Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Geet:RastoN ke mode na dekho
Old
  (#1)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
Geet:RastoN ke mode na dekho - 9th August 2009, 04:23 PM

DostoN badi muddat baad koii naya geet likhane ki jurrat kii hai...
Kuch aapke dilon tak pahuncha paun to shayad main kamyab ho paya hun..


RaastoN ke mode na dekho
Safar mera abhi lambaa hai
Manzil meri woH to Nahin
Jo tum samajh rahe ho…..

Aisa bhi kya gurur khud per
Koi baat jab tum mein nahi
Roshni hai kisi aur kii hii
Jissay tum chamak rahe ho..

Ho gulshan ke tum ek gul hi
KahaN tum ko' ii mushk to nahi
Khud Naazi ka naaz yeh kaisa
AuroN ki khushbu se mehak rahe ho

Kaise chupaonge such ko tum bhi
Jaante bhi nahi jo jhutii baateN
Kya maikhari ka shaukh hai tum ko
KyuN bayazni mein laraz rahe ho…


Duniya bhar ki zil-latoN per
danishmandoN si yeh fitrat
Apno se hi kha kha ke dhoke
Gunahgar tum bhi magar rahe ho...


  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com