Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Lyrics > Hindi/Urdu Lyrics

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
fizaa bhii hai javaa.N javaa.N
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
fizaa bhii hai javaa.N javaa.N - 3rd August 2004, 05:22 PM

Socha ab jab mausam or mahul achchha ban hi gaya hai to kyoN na mausam ke mutaabik ek geet yahaaN post kar deiN.


Movie Name: Nikaah


fizaa bhii hai javaa.N javaa.N,
havaa bhii hai ravaa.N ravaa.N
sunaa rahaa hai ye samaa
sunii sunii sii daastaa.N


bujhii magar bujhii nahii.n,
na jaane kaisii pyaas hai
qaraar dil se aaj bhii
na duur hai na paas hai
ye khel dhuup chhaao.n kaa,
ye gurvate.n ye duuriyaa.N

sunaa rahaa hai ye samaa...

har ek pal ko Dhuu.NDhataa
har ek pal chalaa gayaa
har ek pal phiraak kaa,
har ek pal misaal kaa
har ek pal guzar gayaa,
banaake dil pe ik nishaa.N

sunaa rahaa hai ye samaa...

pukaarte haiN door tak
vo kaafile bahaar ke
bikhar gae hai.n ra.ng se,
kisiike intazaar me.n
lahar lahar ke ho.nTh par,
vafaa kii hai.n kahaaniyaa.N

sunaa rahaa hai ye samaa...

vohii gha.Dii vohii pahar,
vohii havaa vohii lahar
na_ii hai.n ma.nzile.n magar,
vohii Dagar vohii safar
nazar ga_ii jidhar jidhar,
milii vohii nishaaniyaa.N

sunaa rahaa hai ye samaa...


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
 

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is Off
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Fizaa e tehzeeb e hindostaan anaarhi Shayri-e-Dard 9 18th October 2010 06:59 PM
do javaa.N dilo.n kaa Gam, duriyaa.N samajhatii hai.n.... sanjoo Shayri-e-Mashahoor Shayar 3 19th January 2009 10:36 PM
Dhuaa.N banaake fizaa me.n Mayank Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 26th October 2007 11:48 AM
Gam kaa Khazaanaa teraa bhii hai meraa bhii mrinal Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 25th November 2004 09:49 AM
ye tajarubaa bhii karuu.N ye bhii kar dikhalaa_uu.N mai.n ashikro Ghazal Section 0 6th November 2002 02:55 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com