कहाँ ये रोज़ की मजबूरियाँ सुलझतीं हैं -
7th September 2024, 09:43 PM
हयात-ओ-मौत की भी गुत्थियाँ सुलझतीं हैं
कहाँ ये रोज़ की मजबूरियाँ सुलझतीं हैं
मैं एक साथ हूँ बहुतेरे क़ैद-ख़ानों में
उलझ-उलझ के मेरी बेड़ियाँ सुलझतीं हैं
मैं जान-बूझ के हैरां हूँ तेरी बातों पर
तुझे लगे कि ग़लत-फ़हमियाँ सुलझतीं हैं
हैं साथ चल रहीं परछाइयाँ हमारी अब
कि दूरियों से ही नज़दीकियाँ सुलझतीं हैं
उलझतीं झूमतीं बदमस्त जो बहारों में
ख़िजां के दौर में वो टहनियाँ सुलझतीं हैं
सदा मलाल पशेमानियों का रहता है
भले ही आज परेशानियाँ सुलझतीं हैं
तलाश कर रहे ग़ज़लों में इश्क़ के मानी
पहेलियाँ कहीं “ज़र्रा” मियाँ सुलझतीं हैं
- ज़र्रा
hayaat-o-maut ki bhi gutthiyaaN sulajhteeN haiN
kahaaN ye roz ki majbooriyaaN sulajhteeN haiN
maiN ek saath hooN bahutere qaid-KHaanoN meN
ulajh-ulajh ke meri beDiyaaN sulajhteeN haiN
maiN jaan-boojh ke hairaaN hooN teri baatoN par
tujhe lage ki Galat-fahmiyaaN sulajhteeN haiN
haiN saath chal raheeN parchhaaiyaaN hamaari ab
ki dooriyoN se hi nazdeekiyaaN sulajhteeN haiN
ulajhteeN jhoomteeN badmast jo bahaaroN meN
KHizaaN ke daur meN vo TahniyaaN sulajhteeN haiN
sada malaal pashemaaniyoN ka rahta hai
bhale hi aaj pareshaaniyaaN sulajhteeN haiN
talaash kar rahe GazloN meN ishq ke maani
paheliyaaN kaheeN “zarraa” miyaaN sulajhteeN haiN
- zarraa
maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
|