Zabaan -
25th April 2006, 06:31 PM
Mujh se cheen kar tune ei pardesi meri zabaan
Qatl kar diya bakhoobi se mere andar ka insaan
Ab meri qaum itrati hai teri boli ke talaffus par
Sharmsaz si dikhti hai kabhi anjaan alfazo ki luknat par
Han waqi hum khudi se kitne door hogaye
Bhes badla itna ke asal soorat se lashahoor ho gaye
Ab na soche apni hai na apni zaban
Hum mashriqi itrate hain lekar maghribi pehchan
Main apne mulk main anjaano ko pata hoon
Hum watni shayad sub pardesi ho gaye
********
Main samnadaro main kya teir ke aoonga
Mujhe gaon ki nadi hi main samai hai
|