Quote:
Originally Posted by Qasid
Arse baad aapni hi daryaaft par pahuch kar us lamhein mein waapis pahunch gaya jaha din SDC ke chaaoN mein guzartaa tha. Soch raha hoon aap sab doston ka saath rahe to is mehfil ko phirse jawaan kiya jaaye.
Aakhri lafz yaha khayaal diya gaya hai to chaliye uspar hi koshish karte hai
Agar main aankh bhi moondu.n mujhe tera khayaal aaye
tera vo ruth kar jaana mere dil par vabaal aaye
Suna hai us khudaaya ne likhi hai sabki taqdeerein
magar meri mohabbat par hi kyun aksar sawaal aaye
tere andaaz par maine to likhi hai kai ghazalein
labon se tu ise padh de to is par bhi jamaal aaye
Meri nazrein to tere bin tera didaar karti hai
ki Jis din tu nahi aaye mere dil mein malaal aaye
teri shatranj aankhon ne mera bhi chain hai loota
mere har daav par aksar tere naino.n ki chaal aaye
khayaalo.n mein diwaano ki meri chahat ka ho qissa
dua hai pyaar mujhko tumpe aisa be-misaal aaye
|
Teri shanranj aankhon ne ...mera bhi chain hai loota
Kya hee kahne
Aap aaye to phir vahi rumaniyat chha gayi mahfil pe...
Bahot khoobsoorat Ghazal...waahhhh!!!
Aate rahiye likhte rahiye!!!!
Aur salamat rahiye