Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

View Poll Results: TPT Aug 2014 , please Vote
Tasveer pe tehreer wohi hai 3 50.00%
Phoolo.n ki zaat 3 50.00%
sukHe pattoN se thii jinhoN ne sajaayii shaakHeN 3 50.00%
Basant hai khili dhoop hai 2 33.33%
abki subha tum bhi laot aana 2 33.33%
Multiple Choice Poll. Voters: 6. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Tasweer pe tehreer August 2014 Polling
Old
  (#1)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
Tasweer pe tehreer August 2014 Polling - 16th August 2014, 04:57 PM

meHfil mai sabhi Haazreen ko mere taraf se Aadaab !

aur SDC kee Team kee taraf se sabhi dostoN ka beHad shukriyah TPT meN HiSah lainy ka , go ke is baar moosool huwi sha'yri ki tadaad kam hai , lakin kiyoN ke is silsaly ko baRhaana hai to chalty haiN hum TPT ke phase 1 ki taraf jahaN moosool huwi sha'yri per app sabhi dostoN kee voting ho gee aur uske baad phase 2 mai , judges ki pointing hogi .

is dafa hamieN sirf 5 teHreereN moosool huwi haiN


Is baar ke judge haiN Zidd SaHb , Anjaan SaHb or Ahmed Shakeel SaHb

1)Voting will close on 23TH August 2014
2) This is a public poll: other users can see the choice(s) you selected.
3)You can give your vote to more than one ghazal/nazm.



RULES FOR VOTING!
1)TPT ke rules ke mutabiq, jin members ki post count less than 50 hai, woh vote nahi de sakte haiN, agar unhone vote kiya bhi, tou unka vote neutralize ho jayega..(Exception :agar kisi member ne TPT me hissa liya hai lekin unke post count 50 se kam hain to wo vote kar sakte hain)

2)Duplicate ids ko bhi neutralize kiya jayega, aur result in sab votes ko delete karke hi sunaya jayega...

Meri guzarish hai,plzz yeh saari bateiN dhyan me rakhiye..

Participants se request hai ke kisi se apni ghazal/Nazm ka zikr na kareiN,kis member ne kaunsi ghazal likhi hai yeh baat result tak raaz hi rehni chahiye.
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Tasveer pe tehreer wohi hai
Old
  (#2)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
Tasveer pe tehreer wohi hai - 16th August 2014, 05:04 PM

ik nayi tasveer aa gayi hai
pat jha’d qareeb aa rahi hai

moozu badal gaya hai lekin!
tasveer pe tehreer wohi hai

hur shaks karta hai man maani
dunia ki yehi reet ho chali hai

bagheecha hai roshan kirnoN se
dil meiN ujaaloN ki kami hai

ik arse baad hum mile haiN
batoN meiN magar shikastagi hai

apna saaya bhi ghat raha hai
halaat ki dhoop kad’di hai

khamoosh fiza pe jab ghoor kiya!
tasveer zaar o qataar ro pad’i hai

kaash mehfil bhi aaj keh uthey!
wah! khoob manzar-kashi hui hai
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
pholooN ki toh zaat rhi
Old
  (#3)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
pholooN ki toh zaat rhi - 16th August 2014, 05:05 PM

Phoolo.n ki toh zaat rhi
Bichdo ki yaad dilanay may
In patto ka bhi haath rha
Mujhi dilbr yaad kraney may

Ptjhad hui toh dil tuttay
Uthkr chl diye maikhanay may

Bahaaro.n ki bhi mushkil thi
Mohabbat ki baat btanay may

Ikk likha tha khat chahat ka
Na chahat thi pahunchanay may

Baarisho ne bhi saath choda
Mera rootha yaar mananay may

Skoo.n hae teri bahoo.n may
Iss saaray kaatil zammanay may

Iss mausm ka bus dosh rha
Mujhe dojakh tkk layjanay may
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
sukHe pattoN se thii jinhoN ne sajaayii shaakHeN
Old
  (#4)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
sukHe pattoN se thii jinhoN ne sajaayii shaakHeN - 16th August 2014, 05:06 PM

subH aayii to naye saath taraane aaye
muddatoN baad kayii yaad fasaane aaye

sukHe pattoN se thii jinhoN ne sajaayii shaakHeN
ghar darakHtoN ke wo saaye meN basaane aaye

thii gubaaroN se bharii raah-e-muhabbat apnii
ye kaDe taap wahaaN dhund mitaane aaye


unke jalwoN pe zaraa gaur to farmaa leN hum
safha-e-dil se mazaamiiN jo sunaane aaye

wo jo aaye to kayii saath naye rang aaye
nau bahaar aur naye phool yagaane aaye
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Basant hai khili dhoop hai
Old
  (#5)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
Basant hai khili dhoop hai - 16th August 2014, 05:09 PM

Basant hai khili dhoop hai,
Khile hain chehre bhi.

Muskrata suraj hai nahi hai,
Gamo ke pahre bhi.

E KHUDA teri ye kudrat,
Badi haseen hai.

Tere karam se ye zindagii
rangeen hai.

Tere har faisle pe
Sar hamne jhukaya hai.

Diya hai asmaan tune
Aur ye zameen bhi.

Phir kyon nahi di
kismat sabko ek si?

Kisi ko dhereon khushiyaan
Ki aankh nam ho jaye.

To nahi kisi ko gam ka
Ek aansoon bhi naseeb bhi.

Bahut mushkil hai tere Is
khel ko samajh pana.

Kabhi sab kuch paa ke bhi
Kuch nahi milta.

Kabhi sab khokar bhi
Sab kuch pa jana. .....
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
abki subha tum bhi laot aanaa
Old
  (#6)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
abki subha tum bhi laot aanaa - 16th August 2014, 05:10 PM

abki subha tum bhi laot aana
dekho hasta hai mujhpe ye saara
zamana

kehte hai mujhko sab pagal deewana
kya gam hai mujhe ye kisi ne na jaana
kiyaa tere gam ne mujhe Aisa ghayal
tujhe sab khabar hai tujhe kya batana

ab ki subha tum bhi laot aana
dekho hasta hai mujhpe ye saara
zamana

tu paas thi to saath thi saari khushyaan
tujhse bichar k hai gam ka khazana
tanha yaha ab jeena hai mushkil
asaan lagta hai ab Mar hi jaana

ab ki Subha tum bhi laut aana
dekho hasta hai mujhpe ye saara
zamana

jo waada kiye the wo waada nibhana
yaha na mile tum waha mil hi jaana
wo subha jab mile ham to hona juda na
maut par ye Milan yaad rakhe zamana

kahe na phir kisi ko ye pagal diwaana
kisi par hase na kabhi ye zamana
ab ki subha bs tum laot aana
haa is subha sirf tum laot aana....
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com