|
|
|
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
7th August 2005, 04:38 PM
Doston..
Ek arse se mehfil tham gayi thi...
Shukr guzaar hoon Aman bhai ka jinhone meri na majudgi mein is mehfil ki shama ko salamat rakha..aur garima ka jinhone ek arse baad meri nazar yaha wapas laa khadi kar di
Baat un dino ki hai jab aab-o-hawa kuch aur thi
zindigiyaan aur thi aur shariyaan aur thi
Jee haan...mehfil puraani hi sahi par waqt ka taqazaa kisi cheez ko rukne ki ijaazat nahi deta is tarah mehfil ki khoobsurti ko barqaraar rakhte hue aage badhte hai
aitebaar se aage badhte hai par is baar hum naye lafz ki Intakhaabi ka haq yaha ke sabse Baa-qaaedah Sukhanwar ko dete hai
<b> AMAN BHAI <b> guzaarish hai ki is mehfil ko aab ek sunheraa lafz de..
intezaar mein
-aapka apnaa
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Paigaam-e-Aman
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
|
8th August 2005, 11:18 AM
Mere veer Anu..........
shukriya bhai........lekin itni izzat.....mann bhar aaya ye pyar dekh kar.......
Mehfil ko aage badate hain....naye lafz se ....jo hai ULFAT
Jald hi is lafz ko le kar likhoonga........aur aap sabse bhi gujarish hai ki is mehfil ko naye lafz se aage badayin....
aapka apna.........
**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......
AMAN RAHI
|
|
|
|
|
Paigaam-e-Aman
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
|
10th August 2005, 02:39 PM
eitbaar par hi to jeete marate hai log
tootte hai is kadar ki aahe bharate hai log
tika hai yeh jahaan eitbaar par yaaron
warna to toote waade roz karte hai log
Wah ...Meri Sweet Pagal Sis....
sher bahut hi badiya likha hai......dahar ki haqeeqat......
aage bhi saath deti rehna..........
tumhara bhai.........
**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......
AMAN RAHI
|
|
|
|
|
Paigaam-e-Aman
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
|
10th August 2005, 02:40 PM
Mere Aziz doston....aur pyare Veer Anu.............
Shukriya....ye sab tumhara pyar hai.....varna main is kaabil kahan....
apne Veer ki mehfil ko ULFAT lafz se aage badaane ki koshish ki hai.....
lijiye pesh-e-nazar hai..........
Bezaar aakhon se lahoo tapka kyun hai……
Bejaan sa ye dil aaj dhadhka kyun hai…..
Zafa ke sholon mein tapak uth.Ti hai…..
Mere ghar hi ye aatish-kadaa kyun hai……
Kya Judaai aur khudaai kya hoti hai……
Mujhe hi ye haasil-e-mazaa kyun hai…..
Khoon karte hain bechain armaaon ka….
Qatl-e-Ulfat ka nazaara, saja kyun hai….
Teri duniya mein aur log bhi the khuda…..
^AMAN^ ko hi ye rog laga kyun hai…..
**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......
AMAN RAHI
Last edited by Aman_rahi; 10th August 2005 at 02:49 PM..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
18th August 2005, 05:47 PM
Kya Judaai aur khudaai kya hoti hai……
Mujhe hi ye haasil-e-mazaa kyun hai…..
Khoon karte hain bechain armaaon ka….
Qatl-e-Ulfat ka nazaara, saja kyun hai….
Pur asar aman veer ji...mehfil ki bulandi ke aap us maqaam tak hai jaha par yeh nacheez nazar andosh ho chuka hai..isi tarah aap aapne dil ki baat buland karte rahiYeGaa
jald hi aapki is ulfat ka jawaab lekar haazir hungaa...
-aapka apnaa
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
20th October 2005, 08:53 AM
Aman bhai..aur baaki mere azeezo..Mehfil ko aage badhaate hue ulfat par yeh kuch sher aapki nazar..
Dilnasheen kya kahen kaha ulfat nazar aayi
Tu aaya nahiN bas ek din teri khabhar aaYi
HuMNe socha ek umr dillagi mein kya paaya hai
phir bhi kismat thi tera dil mujhpar aaya hai
Woh jo guzar gaya usme bhi tera chehra tha
Band nazron mein meri jaan tu nazar aaYi
Tu aaya nahiN bas ek din teri khabhar aaYi
Chod di humne jab duniya to tu nazar aaYi
Agli nazm ki intezaar mein
-aapka apnaa
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
|
21st October 2005, 08:13 PM
ulfat pe likha hai Anu...arz hai...
yeh kehkahe, ye shaad lehja mera haal nahin
*raanaaiion mein aariz ki dil ka wabaal nahin
beauty
tujhko yeh dil hatheli pe rakh de aaye thhe
tere agosh ke *taqaddus mein ik umr jii aaye thhe
purity
rahi thee kab teri ulfat mein ikhtiyaari meri
tujhpe hi ruuh numaayaan na ho saki meri
raahaton ke rangeen aaiwaan sajaata hai
barbaad dil khud ko kuch yoon behlaata hai
mera zabt mere gunahon ki saza hai jaanaa
har saans pe tere liye dast-e-dua hai jaanaa
ab mere paas *azeeyaton ke siwa kuch bhi nahin
seene mein dabi aahon ke siwa kuch bhi nahin
pain
teri yaadon ke chand lamhon ke siwa kuch bhi nahin
lab-e-shirrin ki bisri baaton ke siwa kuch bhi nahin
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
9th April 2015, 09:02 AM
bahot khoob silsilaa merii nazar me aayaa hai Anu bhai.........
merii koshsih rahegii aur baaki members se guzaarish rahegii ke ise fir se active kiyaa jaae...... aap sab apni ghazals is par posr kijiye aur 'ębaarat-e-aSHqiya' ko fir se ek baar wo mukaam dijiye jiskii wo haqdaar hai.....
Shaad......
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
9th April 2015, 11:51 AM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'

Shaad bhai - aapki to ek dafn nazraane ko phir hawaa de di. Yeh baat un dino ki hai jab dil befiqr hawa mein jhoom raha tha, kuch das baras huye hai mujhe yaad hai kya khoobsurat alam tha SDC ka aur kya khoob mehfil saji thi.
Aapka bataur-e-khaas shukriyaa adaa karna chahunga ki aapne wapas is dehleez par lakar khada kiya hai mujhe.
Chaliye ek nayi shuruaat karte hai is mehfil mein, ek naye lafz se shuruaat karte hai.
Jo log yahan pehli baar shirkat kar rahe hai, iltejaa hai ki pehli post kar likhe rules ko ek baar padh le.
Aasaan se lafz se shuruaat kar raha hoon aur jaise jaise bazm mein raunak badhegi lafz ka wazn bhi badhtaa jaayega
Naya lafz hai 'jaan'
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
9th April 2015, 12:39 PM
Anu bhai chaliye jab aaghaaz ho hi chukaa hai to main pesh karnaa chahungaaa wo kalaam jisko maine JAAN nahii JAANA ko devote kiyaa thaa..... hope you all will like that....
yoo.n to koii na thaa meraa tere pahle jaanaa,
phir huaa yoo.n ke mere pyaar ko tuune maanaa.
jaantaa hoo.n nahii mumkin hai tere bin jeenaa,
ye bhii maaloom hai aasaa.n nahii tujh ko paanaa.
maine ab tak jalaa rakkhaa hai charaag-e-ulfat,
bhoole bhaTke sahii ek baar tum zaroor aanaa.
khat unhe de ke aye qaasid suno itnaa karnaa,
khaak us shahr kii do muTThiyaa.n liye aanaa.
khwaahishe.n aur bhii hai.n shaad tere dil me magar,
kyun faqat kar rahaa hai dil teraa Jaanaa jaanaa.
Shaad.....
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
10th April 2015, 02:41 PM

Wah Shaad bhai jaana hi sahi par is baat ki khushi hai ki aapne aaghaaz to kiya. Behad umdaa ghazal huyi hai bhai bahut mithaas hai isme yun to puri ghazal pur asar nazar aayi par is ek sher par do chaar baar wah nikli dil se.
khat unhe de ke aye qaasid suno itnaa karnaa,
khaak us shahr kii do muTThiyaa.n liye aanaa.
Umeed hai aur log bhi is bazm ko aage muqarrar karenge.
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
10th April 2015, 04:38 PM
Quote:
Originally Posted by mast

aapki inaayat hai janaab jo aapne hame is qaabil samjhaa ke ghazal aapko pasand aa sakii....
main guzaaris karungaa baaki ke members se ke is silsile ko aaage badhaane me apna keemtii waqt den.......
agar poora kalaam na likh saken to chand sher hi likh den... magar ye silsilaa chalne den......
shukriyaa
Shaad.....
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
12th April 2015, 09:05 AM
Jaan lafz ko lekar likhne ko koshish ki hai, aap sab ki nazar
jaan nikal gayi jo meri jaan chale gaye
qaid dil ke mere armaan chale gaye
qusoor tha mera kabhi zikr to kiya hota
khamoshi se bandh kar samaan chale gaye
subah subah jaha hota tha hasna rona
kar ke soona mera makaan chale gaye
'mast' rehte hai gumnaam in deewaron mein
maikashi mein hote yun badnaam chale gaye
जान निकल गयी जो मेरी जान चले गए
क़ैद दिल के मेरे अरमान चले गए
क़ुसूर था मेरा कभी ज़िक्र तो किया होता
ख़ामोशी से बांध कर सामान चले गए
सुबह सुबह जहा होता था हसना रोना
कर के सूना मेरा मकान चले गए
'मस्त' रहते है गुमनाम इन दीवारों में
मैकशी में होते यूँ बदनाम चले गए
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
12th April 2015, 09:16 AM

waaaaaahhhhhhhhhhhhhhhh kyaa baat hai merii jaan,
aapne to nikaal dii merii jaan.....
bahot ummdah pesh kash hai bhai.... daad pesh hain aapko... likhte rahen...
Shaad.......
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
12th April 2015, 06:15 PM
Adaab shaad jii..,anu jii...
Bahut hee achcha silsila hai ye aur sach kahoon aise kisi silsile ki khwahish bhi thi dil me..jjisse likhne ka ek naya bahana mile..aap dono ne bahut hee achche kalaam pesh kiye...koshish karoongi ki mai bhi apni koi koshish aap sab se share kar paun.....
filhaal to aap logon ne interwiev me busy kar rakha hai mujhe..... ..
jaldi hee shirkat karoongi...
Shukriya...
madhu..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
13th April 2015, 03:01 AM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14

Madhu ji aabhi jaan lafz ko lekar 2 ghazal huyi, aapki shirkat ka besabri se intezaar rahegaa....jaldi aayiyeGaa
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
13th April 2015, 05:13 PM
wow........... a big woowwwwwwwwwwwwww...
kia hii zaberdast qism ka "silsila" hy Mast bhai ....
muaafi ka talab-gaar hooN ky is haseen safhe ko aaj tak na dekh paya ...
chaleN lafz "jaaN" per meri aik mukhtasar si nazm... :-
mohabbat ki daastaaN
zarra sun toH meri jaaN
ishQ karna nahi asaaN
kabhi karta hai hairaaN
to kabhi karta pashemaaN
rakhta hai ik alag shaaN
nahi is ka koi baaghbaaN
agar ho jaye kisi ko yahaaN
nazroN se haal hota bayaaN
lagta to hai be-zubaaN
per leta hai kayi imtehaaN
hewaaN ko banaye insaaN
yeHi hai ishQ ki shaaN
gar kar le koi iss jahaN
saath rehta hai daaemaaN
teri doori se dil hai pareshaaN
jaaN! maiN yahaN tu kahaN?
daaemaaN : forever
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
Last edited by Hassan; 13th April 2015 at 05:15 PM..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
13th April 2015, 10:25 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
wow........... a big woowwwwwwwwwwwwww...
kia hii zaberdast qism ka "silsila" hy Mast bhai ....
muaafi ka talab-gaar hooN ky is haseen safhe ko aaj tak na dekh paya ...
chaleN lafz "jaaN" per meri aik mukhtasar si nazm... :-
mohabbat ki daastaaN
zarra sun toH meri jaaN
ishQ karna nahi asaaN
kabhi karta hai hairaaN
to kabhi karta pashemaaN
rakhta hai ik alag shaaN
nahi is ka koi baaghbaaN
agar ho jaye kisi ko yahaaN
nazroN se haal hota bayaaN
lagta to hai be-zubaaN
per leta hai kayi imtehaaN
hewaaN ko banaye insaaN
yeHi hai ishQ ki shaaN
gar kar le koi iss jahaN
saath rehta hai daaemaaN
teri doori se dil hai pareshaaN
jaaN! maiN yahaN tu kahaN?
daaemaaN : forever
|
Hassan bhai muqammal si nazm is mehfil mein rakhne ka shukriyaa, behad khoob istemaal kiya hai aapne is lafz ko. Mazaa aa gaya, yunhi is bazm mein shirkat karte rahiYeGaa
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
14th April 2015, 11:31 AM
Lafz jaan par ek koshish. ...umeed hai aap sab ko pasand aayegi.....
Ab maan bhi lo jana tum jaan hamare ho.
dil se kahiin na jana mehmaan hamare ho.
Tum Rang e muhabbat me dooba sa ek tarana
Sun kar labon pe chhaye muskaan hamare ho.
Veeraan se raahon par mahki si saba ho tum.
Tum Khilte se phoolon ka baagan hamare ho.
Haathon ki hina ho tum kajal bhi ho ankhon ka...
Har shokh adaa ka tum samaan hamaare ho.
Rahbar ho madhu ke tum anjaan se safar me...
Bas saath tera chaahun armaan hamare ho.
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
14th April 2015, 11:56 AM

Allaah ye ek din ke lye mian site se door kyaa huaaaa yahaan to doston ne ghazal ki yoon mahfil jamaaii hai ke bas ham iske ras me doobe hue hain...
ek se ek kalam hue hain aap dono ki taraf se hassan bhia ur madhu saahibaa..... beshaq aapne jaan me rang bhar ke jaan me jaan daal dii hai...
bahot acchii tarah se nibhaa rahe hain ye silsilaa sab... mujhe bahot khushi ho rahii hai ke sab actively participate kar rahe hain.....
Salaamat rahiye .... khush rahiye....
Shaad....

behad shukriyaa Mast bhai ...
saath dete rahiye ga... salamat rahen ..
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Lafz jaan par ek koshish. ...umeed hai aap sab ko pasand aayegi.....
Ab maan bhi lo jana tum jaan hamare ho.
dil se kahiin na jana mehmaan hamare ho.
Tum Rang e muhabbat me dooba sa ek tarana
Sun kar labon pe chhaye muskaan hamare ho.
Veeraan se raahon par mahki si saba ho tum.
Tum Khilte se phoolon ka baagan hamare ho.
Haathon ki hina ho tum kajal bhi ho ankhon ka...
Har shokh adaa ka tum samaan hamaare ho.
Rahbar ho madhu ke tum anjaan se safar me...
Bas saath tera chaahun armaan hamare ho.
|
arrry waaaah...
kia baat hy Madhu jee...
ishQ ky rung mein rangi yeh ranga rung tehreer bohat hii lutf de gayi....
aise hii meHfil roshan karte rahiye .. aur humain mehzooz aur mehzoor karte rahiye..
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
14th April 2015, 11:58 AM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
Allaah ye ek din ke lye mian site se door kyaa huaaaa yahaan to doston ne ghazal ki yoon mahfil jamaaii hai ke bas ham iske ras me doobe hue hain...
ek se ek kalam hue hain aap dono ki taraf se hassan bhia ur madhu saahibaa..... beshaq aapne jaan me rang bhar ke jaan me jaan daal dii hai...
bahot acchii tarah se nibhaa rahe hain ye silsilaa sab... mujhe bahot khushi ho rahii hai ke sab actively participate kar rahe hain.....
Salaamat rahiye .... khush rahiye....
Shaad....
|
nawaazish hy Shaad bhai ...
bohat hii mazeedaar silsilay hy....
issy aur aagy le jaana chaiye!
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
14th April 2015, 12:39 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
nawaazish hy Shaad bhai ...
bohat hii mazeedaar silsilay hy....
issy aur aagy le jaana chaiye!
|
jee hassan bhai..... ham poorii koshish karenge ke ye silsilaa aage aur aage badhtaa Jaae...
bas is koshish me hame aap sab doston ki zaruurat padegii... ummeed hai aap sab saath dete rahenge......
Shukriyaa
Shaad.....
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
14th April 2015, 01:45 PM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
jee hassan bhai..... ham poorii koshish karenge ke ye silsilaa aage aur aage badhtaa Jaae...
bas is koshish me hame aap sab doston ki zaruurat padegii... ummeed hai aap sab saath dete rahenge......
Shukriyaa
Shaad.....
|
insha Allah ................................
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
14th April 2015, 01:51 PM
iss thread ko sticky hona chaiye ....
kia khayaal hy .. Mast bhai .. Shaad bhai .. ??
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
14th April 2015, 02:32 PM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
Allaah ye ek din ke lye mian site se door kyaa huaaaa yahaan to doston ne ghazal ki yoon mahfil jamaaii hai ke bas ham iske ras me doobe hue hain...
ek se ek kalam hue hain aap dono ki taraf se hassan bhia ur madhu saahibaa..... beshaq aapne jaan me rang bhar ke jaan me jaan daal dii hai...
bahot acchii tarah se nibhaa rahe hain ye silsilaa sab... mujhe bahot khushi ho rahii hai ke sab actively participate kar rahe hain.....
Salaamat rahiye .... khush rahiye....
Shaad....
|
Shukriya....shaad jee..khushi huyi ki koshish pasand aayi aapko...
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
14th April 2015, 02:36 PM
Shukriya hassan jee...................
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
14th April 2015, 04:10 PM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Lafz jaan par ek koshish. ...umeed hai aap sab ko pasand aayegi.....
Ab maan bhi lo jana tum jaan hamare ho.
dil se kahiin na jana mehmaan hamare ho.
Tum Rang e muhabbat me dooba sa ek tarana
Sun kar labon pe chhaye muskaan hamare ho.
Veeraan se raahon par mahki si saba ho tum.
Tum Khilte se phoolon ka baagan hamare ho.
Haathon ki hina ho tum kajal bhi ho ankhon ka...
Har shokh adaa ka tum samaan hamaare ho.
Rahbar ho madhu ke tum anjaan se safar me...
Bas saath tera chaahun armaan hamare ho.
|
Kabhi socha nahi tha ki aisi pur asar ghazlon se rubaruu hogi yeh mehfil. Aapko mast ki daad ke saath saath salaam bhi karta hooN.
Bahut khoob ehsaason ko aapne ghazal ka roop diya ki aaina bhi sharmaa jaaye.
Yunhi bazm roshan rakhiYeGaa
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
14th April 2015, 04:11 PM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
Allaah ye ek din ke lye mian site se door kyaa huaaaa yahaan to doston ne ghazal ki yoon mahfil jamaaii hai ke bas ham iske ras me doobe hue hain...
ek se ek kalam hue hain aap dono ki taraf se hassan bhia ur madhu saahibaa..... beshaq aapne jaan me rang bhar ke jaan me jaan daal dii hai...
bahot acchii tarah se nibhaa rahe hain ye silsilaa sab... mujhe bahot khushi ho rahii hai ke sab actively participate kar rahe hain.....
Salaamat rahiye .... khush rahiye....
Shaad....
|
Shaad bhai - yeh site nahi hai aadat hai ek din ke liye bhi chhodi nahi jaati, aate rahiYeGaa
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
15th April 2015, 09:09 AM
Mast saahab aadaab.... bajaa farmaaya aapne ke ye site nahii ek adab hai ek aadaat hai ek lahzaa hai.......
beshaq agar ek din bhi door jaaen to khaaamiyaazaa bhugatnaa hi padtaa hai, ke doston ke aise pyaare pyaare kalaam se nazar chook jaatii hai.....
Ek sawaal thaa aapse.... kyaa abhi lafz JAAN par hi ghazal kahnii hai.....??
aglaa lafz kitne dino me pesh kiyaa jaawegaa......
aapke jawaab ka muntazir....
Khaaksaar..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
15th April 2015, 10:25 AM

Aapka sawaal se aapki aage likhne ki bechaaini saaf jhalak rahi hai aur kyun na ho bazm ka mahool hi kuch aisa bana hua hai..
amooman to hidaayat 5-7 mukarrar ghazalon ki hai aur mashallah 4 nayaab nazraane to aap logon ne padh liye hai.
Main ise 1 din ka aur waqt deta hoon aur aapse iltejaa hai ki kal naya alfaaz aap bhi adaa farmaayein is mehfil mein.
Tab tak 1 aur ghazal/nazm ke intezaar mein.
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
16th April 2015, 04:09 PM
Shaad bhai - mehfil naye ashaar ke intezaar mein aabshaar baha rahi hai, jaldi aayein aur is mehfil ko aage badhayeiN.
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
16th April 2015, 04:18 PM
Mast bhai .. shaad bhai to nahi aaye .. maiN aa gaya ...
‘parStaar’ jaaN se haara ik saraapa-e-husn pe!
zindagi meN na uss jesa koi shabaab dekha...
saraapa-e-husn : totally beautiful
shabaab : prime of life
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
17th April 2015, 09:03 AM
Quote:
Originally Posted by Hassan
Mast bhai .. shaad bhai to nahi aaye .. maiN aa gaya ...
‘parStaar’ jaaN se haara ik saraapa-e-husn pe!
zindagi meN na uss jesa koi shabaab dekha...
saraapa-e-husn : totally beautiful
shabaab : prime of life
|
waahhhhh hassan bhai............... kyaa khoob sher kahaa hai......
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
17th April 2015, 10:02 AM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
waahhhhh hassan bhai............... kyaa khoob sher kahaa hai......
|
mohabbat hy bhai kii!
agla lafz dy bhi dejiye ..
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
17th April 2015, 10:15 AM
wo mere haath me nahi hai yaar..... mast bhai will announce....
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
17th April 2015, 10:25 AM
Quote:
Originally Posted by mast
aapka sawaal se aapki aage likhne ki bechaaini saaf jhalak rahi hai aur kyun na ho bazm ka mahool hi kuch aisa bana hua hai..
Amooman to hidaayat 5-7 mukarrar ghazalon ki hai aur mashallah 4 nayaab nazraane to aap logon ne padh liye hai.
Main ise 1 din ka aur waqt deta hoon aur aapse iltejaa hai ki kal naya alfaaz aap bhi adaa farmaayein is mehfil mein.
tab tak 1 aur ghazal/nazm ke intezaar mein.
|
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
wo mere haath me nahi hai yaar..... Mast bhai will announce....
|
.................................................. ........
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
17th April 2015, 11:40 AM
Chaliye bhai yahi sahii....................
hamaari taraf se is baar ka nayaa word hai.....
deedaar.
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
17th April 2015, 12:02 PM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
Chaliye bhai yahi sahii....................
hamaari taraf se is baar ka nayaa word hai.....
deedaar.
|
awesome word .. Shaad bhai ..
poori ghazal mein to yeh lafz shayed aik hi baar aaye ...
ab muamm'a yeh hy ky poori ghazal share karni hy ya sirf couplet ?
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|