hahahahahahaaa.......sameer Ji......kya khoob likha hai apne haydrabadi lajiz zubaan me......maza aa gaya.......kya seen khiiicha aapne budhe chacha jaan ka
....har pankti .....har lafz ne hansa hansa ke lotpot kar diya....jo aapne harkate daali hai....bayaani aur adaayegi dono me....woh mazaakiya lehze ko purasar banti lagi mujhe.....yunhi likhte rahiye.....
aapke is haydrabadi lajiz lehze ko ...tahe dil se daad hazir hai....
khush rahen....
apna khayal rakhen...
duaaon ke saath....
Naresh Jee AadaaB!
Actually yeh lehja hai sabse mazakiyaa lagta hia mujhe.... kabhi koi mazakiyaa baat ho jaye to yeh lehje mein hi hua hoga aisa mehsus hota hai..... Kuch hi din pahele main janab KhamakhaaN sahab ko suna... Janab ki umaar kareeb 80 ki hongi aur lilaah unkaa mazakiyaa andaaz aur jawaani ki umaang bhari shayri ne bahut mutasir kiya mujhe isliye main bhi aisi koshish kiya aur meri Gazal ke Hiro to wohi hai....
Unka sabse famous kalaam hai " NahiN bole to sunte nahiN" padhiyenga... Dil gud gudaa jayenga aapka bhi...
Chaliye ummid karta huN aage bhi woh mujhe mazakiyaa shayari karne ke liye prerna bane rahenge aur main aisi gustakhi karta rahunga...