Yeh Aaj Humain Malum Hua ... -
6th December 2002, 12:24 PM
Yeh Aaj Humain Malum Hua ...
Waqt ke saath halat badal jatey hai suna toh tha ..
Per Waqt ke saath insan bhi badal jatey hai
Yeh aaj humain malum hua....
Halat ke samne insan kamjor ho jata hai suna toh tha...
Per Halat ke samne pyar kitna majbur ho jata hai
Yeh aaj humain malum hua...
Waqt aur Halat Insan ke hi banaye hote hai suna toh tha...
Per Kismat hi humse sab kuch chin layte hai
Yeh aaj humain ehsaas hua....
Muskan's
|