|
|
|
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
17th April 2015, 12:04 PM
aap sochieN .. tab tak ky liye aik sher :-
deedar-e-yaar meiN pashemaani kesi!
pyaar hai so hai, jag hansaayi kesi?
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
17th April 2015, 03:24 PM
bhai ye zaruuri nahi ke ghaza ke har sher me is lafz ka aana laazmii ho...
bas haan ek aad sher me bhi raha aur sher me us lafz ka wazan rahaa to mere khyaaal se kaafii hogaa..... aur haan bhai.... sher kahne ki to beroktok ijaazat hai.... jitte chahe sher share kijiye, magar har alahada sher me is lafz ka shaamil honaa bhi zaruuri hai....
ijaazat....
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
17th April 2015, 03:25 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
aap sochieN .. tab tak ky liye aik sher :-
deedar-e-yaar meiN pashemaani kesi!
pyaar hai so hai, jag hansaayi kesi?
|
kyaa baat hai bhai waaahhhhhhhh..............
aaghaaz ka ye aalam hai to anjaam kyaa hogaa... bahot si daad aur mubaarakbaad..
Shaad...
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
17th April 2015, 05:35 PM
Quote:
Originally Posted by mast
Kabhi socha nahi tha ki aisi pur asar ghazlon se rubaruu hogi yeh mehfil. Aapko mast ki daad ke saath saath salaam bhi karta hooN.
Bahut khoob ehsaason ko aapne ghazal ka roop diya ki aaina bhi sharmaa jaaye.
Yunhi bazm roshan rakhiYeGaa
|
Bahut bahut shukriya mast jee.......
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
17th April 2015, 05:37 PM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
Chaliye bhai yahi sahii....................
hamaari taraf se is baar ka nayaa word hai.....
deedaar.
|
Waaah..shaad jee.....bbeautiful word...
koshish rahegi kuch pesh kar sakoon is par..
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
17th April 2015, 05:38 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
aap sochieN .. tab tak ky liye aik sher :-
deedar-e-yaar meiN pashemaani kesi!
pyaar hai so hai, jag hansaayi kesi?
|
Bahut khoob hassan jii..
pyaar hai so hai jag hansai kesi......waaah..
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
Deedaar -
26th April 2015, 11:05 AM
Shaad bhai aapke diye lafz ko lekar koshish ki hai, batayieGaa kaisi lagi...
isi hasrat se niklaa hoon tera deedaar ho jaaye
zaati taur agar na ho sare bazaar ho jaaye
sarakti ret ki tarah yeh din bhi beet jaayeGaa
khudaya is qadr kisi ka na koi bimaar ho jaaye
husn dete hue maalik nasehat yeh bhi di hoti
kisi ka qatl na unse bina hathiyaar ho jaaye
'mast' se dil-e-nadaan ko parastish* maar na daale
humhe na ruu-numaa'ii** ka kahin eitbaar ho jaaye
parastish = adoration
ruu-numaa'ii = showing the face
इसी हसरत से निकला हूँ तेरा दीदार हो जाए
ज़्याती तौर अगर न हो सरे बाजार हो जाए
सरकती रेत की तरह यह दिन भी बीत जाएगा
खुदाया इस क़द्र किसी का न कोई बीमार हो जाए
हुस्न देते हुए मालिक नसीहत यह भी दी होती
किसी का क़त्ल न उनसे बिना हथियार हो जाए
'मस्त' से दिल-ए-नादान को परस्तिश* मार न डाले
हमे न रू-नुमा'ई** का कहीं ऐतबार हो जाए
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
26th April 2015, 10:39 PM

Waaah waah mast jii...kya khoob kalaam kaha hai deedar lafz par....holiday ke baad ka josh dikh raha hai....
Likhte rahein..
khush rahein...
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
27th April 2015, 07:41 AM
Pesh hai..Lafz deedar par ek koshish..aap sabki nazar...
Kaam aisa bhi aaj kar jayein.
Jaan lutayein kisi pe mar jayein.
Tere deedar ko bahut tarse
Yoon na ho had se ham guzar jayein.
Mushkilon se ye hausla aaya
Ab na hoga ye ki dar jayein
Faasle tum sabhi mita bhi do
Thaam lo hamko na bikhar jayein.
Tu kiran khilti dhoop ki jaise
Kaliyaan sab phool ban nikhar jayein.
Rah e duniya me fir mile na mile
Tum pukaro ki ham thahar jayein.
Meri manzil hai ek teri mahfil
baad iske 'madhu' kidhar jayein.
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
Last edited by Madhu 14; 27th April 2015 at 07:44 AM..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
27th April 2015, 08:05 AM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Waaah waah mast jii...kya khoob kalaam kaha hai deedar lafz par....holiday ke baad ka josh dikh raha hai....
Likhte rahein..
khush rahein...
|
Hahahaha...Madhu ji woh shayar hi kya jiska josh-e-junoon thanda padh jaaye...
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
27th April 2015, 08:07 AM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Pesh hai..Lafz deedar par ek koshish..aap sabki nazar...
Kaam aisa bhi aaj kar jayein.
Jaan lutayein kisi pe mar jayein.
Tere deedar ko bahut tarse
Yoon na ho had se ham guzar jayein.
Mushkilon se ye hausla aaya
Ab na hoga ye ki dar jayein
Faasle tum sabhi mita bhi do
Thaam lo hamko na bikhar jayein.
Tu kiran khilti dhoop ki jaise
Kaliyaan sab phool ban nikhar jayein.
Rah e duniya me fir mile na mile
Tum pukaro ki ham thahar jayein.
Meri manzil hai ek teri mahfil
baad iske 'madhu' kidhar jayein.
|
WAH WAH !!!
Pur asar Madhu ji aapka andaaz-e-bayaan kya kahen mazaa aa gaya kitni baareki aur saadgi se aapne deedaar lafz ka istemaal kiya hai is ghazal mein. Mazaa aa gaya.
Behad khoob.
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
27th April 2015, 11:26 AM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
kyaa baat hai bhai waaahhhhhhhh..............
aaghaaz ka ye aalam hai to anjaam kyaa hogaa... bahot si daad aur mubaarakbaad..
Shaad...
|
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Bahut khoob hassan jii..
pyaar hai so hai jag hansai kesi......waaah..
|
bohat shukriyaa doston ..................
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
27th April 2015, 11:28 AM
Quote:
Originally Posted by mast
Shaad bhai aapke diye lafz ko lekar koshish ki hai, batayieGaa kaisi lagi...
isi hasrat se niklaa hoon tera deedaar ho jaaye
zaati taur agar na ho sare bazaar ho jaaye
sarakti ret ki tarah yeh din bhi beet jaayeGaa
khudaya is qadr kisi ka na koi bimaar ho jaaye
husn dete hue maalik nasehat yeh bhi di hoti
kisi ka qatl na unse bina hathiyaar ho jaaye
'mast' se dil-e-nadaan ko parastish* maar na daale
humhe na ruu-numaa'ii** ka kahin eitbaar ho jaaye
parastish = adoration
ruu-numaa'ii = showing the face
इसी हसरत से निकला हूँ तेरा दीदार हो जाए
ज़्याती तौर अगर न हो सरे बाजार हो जाए
सरकती रेत की तरह यह दिन भी बीत जाएगा
खुदाया इस क़द्र किसी का न कोई बीमार हो जाए
हुस्न देते हुए मालिक नसीहत यह भी दी होती
किसी का क़त्ल न उनसे बिना हथियार हो जाए
'मस्त' से दिल-ए-नादान को परस्तिश* मार न डाले
हमे न रू-नुमा'ई** का कहीं ऐतबार हो जाए
|
husn dete hue maalik nasehat yeh bhi di hoti
kisi ka qatl na unse bina hathiyaar ho jaaye
'mast' se dil-e-nadaan ko parastish* maar na daale
humhe na ruu-numaa'ii** ka kahin eitbaar ho jaaye
waaaah waaah .. waaaah ...
Mast bhai .. kia kehny ..
bohat umdah likha hy .....
daad qabool kejiye!
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
27th April 2015, 11:33 AM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Pesh hai..Lafz deedar par ek koshish..aap sabki nazar...
Kaam aisa bhi aaj kar jayein.
Jaan lutayein kisi pe mar jayein.
Tere deedar ko bahut tarse
Yoon na ho had se ham guzar jayein.
Mushkilon se ye hausla aaya
Ab na hoga ye ki dar jayein
Faasle tum sabhi mita bhi do
Thaam lo hamko na bikhar jayein.
Tu kiran khilti dhoop ki jaise
Kaliyaan sab phool ban nikhar jayein.
Rah e duniya me fir mile na mile
Tum pukaro ki ham thahar jayein.
Meri manzil hai ek teri mahfil
baad iske 'madhu' kidhar jayein.
|
Tere deedar ko bahut tarse
Yoon na ho had se ham guzar jayein.
Faasle tum sabhi mita bhi do
Thaam lo hamko na bikhar jayein.
waaaaaaaaaaaaahh! kia baat hy Madhu jee..
bohat hii accha likha hy ...
daad qabool kejiye!
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
27th April 2015, 03:26 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
husn dete hue maalik nasehat yeh bhi di hoti
kisi ka qatl na unse bina hathiyaar ho jaaye
'mast' se dil-e-nadaan ko parastish* maar na daale
humhe na ruu-numaa'ii** ka kahin eitbaar ho jaaye
waaaah waaah .. waaaah ...
Mast bhai .. kia kehny ..
bohat umdah likha hy .....
daad qabool kejiye!
|
Hassan bhai daad ka behad shukriyaa. Aapki ghazal ka intezaar hai humhe.
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
27th April 2015, 04:38 PM
Quote:
Originally Posted by mast
Hassan bhai daad ka behad shukriyaa. Aapki ghazal ka intezaar hai humhe.
|
chaleN bhai aik koshish pesh-e-nazar hai ..
" Bachpan - Jawaani - Budhaapa"
ho jaye ik taaza ghazal!
naya phool, hawa rukh badal
maa ka lams, baaap ka laad!
jhoomne laga jese hur ik pal!
shab-e-hijr zara jaldi dhal!
tulu-e-sehar phir "deedar-e-kanwal"
shab-e-khwaab ki khumaari....!
ab uth aur daftar chal!
bachpan jawaani budhaapa
ae nokar, pension pakar, nikal!
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
27th April 2015, 05:43 PM
Quote:
Originally Posted by mast
WAH WAH !!!
Pur asar Madhu ji aapka andaaz-e-bayaan kya kahen mazaa aa gaya kitni baareki aur saadgi se aapne deedaar lafz ka istemaal kiya hai is ghazal mein. Mazaa aa gaya.
Behad khoob.
|
Shukriya mast jii......inayat hai aapki......
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
27th April 2015, 05:45 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
Tere deedar ko bahut tarse
Yoon na ho had se ham guzar jayein.
Faasle tum sabhi mita bhi do
Thaam lo hamko na bikhar jayein.
waaaaaaaaaaaaahh! kia baat hy Madhu jee..
bohat hii accha likha hy ...
daad qabool kejiye!
|
Shukriya janaab......sath dete rahein....
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
27th April 2015, 05:48 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
chaleN bhai aik koshish pesh-e-nazar hai ..
" Bachpan - Jawaani - Budhaapa"
ho jaye ik taaza ghazal!
naya phool, hawa rukh badal
maa ka lams, baaap ka laad!
jhoomne laga jese hur ik pal!
shab-e-hijr zara jaldi dhal!
tulu-e-sehar phir "deedar-e-kanwal"
shab-e-khwaab ki khumaari....!
ab uth aur daftar chal!
bachpan jawaani budhaapa
ae nokar, pension pakar, nikal!
|
Bahut khoob hassan jii....deedar lafz ka bahut khoob istemaal..aur .zindgi ki hakikat bahut hii khoobsoorti se bayaan ki aapne.....dheron daad....
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
27th April 2015, 10:07 PM

Hassan MiyaaN, kamaal karte ho janaab. Ise kehte hai bulandi ko chuu lena. Aapki is ghazal ne alfaazon ko thamne ke liye keh diya hai. Behad khoob mere bhai...yunhi bazm roshan rakhiYee
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
28th April 2015, 10:26 AM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Bahut khoob hassan jii....deedar lafz ka bahut khoob istemaal..aur .zindgi ki hakikat bahut hii khoobsoorti se bayaan ki aapne.....dheron daad....
|
Quote:
Originally Posted by mast
Hassan MiyaaN, kamaal karte ho janaab. Ise kehte hai bulandi ko chuu lena. Aapki is ghazal ne alfaazon ko thamne ke liye keh diya hai. Behad khoob mere bhai...yunhi bazm roshan rakhiYee
|
khaak lafzoN ki pasandeedgi ky liye manoon-o-mashkoor hooN dostoN!..
milty rahiye ..
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
Tere Husn Ko Kitni GhazloN, NazmoN meiN ChupaooN?? -
28th April 2015, 10:32 AM
aik koshish:-
tu alfaaz ki chaadar ohdh ke, haroof ki soorat nikle!
phir bhi ahbaab-o-aghyar tujhe pehchaantay haiN...
ahbaab-o-aghyar = dost aur dushman
ebaarat-e-ishQ meiN, gar tera zikr na cheedooN to...
haazreen-e-mehfil buraa maantay haiN.....
haalan ke! haal-e-dil kisi per uryaa'n nahi kiya!
shehar walay mujhe dewaana hi gardaantay haiN...
uryaa'n = zaahir
gardaantay = samjhtay
issay mohabbat ki inteha kahooN, ya pagal-pan!!
deedar-e-yaar k baad hum mithaayi baant'tay haiN..
tere husn ko kitni ghazloN, nazmoN meiN chupaooN??
meri jaan! log, mera mouzu-e-sukhn jaantay haiN...
mouzu-e-sukhn = mouzu-e-ghazal
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
28th April 2015, 11:47 AM
haalan ke! haal-e-dil kisi per uryaa'n nahi kiya!
shehar walay mujhe dewaana hi gardaantay haiN...
uryaa'n = zaahir
gardaantay = samjhtay
issay mohabbat ki inteha kahooN, ya pagal-pan!!
deedar-e-yaar k baad hum mithaayi baant'tay haiN..
Waaaaaaaah....kya khoob likha hai hassan jii..sabhi ashaar dil chhoo gaye.....
behatreen kalaam ke liye dher sari daad aur mubarak baad.
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
28th April 2015, 11:55 AM

bohat shukriyaa Madhu jee ....
salamat rahen..
dua-go,
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
28th April 2015, 08:09 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
issay mohabbat ki inteha kahooN, ya pagal-pan!!
deedar-e-yaar k baad hum mithaayi baant'tay haiN..
|
Wah bhai - Behad umdaa yeh ek sher to jaan le gaya. Pur asar.
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
29th April 2015, 09:58 AM
Quote:
Originally Posted by mast
Wah bhai - Behad umdaa yeh ek sher to jaan le gaya. Pur asar.
|
inayat hy bhai kii....
salamat rahen ..
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Member
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 27
|
29th April 2015, 09:50 PM
Kaisa hai pyar ki hum duniya Jahan bhool baithe ,
Unke deedar ke sadke hum khudko bhool baithe
Hue beemar e Ishq mein rusvaee kabool baithe,
Dil ki dharkano pe likhna unka naam bhool baithe
Kwahishon ka daur kuch itna nagawar guzra,
Unki chahat mein bhejna salaam bhool baithe.
Ab bebasi ki had hai ber gayi is kadar tak,
hum apne kuuche mein lautna hi bhool baithe
Yaar mil jaye kabhi tau usko ye paigam dena ,
apna banane ki chahat mein apno ko bhool baithe.
khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
30th April 2015, 09:41 AM
Quote:
Originally Posted by Hamdam

Sanjay Bhai khushamadeed aapka is mehfil mein swaagat hai tahe dil se aur khoob ghazal huyi aapne deedar lafz ko lekar khoob ehsaas pesh kiye hai. Technically kahun to qafiyaa 1st aur aakhiri do sher mein baaki sheron se thoda alag hai jabki radif 'bhool baithe' aapne baraabar nibhaaya haiN. Aap qafiye ki marammat karein is ghazal mein to muqammal ho jaaye.
Yunhi mehfil mein shirkat karte raheiN aur likhte raheiN.
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
30th April 2015, 09:48 AM
Quote:
Originally Posted by Hamdam
Kaisa hai pyar ki hum duniya Jahan bhool baithe ,
Unke deedar ke sadke hum khudko bhool baithe
Hue beemar e Ishq mein rusvaee kabool baithe,
Dil ki dharkano pe likhna unka naam bhool baithe
Kwahishon ka daur kuch itna nagawar guzra,
Unki chahat mein bhejna salaam bhool baithe.
Ab bebasi ki had hai ber gayi is kadar tak,
hum apne kuuche mein lautna hi bhool baithe
Yaar mil jaye kabhi tau usko ye paigam dena ,
apna banane ki chahat mein apno ko bhool baithe.
|
waaaaah saahab waaaaaaaah.................
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
30th April 2015, 10:04 AM
Quote:
Originally Posted by Hamdam
Kaisa hai pyar ki hum duniya Jahan bhool baithe ,
Unke deedar ke sadke hum khudko bhool baithe
Hue beemar e Ishq mein rusvaee kabool baithe,
Dil ki dharkano pe likhna unka naam bhool baithe
Kwahishon ka daur kuch itna nagawar guzra,
Unki chahat mein bhejna salaam bhool baithe.
Ab bebasi ki had hai ber gayi is kadar tak,
hum apne kuuche mein lautna hi bhool baithe
Yaar mil jaye kabhi tau usko ye paigam dena ,
apna banane ki chahat mein apno ko bhool baithe.
|
Bahut khoob sanjay jiiii................
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
1st May 2015, 12:12 PM
Deedar lafz par nayi koshish
Teri khwaaish ki khaamoshi
zaar-o-nizaar* deti hai
Main yun mar mar ke jeeta hooN
Mujhe phir maar deti hai
mast aankhon ki baichaaini
bhi kya khumaar deti hai
jab main khwaabidaa hota hooN
mujhe deedaar deti hai
bahut bebas si halat mein
qaul-o-qaraar** deti hai
tere baare mein likhtaa hooN
aur yeh ashaar deti hai
* weakening/kamzoor kar dena
** acceptance
तेरी ख्वाइश की खामोशी
ज़ार-ओ-निज़ार* देती है
मैं यूँ मर मर के जीता हूँ
मुझे फिर मार देती है
मस्त आँखों की बैचैनी
भी क्या खुमार देती है
जब मैं ख्वाबिदा होता हूँ
मुझे दीदार देती है
बहुत बेबस सी हालत में
कॉल-ओ-क़रार** देती है
तेरे बारे में लिखता हूँ
और यह अशार देती है
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 39
|
1st May 2015, 06:00 PM
wah wah wah! kya mehfil saji hai!!
majaa aa gaya sabhi ek se badkar ek. ek adna si koshish main bhi kar ke dekhti hun.
Jaa rahi hai jaan ab
Deedaar De Deedaar De
tu hi allah tu hi rab
Deedaar De Deedaar De
Tuu ek nashaa hai pyaar ka
Deedaar De Deedaar De
Tere bina ruki hai shab
Deedaar De Deedaar De
hain dhadkane badi hui
Deedaar De Deedaar De
palkein bichaaye baithe sab
Deedaar De Deedaar De
hai ik khumaari chah ki
Deedaar De Deedaar De
masti ka ho bas ye sabab
Deedaar De Deedaar De
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
1st May 2015, 10:57 PM
Quote:
Originally Posted by masti
wah wah wah! kya mehfil saji hai!!
majaa aa gaya sabhi ek se badkar ek. ek adna si koshish main bhi kar ke dekhti hun.
Jaa rahi hai jaan ab
Deedaar De Deedaar De
tu hi allah tu hi rab
Deedaar De Deedaar De
Tuu ek nashaa hai pyaar ka
Deedaar De Deedaar De
Tere bina ruki hai shab
Deedaar De Deedaar De
hain dhadkane badi hui
Deedaar De Deedaar De
palkein bichaaye baithe sab
Deedaar De Deedaar De
hai ik khumaari chah ki
Deedaar De Deedaar De
masti ka ho bas ye sabab
Deedaar De Deedaar De
|
Wah Wah, Sarika bahut bahut khushamadeed is bazm mein aap aayi. Aur kya dhaamekdhaar entry huyi hai. Chaliye deedaar lafz par to kya khoob mehfil jami hai.
Chaliye ab aapse guzaarish hai ki aap ebaarat-e-ashqiya ko agla alfaaz de jisse ki mehfil aage badhe
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 39
|
2nd May 2015, 10:09 AM
Quote:
Originally Posted by mast
Wah Wah, Sarika bahut bahut khushamadeed is bazm mein aap aayi. Aur kya dhaamekdhaar entry huyi hai. Chaliye deedaar lafz par to kya khoob mehfil jami hai.
Chaliye ab aapse guzaarish hai ki aap ebaarat-e-ashqiya ko agla alfaaz de jisse ki mehfil aage badhe
|
Shukriya Mast ji
chaliye iss baar ka shabd hai
Zindagi
ummeed hai iss shabd se mere sabhi doston ke mann mein bohut saare vichaar aayenge aur humein bohut he khoobsoorat Kalaam padne ko milenge.
Last edited by masti; 2nd May 2015 at 10:11 AM..
|
|
|
|
|
Member
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 27
|
3rd May 2015, 07:58 PM
Aao kuch aisa kareiN ki her samay suhana ho jaye,
Her pel jeewan jeene ka bahana ho jaye.
Urte rahein parinde door asmano meiN,
Bhanvera bhi phooloN ka deewana ho jaye.
Roz subah teri chahat meiN khule ankh meri,
Ye dil tere pyar ka hurdum deewana ho jaye.
Dooriyan bahut haiN zindagi ke safar meiN,
Tere paas ane se ghum mujse anjana ho jaye.
Aa doob jayein ek duje ki bahoN mein sanam,
Apne hothon pe roz ek naya tarana ho jaye.
khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 39
|
3rd May 2015, 11:43 PM
Quote:
Originally Posted by Hamdam
Aao kuch aisa kareiN ki her samay suhana ho jaye,
Her pel jeewan jeene ka bahana ho jaye.
Urte rahein parinde door asmano meiN,
Bhanvera bhi phooloN ka deewana ho jaye.
Roz subah teri chahat meiN khule ankh meri,
Ye dil tere pyar ka hurdum deewana ho jaye.
Dooriyan bahut haiN zindagi ke safar meiN,
Tere paas ane se ghum mujse anjana ho jaye.
Aa doob jayein ek duje ki bahoN mein sanam,
Apne hothon pe roz ek naya tarana ho jaye.
|
Wah wah wah wah .... Sanjay ji
Bohut khoob!
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
4th May 2015, 10:48 AM
Quote:
Originally Posted by masti
Shukriya Mast ji
chaliye iss baar ka shabd hai
Zindagi
ummeed hai iss shabd se mere sabhi doston ke mann mein bohut saare vichaar aayenge aur humein bohut he khoobsoorat Kalaam padne ko milenge.
|
nice word Sarika jee.................................
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
4th May 2015, 10:52 AM
Quote:
Originally Posted by Hamdam
Aao kuch aisa kareiN ki her samay suhana ho jaye,
Her pel jeewan jeene ka bahana ho jaye.
Urte rahein parinde door asmano meiN,
Bhanvera bhi phooloN ka deewana ho jaye.
Roz subah teri chahat meiN khule ankh meri,
Ye dil tere pyar ka hurdum deewana ho jaye.
Dooriyan bahut haiN zindagi ke safar meiN,
Tere paas ane se ghum mujse anjana ho jaye.
Aa doob jayein ek duje ki bahoN mein sanam,
Apne hothon pe roz ek naya tarana ho jaye.
|
waaaaaaaaaaaaaaah ... kia kehny Sanjay jee..
bohat khoob...
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
Ashq AankhoN Se Tapak Paday Sar-e-Shaam Dheere Dheere...!! -
4th May 2015, 12:48 PM
ashQ aankhoN se tapak paday sar-e-shaam dheere dheere
aatish-e-ishq meiN sulag utha dil-e-badnaam dheere dheere
sar-e-shaam = about evening
nihaayat Khamooshi se hote gaye woh dil per qaabiz
nikamma yeh dil hua un ka ghulaam dheere dheere
dil-e-daghdaar ko boht naaz tha kabhi apni wafaooN per
mohabbat per bhi chaa gaya abhaam dheere dheere
abhaam = haze, uncertainness (dhundh)
hum tou samjhe the unhieN apni zindagi ki zamaanat!
woh karte rahe hamare kafan ka intizaam dheere dheere
jahan un ko dekha tha hum wohin hue panaah-guzeen
khatam ho gaye jaawani ke din tamaam dheere dheere
panaah-guzeen = refugee
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
Last edited by Hassan; 4th May 2015 at 01:02 PM..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 39
|
4th May 2015, 07:00 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
ashQ aankhoN se tapak paday sar-e-shaam dheere dheere
aatish-e-ishq meiN sulag utha dil-e-badnaam dheere dheere
sar-e-shaam = about evening
nihaayat Khamooshi se hote gaye woh dil per qaabiz
nikamma yeh dil hua un ka ghulaam dheere dheere
dil-e-daghdaar ko boht naaz tha kabhi apni wafaooN per
mohabbat per bhi chaa gaya abhaam dheere dheere
abhaam = haze, uncertainness (dhundh)
hum tou samjhe the unhieN apni zindagi ki zamaanat!
woh karte rahe hamare kafan ka intizaam dheere dheere
jahan un ko dekha tha hum wohin hue panaah-guzeen
khatam ho gaye jaawani ke din tamaam dheere dheere
panaah-guzeen = refugee
|
Wah wah!
Aur aap bhi le aaye iss mehfill Mein muskaan dheere dheere....
Har baat Ki tarah phir se sixer....
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|