Aye Dile nadaaN tujhe hua kya hai
Kehta Zainy se GTM me rakha kya hai
Khud hi uljhe hai apni shayari me
Kaha unhone deep, gehra kya hai
Jab chidiya chung jati hai khet sara
Mayank aake puchte hai hua kya hai
karte shayari Baqs bhi aaj pata chala
Jisne bawaloN ke siva kiya kya hai
Hassan sunata hai pariyoN ki kahani
Kwahish puchta hai parineeta kya hai
phata nadaan sahab ki biwi ka sar
bolti hai ye 12 12 ginta kya hai?
Maikhash sahab jate hi rehte hai
Ya ilahi bar bar yeh majra kya hai
6 peg laga ke gazal kehna sikhaye Zidd Per Alka ko patane ka formula kya hai..........
Diya hai purvi hai Zainy hai Nishaa hai Janumanu ji phir SDC pe Alkaa kya hai...........
Vicky bhai aab tak kaise aap still alive Abhi aapne zindagii ko hi jiya kya hai.............
KahiN bhi thik se tumhe nazar nahi aata
Kunal tumhari aankhoN ko hua kya hai..........
Tikhi mirchi ki misaaleN deti haiN Diya
Khud ko shahad tumne samjha kya hai...........
aye sameer bhaijaan,tumhe hua kya hai...
Tumhari is poetry ki aakhir wajah kya hai...
Tumne sabko kuch na kuch keh dala..
Kabhi socha tumne, tumhara ohhda kya hai...
btw achhi tukbandi milaayi hai bhaijaan.. Like it..