"Karta Bhi Nahi...." -
5th February 2002, 05:15 AM
Woh chahta hai mujhe per mukammal izhaar karta bhi nahi
aata hai mujh se milne per mujh se baat karta bhi nahi
auron ke saamne meri taarif karta hai magar
mere saamne meri taarif karta bhi nahi
likhta hai khun se jaga jaga mera naam magar
apne khun se meri maang bharta bhi nahi
kehta hai ke uske her dard ke dawa hun main
per mujh se apne dard ka izhaar karta bhi nahi
Mer jaaungi inhi adaon pe ke apna kehta hai magar
mujhe apnane ka izhaar karta bhi nahi
with love n well wishes;
Mirchi
|