Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
*Ali ke saath hai zehra ki shaadi"NOT MINE"*
Old
  (#1)
Diggaj_Dave
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Diggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to behold
 
Diggaj_Dave's Avatar
 
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 26
*Ali ke saath hai zehra ki shaadi"NOT MINE"* - 27th June 2006, 09:22 AM

NOT MINE

*******


Sabhi kush hai khudai bhi khuda bhi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Larka hai khuda ke ghar ka, larki hai nabi ke ghar ki, woh arzo sama ka malik, yeh malka behro barki (zami rakhsa) x2 hai rakhsa asma bhi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Hyder hai kulle ima, aur kulle ismat zehra, is sar pe wafa ka sehra, is sar pe haya ka sehra (woh shezaada) x2 hai aur yeh shahzaadi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Kheti ne bichaya sabza, suraj ne ujale bante, khud dashte khuda ne shaab ke, aanchal pe sitaare taanke (huwi rangi) x2 jo thi tasviir saadi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Bola yeh khuda har jaanab, rehmat ke ghata barse gi, jo bogs se banjar hoo gi, bas woh hi zami tarse ge (utho jibrieel) x2 yeh kardo manadi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Sabhi kush hai khudai bhi khuda bhi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Dunya ne sawara usko, andaaz naye apnaye, tahzeeb ne zaiwar badle, marboot naye silwaye (mehek uthi) x2 nasab ki paak waadi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Dulha ke roop mei pyaare, ali ibne abi talib hai, tha baap bhi sab se ghalib, ye bhi kulle ghalib hai (ye damade) x2 nabi he or wo samdhi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Baraat chali haider ki, rehmat ke saaye saaye, baraat ke aage aage, quran qaside gaaye (nabi saare) x2 chale bankar baraati
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Sabhi kush hai khudai bhi khuda bhi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Tohfe mai mile mehk aise, inhe kausar or jannat ko, ye saara namak or paani, haq mehr mila zehra ko (salaami mei) x2 mili marzi khuda ki
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Qudrat ki taraf se inko abhi tohfe or milenge, kal inke haseen angan mei, do asli phool khilenge (haseen shajare) x2 jinhe denge salaami
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Wohh abh chahe koi bharke, ab chahe koi tarpe, ab meri bhala se chahe, marjaye koi jal jal ke (khushi ki baat) x2 hi mei ne sunadi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Keise ho bayan woh manzar, jab khatm huwi sab rasme, konain ki har sheh gohar kehti thi kha kar qasme (mubarak hai) x2 mubarak hai ye shaadi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi

Sabhi kush hai khudai bhi khuda bhi
Ali ke saath hai zehra ki shaadi


Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
 Send a message via ICQ to Diggaj_Dave Send a message via Yahoo to Diggaj_Dave Send a message via AIM to Diggaj_Dave  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Rubeena Parveen
Registered User
Rubeena Parveen is on a distinguished road
 
Rubeena Parveen's Avatar
 
Offline
Posts: 111
Join Date: Apr 2006
Location: new delhi 25
Rep Power: 19
27th June 2006, 10:22 AM

hi
diggaj ji
bahut hi khub rahi hazrat aur bibi zehra ki shadi padh kar achha laga thanx for sharing

keep sharing + writnig

take care
bye


Mangi thi mene tumse mohbbat ki zindagi
Zindagi ko tumne mohbbat bana diya
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
"kameene","laffange parindo.n" ki "badmaash compny" parveen komal Shayri-e-Dard 9 17th August 2010 11:59 PM
"Ishq collection." "Best of mine" Tausif shaikh Shayri-e-Ishq 0 19th August 2006 11:02 AM
"If I catch you, you're mine ." bindaas_ashi Humourous Shayri 0 28th May 2006 12:25 PM
apne aansuyon ke saath (dedicated to "singson") maikasH Shayri-e-Dard 2 28th September 2001 08:05 PM
{"dhuup ke saath gayaa saath nibhaane vaalaa"}, dilkayarma Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 23rd August 2001 05:54 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com