bhaavnayo ki kadar hai hame aman....kabhi kabhi sochti hu.ki lol...hame koyi aap jaisa karta pyaar to...zindagi luta dete uski ek muskaan ke liye.....par like they say.....

ZIndagi me kisi ko mukam'mal jahhan nahi milta
kisi ko zameen aur kisi aur aasma nahi milta

sab apni apni kismat ki baatain hai dost........

a sher frm my side is:

is tarha se zakhmi hu me, unki dillagi ke vaaro se,
Ki ----> dard bhi pareshan hai......ki kaha se uthu.

Luv ya


Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
25th February 2004, 08:00 AM

priya ji
..bahot khoob sher farmaayaa hai aapne!
aur aapkii har baat se sehmat hooN, par waise -- 'gar aapko mujh-sa koii aapko chaahne waala mil jaataa, to woh bhii shyad aap jitnaa hii khush hotaa

khair, daad ke liye meraa mehjoob shukriyaa qabuul kii jiye.



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
25th February 2004, 09:50 AM

Bahut Khoob Tareeke se haal-e-dil baYaaN kiYa hai AmaN...

yun to maikhaaNe mein hai hum sab 'SharaaBi'
tere naam se par hai Kirdaar mohabbat kaa

Baat aur, ki Dhadke teri saansein is dil mein
sirf ehsaas se hua hai ikraar mohabbat kaa

aaj bhi girta hai ek paata kisi shaakh se
waahi jo tera tha kabhi dildaar mohabbat kaa..

Likhte RahiYega AmaN

Duaaon ke saath

-mast



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Tulsika!~
Registered User
Tulsika!~ is on a distinguished road
 
Tulsika!~'s Avatar
 
Offline
Posts: 272
Join Date: Nov 2003
Location: USA
Rep Power: 21
25th February 2004, 09:50 AM

Aman ji,

Waise Shimul ji ne jo kaha usse mein sehmat hoon, kuch alag dhang se likha hai aapne, aur uski (shimul ji) tarif ki baat bhi manti hoon. Par phir bhi likha aaisa hai ke kya kahe tarif karein bina reh bhi nahi sakte. Phir bhi kuch khas nahi kahenge, ke dard-e-dil ko lafzon ki baat karein to BOHAT HI KHUB LIKHA HAI....aur ehsaas ki baat karein to aisa laga jaise waha aapki jagah pe kadhe yeh sab mehsoos kar rahe ho.

take care!

luv,
tulsika!~


   
Reply With Quote
Old
  (#8)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
25th February 2004, 10:00 AM

aman dost,

patzhad ka ek sukha patta hu
teri raah par bikhra pada hu
ghum nahi is baat ka...
tere kadmo talae kuchala ja raha hu;
khushi hai is baat ki...
marte bhi tera sparsh paaye ja raha hu.

tum kuchh likho or ooski taarif kar paau ... yah mujse kabhi thhik se n ho paaya.
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
25th February 2004, 10:48 AM

aman saheb

aap kam kam likhte hain magar jab bhi likhte hain aap ke lehje ka khaloos her cheez per haavi hota hai.
isi liye behad asr aur tuassur mehsoos hota hai aap ki is ghazal mein.
meri dili duayen aur shubh kaamnayen hamesha aap ke saath hain aur darkhuast aur khuahish hai ke aap us ko mehsoos karen .
kyunke mein samajhta hoon ke yeh aap ka hi ejaaz hai jo ham sab saathi aaj is forum per is tarah ek doosre ke ehsaasaat aur jazbaat ko share kerte hain.
bari qadar hai mere dil mein aapki.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
liveinnothing
Registered User
liveinnothing will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 76
Join Date: Feb 2004
Rep Power: 21
25th February 2004, 02:35 PM

Aman

Kya kahoon bus ek gazal yaad aa gayee tumharey sher se pata nahi mail khati hai ya nahi bus yaad aa gayee .

Na Mohabat Na dosti ke liye Waqt rukta nahi kisi ke liye
dil ko apney saja na de yunhi is jamaney ki berukhi ke liye

Singer Jagjeet Singh
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
25th February 2004, 03:11 PM

anu bhai
aapko beyaan kiye hue jazbaatoN kaa ehsaas huaa, to likhne kii koshish azeez rahii!
dam-ba-dam hauslaa afzaaii kaa shukriyaa qabuul kii jiye!


tulsika ji
aapke jawaab, aur waqt dono kaa mujh par karz rahe gaa. bahot khushii huii yeh jaan kar kii aap jazbaa-e-dil mehsoos kar sakeN haiN. ek baar phir, shukriyaa!


meena ji
gazab kaa likhaa hai aapne meena jii. aapkaa jawaab hii taareef ke baraabar hotaa hai; is shaakir kaa shukriyaa’daa qabuul kii jiye.


musharraf saahab
aadaab! janaab, itnii izzat bhii naa dii jiye kii pardaa oDnaa paDe. behad shuk’r-e-ni’amat, aapko bhii duaaoN meiN shaamil rakhtaa hooN! nihaayat zer-e-baar hooN aapkaa itnii izzat, aur hausla-afzaaii jo kii!


live-in-nothing
aapkii koii duusrii pehechaan, yaa isii naam se pukaareN aapko? khair.. main us ghazal se waaqif nahiiN hooN, magar paDne meiN mujhe to bahot pasand aayii; lagtaa hai ‘download’ karni paDe gii. jawaab kaa bahot bahot shukriyaa..!



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
25th February 2004, 05:21 PM

Aman Bhaiye

dil thaa woh teraa baazaar mohabbat kaa
par maiN naa thaa khariidaar mohabbat kaa

Behtariin likha hai!!!

Taareef karne ke liye to alphaz bhi aise gayaab ho gaye jaise gadhe ke sar se singh

Laa-jawaab likha hai.. Bahut bahut sukriyaa yahaan sab se share karne ke liye.

Tc, Bye

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Hi...
Old
  (#13)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
Hi... - 25th February 2004, 07:24 PM

Aman..mere bhai...Darte darte ayaa huu huzuR kii mehfil mai....daaD dene kii tammna tau badii rahatii hai....parr duur se.. chaliiye ap ko maikhane se fhursat milne lagii hai aaj kal..... apko dard ki duniya mai dekh kaR...dil gadh gadh hone laga hai...yuu hii apnna preM banaye rakhe....tussii...badii chnnGii shayri likhde hoo...apne se lagte hoo tussi hoo koon???? .......daaD kai sath izazaT..Sanju ko!


Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Adaab Muhtrhaam Amaan Sahab...
Old
  (#14)
salman shaikh
Ek Anjaan Shaks...
salman shaikh has a spectacular aura aboutsalman shaikh has a spectacular aura about
 
salman shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 497
Join Date: May 2002
Location: London (UK)
Rep Power: 23
Adaab Muhtrhaam Amaan Sahab... - 25th February 2004, 07:49 PM

Salam Janab Bahut khoob Mahsallah se Bahut acha likha hai apne Is nacheez ki daad Kabool Farmaiye...Kudha Hafiz...


EK ANJAAN SA SHAKS...
SALMAN SHAIKH...


Chal parin hain kashtiyaan samandar dur hai kinaara.....
in majon se puch lena kia haal hai hamaara....

______________________

Ashk bankaar woh mere chashm-e-tar main rehta hai....
ajeeb woh shaks hai jo pani ke ghar main rehta hai........
  Send a message via Yahoo to salman shaikh Send a message via AIM to salman shaikh Send a message via MSN to salman shaikh  
Reply With Quote
Old
  (#15)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
26th February 2004, 06:32 AM

Sharaabi sahab adaab,

aap hain hee ek alag se shakhs janaab

'aman' kii sanam de gham, chahe zaKHm
hai aaj phir bhii intezaar mohabbat kaa..

dil tau dil hai sanam kya kijiey...

aapki nazar ek bashir badr sahib ka kalaam...shayad pasand aaye aapko...

mai.n bhii shaayad buraa nahii.n hotaa
vo agar bevafaa nahii.n hotaa

bevafaa bevafaa nahii.n hotaa
Khatm ye faasalaa nahii.n hotaa

kuchh to majabuuriyaa.N rahii ho.ngii
yuu.N ko_ii bevafaa nahii.n hotaa

jii bahut chaahataa hai sach bole.n
kyaa kare.n hausalaa nahii.n hotaa

raat kaa i.ntazaar kaun kare
aaj-kal din me.n kyaa nahii.n hotaa

guftaguu un se roz hotii hai
muddato.n saamanaa nahii.n hotaa

yoonhi likhte rahieyga...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
paplupopat
Registered User
paplupopat will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 269
Join Date: Jan 2003
Location: india.
Rep Power: 22
26th February 2004, 08:44 PM

karre daNge fassaad dil, tere naam ke..
hai sakoon meraa shikaar mohabbat kaa



choD de us rishte ko ek naam dekar ae humsafar,
jo manzil tak na pahuche magar haseen to rahe.


take care

paplu


as you write more and more personal
it becomes more and more universal.
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Ajforu
Registered User
Ajforu is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 64
Join Date: Apr 2003
Location: Chicago
Rep Power: 22
26th February 2004, 09:34 PM

hi,
bohat khoob....bohat achi nazm likhi hai aap nay...aray aap loag to professional hain...har aik baat main bohat gehrai hai..
hey..read my nazm too.....it goes like.."kaash...I wish" plz...n send comments....
plz....i have tried hard..aur mujhe experienced ki raye chahiye...
shukriya bye..take care


bichad k tujhse naa milna toh ek bahana tha,
mujhe to sirf tera waada aazmana tha.
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#18)
romana
Registered User
romana will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 754
Join Date: Sep 2002
Location: uk
Rep Power: 22
hi - 27th February 2004, 06:48 AM

hi aman jeeeee

kaise hai

wah wah kiya baat bhot khoob. i really like wot u wrote mere khiyaal mai aapki shayri ko yah sab hi miss kar rahe the yeh mehfil kaafi berang si ho gayi thi apke jaane se. humai aapse shkayat hai aap itne din kaha rahe. ur poem is beautiful bilkul dil ko cho gayi hai aur tareef ke liye mere paas alfaaz nahi hai. ha ab kahi jaiya ga nahi k.

take care
romana


~,ROMANA,~
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
27th February 2004, 06:47 PM

Aman Bhai,

Der se aane ki gustakhi hui hai mujhse yahaan..magar is ghazal ko samjhne mein waqt laga..

Aur ik change bhi nazar aayi aapke likhne ke andaaz mein..

Is ghazal mein aapke dil mein kisi ke pyaar ke saath saath uske liye chuppa attab bhi saaf nazar aa raha hai..

Bhai..Apne dil ke jazabaat bade dhang se pesh kiye aapne..

Shukriya...
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
10th August 2010, 04:06 PM

Quote:
Originally Posted by Sharaabi View Post
---
dil thaa woh teraa baazaar mohabbat kaa
par maiN naa thaa khariidaar mohabbat kaa

uff! thaa bewakoof jo dillagii naa jaanii
aur kar baiThaa maiN izhaar mohabbat kaa

..barsaaye the phool jis dil meiN kal tune,
aaj kaanToN se bharaa gulzaar mohabbat kaa

karre daNge fassaad dil, tere naam ke..
hai sakoon meraa shikaar mohabbat kaa

sune gii kab tak apne naam kii chiiKHeN?
dhokebaaz pardaa aaj utaar mohabbat kaa!

'aman' kii sanam de gham, chahe zaKHm
hai aaj phir bhii intezaar mohabbat kaa..
---


speechless................kuch kahuN bhi to kisko, jisne yeh gazal likhi hai wo to pad hi nahi paayega.

aap aaj bhi SDC ki bazm mein haiN apni poetry ke saath.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ghazal: yeh mohabbat hai... Pradhyuman Shayri-e-Dard 0 18th April 2009 03:07 PM
mohabbat ko mohabbat......... Dhaval Shayri-e-Ishq 0 12th August 2006 08:54 PM
Nasha mohabbat ka(ghazal) koituhoo Shayri-e-Ishq 0 13th January 2005 09:43 PM
Mohabbat Rimjhim Shayri-e-Ishq 2 8th May 2003 04:08 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com