meri nai kalam se -2 -
7th May 2014, 10:24 PM
roz apne haalaat se takraane ki taqat kaha se laau
khud ko haalaat se nikaalne ki himmat kaha se laau
chalak gaya mere sabra ka har lamha-lamha yaha
tere izhaar ke afsaane me hakkiat kaha se laau.
............
ham har parinde ko aoukaat aur haisiyat ki udaan jaante hai
isliye is aasmaan me bahut kam log hame apnaa maante hai.
............
ab to har raaz par teri surat nazar aatee hai mujhe
aakho ki palak par teri aahat khabar de jati hai mujhe.
............
jis din mere sitare gardish me aa gaye us din tu bhi raakha hogaa
fir kaise bachegaa tu mujhe se us ek pal me puraa insaaf hogaa.
...........
mujhe shouk nahi hai apne hunar ko daav par lagaane ka
tere ajeeb se dastoor me isi zindagee ko kyon jalaane ka.
Ajay Nidaan (09630819356)
http://www.anidaan.@gmail.com
All right reserved with Poet@Ajay nidaan
Kisi ek chehare ki talash me bhatakti rahee zindagi
par mila nahi zindagi ko apni pahchaan ka chehara.
|