Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Ek HaseeN KhawaB
Old
  (#1)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
Love Ek HaseeN KhawaB - 17th January 2010, 03:51 PM

Ek HaseeN Khawab Doston main ek kishtwar novel aapke samne pesh kar raha hun jise main weekly update karunga........ Ummid hai aap logoN ko meri yeh novel pasand aayengi..............

24 ghante ke lambe safar ke bad Zaid apne aunty ke ghar pahuncha..... Sufi aunty apne chahite bhanje ko dekh bahut khush huyi, us waqt fari ( faridaa ) sufi aunty ki ladki college gayi huyi thi..... Jo final year ki student thi……………
Sufi aunty ne Zaid ko nashta karwaya aur aaraam karne kaha Zaid bhi lambe safar se kafi thak chuka tha...Bed per lette hi usey nind ne aa ghera...........



“Fari tum aaj college se jaldi kyun aa gayi?” ek khubsurat si aawaaz sunkar Zaid ki nind khul gayi.. Per Zaid ne mudker nahi dekha, tab hi Fari se dusra sawal kar diya gaya,” yeh janab koun hai....?” Toh Fari ne use bataya yeh mere Bhaiya hai jo lucknow mein rehte hai..... aaj hi subha aaye hai main inke liye hi jadi aayi, aur yeh hai ke abhi tak soye hua hai, to phir se Fari ki dost ne shararat se kaha “achcha aur dekho janab kaise so rahe hai inke sone ke andaaz se to lagta hai ke yeh dobble bed ko 4bed bana denge...” Tab hi Zaid ne deewaar per mukka mara.... To Fari ne usse pucha “kya hua bhaiyaa.....?”

Zaid ne kaha” achcha khasa ek haseen khawab dekh rahe the aap logoN ne tod diyaa....” to Fari ki dost ne phir shararat se kaha “achcha hi hua khawab tutne ke liye hote hai!”, toh Zaid ne palat ker dekha ke yeh khubsurat si anjaani aawaaz kiski hai, woh thi Fari ki dost Ruby ki jo Fari ke saath college mein padhti thi aur pados mein hi rehti thi........




Zaid ne jab palat ker dekha to ruby ki khubsurat ankhoN mein kho sa gaya usey aisa laga jaise woh abhi abhi jo khawab dekh raha tha uski tabeer mein yehi khubsurat chehra tha, yehi dilnashin ankhen thi Zaid use dekhta hi reh gaya, phir Zaid ne kaha” mohtarma khawab haqeekhat bhi hote hai.” to Ruby ne phir shoki se kaha “aaji janab woh subha paheli paher ke hote hoge! yeh kounsa waqt hia sone ka aur khawab dekhane ka...” To Fari ne unki baaton ko roka aur Zaid se kaha Bhaiya yeh meri friend Rubi hai.... mere saath college mein padhti hai aur yahiN pados mein rehti hai kuch der ke bad Ruby apne ghar chali gayi aur Fari Zaid se baaten karne lagi, Fari ki aur Zaid ki baaten kabhi khatam nahi hoti kyun ki dono bahut achche dost bhi the, har choti badi baat ek dusre se share karte.......





Sufi aunty ne apne bhanje ke liye behtreen dinner ki taiyaari ki thi.... dinning table per Sufi aunty, Uncle, Fari aur Zaid the..... Sufi aunty ne Zaid se pucha beta padhai khatam kiye ab aage kya karna hai...? Zaid ne abhi M.Ba compalete kiya tha, aur chuttiyan manane Sufi aunty ke yaha aaya tha.... Zaid ne kaha abhi to Kuch rest lunga, uske bad dekhege ke kahan achchi job milti hai..... phir uncle ne kaha barkhurdar job koi bhi ho kar lena, expirence zaruri hota hai education hi kafi nahi...... Zaid ne jawab mein sir hila diyaPhir Sufi aunty ne kaha ab jaldi se shadi bhi kar lo, kafi umar ho gayi hai..... Zaid 27 saal ka ho chuka tha... Fari khil khilaker hasi aur kaha bhaiya kaho to main aapke liye ladki dekhuN..? to Sufi aunty ne Fari ko dante hua kaha....." rehne de ek achchi dost to nahi dhund payi aur achchi ladki dhundne ki baat ker rahi hai.. Sufi aunty ne Ruby per tanz marte hua kaha tha, Aunty ko Ruby katai pasand nahi thi, kyunki Ruby kafi shoukh aur chanchal mijaz ki thi, har waqt uski hasi mazak aur patar patar baaten sufi aunty ko pasand nahi thi....




Dusre din jab subha Ruby Fari ko college le jane ke liye aayi to sidhe Zaid ke kamre ki taraf jhankne lagi per Zaid apne kamre mein nahi tha, Ruby soch mein gum ho gayi, kyun ki Zaid ki shaksiyat ne uske dil mein bhi halchal macha di thi..... Ruby ne zor se Fari ko aawaaz lagayi “Fari jaldi chalo der ho rahi hai.......” Zaid us waqt bathroom mein naha raha tha jo Ruby ki aawaaz sunker uska bhi dil machal utha per kya karta bus sunta reh gaya usey Ruby ki aawaaz sunayi de rahi thi, Fari aa gayi to Ruby ne usse puch liya tumhare bhaiya kahan hai, Fari ne bataya ke woh naha rahe hai... Ruby koi geet gunguna rahi thi to wohi geet Zaid ne hi zor se gana shuru ker diya to ruby hasker Fari se kahi “bathroom singer ki aawaaz achchi hai... per bathroom mein hi?”




Shaam ko Zaid chat per khada shaam ke nazare ka lutf le raha tha ke Wahan Fari aur Ruby aa gaye, Ruby ne Zaid se shararti andaaz mein kaha “Janab aap yahan hi hia, aray jaiye humara shahar ghumiye dekhiye Kitna khubsurat hai hamara shahar “ Zaid ke muh se achnak nikal gaya ke aapka Shahar tanha ghumne ke kaam ka nahi yahan koi sathi ho to hi maza aata hai………Agar aap company deN to aur bhi jyada maza aa jayenga….. Zaid ki shararati baat se Ruby Ka chehara zard pad gaya tha, useki ammi ki aawaaz per woh chali gayi, .............

Fari ne kaha “Bhaiyaa aap bhi naa kuch bhi kehte hai, aap nahi jante Ruby ke ghar ka mahol kaisa hai, uski ammi usey kahin jane aane nahi deti bahut mazhabi mahol hai uske ghar ka aur agar uski ammi ko pata chala ke aap yahan aaye hua hai to uska yahan aana bhi band ho jayenga…………. Zaid ne Fari ki taraf hairat bhari nazroN se dekha kunki Ruby kisi bhi hisab se aise mahol ki nahi lagti thi? To Fari ne bataya ke “Ruby ghar mein bahut khamosh rehti hai usey ghar jaise katne daudta hai..Woh to mere saath hi khush rehti hai……” aur who aapke saath kahin nahi ja sakti!” Zaid ne kaha” Fari aapki is saheli ko hum apne saath ghumane lekar hi jayenge?! aur dekhna agar hum ek mahina yahan hi rahe naa aapki yeh saheli hume chithiyaan likhne laginge humare jane ke bad” To Fari ne has dii ha ha ha ha ha ha ………. Bhaiyaa aap to Ruby ka hi dailog bol diye? To Zaid ne kaha “achcha kya kaha tha Ruby ne?”, to Fari ne bataya ke “agar aap yahan ek mahina rah gaye to who aapko deewaana bana ke chorengi……………….”. Zaid mann hi mann muskuraya, aur Fari se kaha” Fari aap dekhana koun kiska dil jitta hai………… “ Fari ne bhi Zaid per tanz marte hua kaha ke ab to dekhana hi padenga ke koun dil harta hai…..


1 chapter close………………………………………………… Next chapter will be post after a week keep reading……………. J



Last edited by kwahish; 17th January 2010 at 03:59 PM..
  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com