|
|
|
|
|
|
|
|
Member
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 27
|
4th May 2015, 07:47 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
ashQ aankhoN se tapak paday sar-e-shaam dheere dheere
aatish-e-ishq meiN sulag utha dil-e-badnaam dheere dheere
sar-e-shaam = about evening
nihaayat Khamooshi se hote gaye woh dil per qaabiz
nikamma yeh dil hua un ka ghulaam dheere dheere
dil-e-daghdaar ko boht naaz tha kabhi apni wafaooN per
mohabbat per bhi chaa gaya abhaam dheere dheere
abhaam = haze, uncertainness (dhundh)
hum tou samjhe the unhieN apni zindagi ki zamaanat!
woh karte rahe hamare kafan ka intizaam dheere dheere
jahan un ko dekha tha hum wohin hue panaah-guzeen
khatam ho gaye jaawani ke din tamaam dheere dheere
panaah-guzeen = refugee
|
Waah Hasan bhai waah ..
aaap ki ghazal per ke sulge mere armaan dheere dheere ..
Hamdam
khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
4th May 2015, 10:13 PM

Bohut khoob mere bhai kya qatilaana tarike se jazbaaton ko zubaan di hai. Dheere dheere aapne dil chalni kar diya.
Yunhi likhte rahiye
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
|
4th May 2015, 10:24 PM
dheere dheere bahut achee bahut pyaree baat kah dee waah
mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
5th May 2015, 10:44 AM
Quote:
Originally Posted by masti
Shukriya Mast ji
chaliye iss baar ka shabd hai
Zindagi
ummeed hai iss shabd se mere sabhi doston ke mann mein bohut saare vichaar aayenge aur humein bohut he khoobsoorat Kalaam padne ko milenge.
|
Sarika jii aapki aamad ne to jaise mahfil me jaan daal di hai...sabhi ke kalaam ek se ek badhkar...waah maza aa gaya padhkar....
aur bahut hee achcha word diya aapne...jaise hee kuch likh payi aap sab se share karoongi...
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
Last edited by Madhu 14; 5th May 2015 at 10:54 AM..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
5th May 2015, 10:48 AM
kya baat hai, bahut khobbsurati se ehsaas bayaan kiye hai sabhi ne........
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
5th May 2015, 11:39 AM
Quote:
Originally Posted by masti
Wah wah!
Aur aap bhi le aaye iss mehfill Mein muskaan dheere dheere....
Har baat Ki tarah phir se sixer....
|
Quote:
Originally Posted by Hamdam
Waah Hasan bhai waah ..
aaap ki ghazal per ke sulge mere armaan dheere dheere ..
Hamdam
|
Quote:
Originally Posted by mast
Bohut khoob mere bhai kya qatilaana tarike se jazbaaton ko zubaan di hai. Dheere dheere aapne dil chalni kar diya.
Yunhi likhte rahiye
|
Quote:
Originally Posted by masoomshayer
dheere dheere bahut achee bahut pyaree baat kah dee waah
|
Khaak alfazoN ko pazeeraayi bakhshne ky liye behad
manoon hooN!
salamat rahen ..
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
5th May 2015, 07:13 PM
Zindgi par ek nazm dil me aayi vo aap sab ki khidmat me pesh kar rahi hoon...
Main badal gayi hoon...
haan main badal gayi hoon...
Zindgi ke is safar me
hai door bahut jana.
Insaan ko samajh loon
itna to chal gayi hoon..
Haan main badal gayi hoon..
Jab sath chalna chaha
thokar bahut hai khayi..
Akele chali hoon jabse
girkar sambhal gayi hoon..
Haan main badal gayi hoon..
Us pyaar ki kasak
dil me rahegi baki.
Par khwabon khyalon se
aage nikal gayi hoon..
Haan main badal gayi hoon..
Shikwa nahi hai koi
na ummeed hee kisi se..
Zindgi hai khoobsoorat
main isme dhal gayi hoon..
Haan main badal gayi hoon...
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
5th May 2015, 09:00 PM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14

Khoobsurat nazm huyi hai madhu Ji bahut khoob. Ismein zidd bhi nazar aayi aur takraar bhi khud se nazar aaya zindagi apni sharton par jeena aasaan nahi aur badalna kabhi majbori hoti hai to kabhi zaroorat. Bahut khoob ehsaason ko alfaaz diye aapne. Bahut khoob ab is mehfil ki hidaayaton ke tehat guzaarish karunga ki zindagi par aapse ek ghazal mile is bazm ko.
Intezaar mein.
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 39
|
5th May 2015, 11:29 PM

Kya baat kya baat kya baat
Aksar badalti zindagi ke saath thoda badalna hi padta hai. Magar khud KO bhool jaane Ki hadd tak nahi.
Isi par ek vichaar aaya hai
Main zindagi hun, pal pal badalti hun libaaz
Tu sang chal par mat badal, zinda rakh apni har ek aas.
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
Zindagi -
6th May 2015, 12:39 AM
DostoN,
Yeh to nahi kahunga ki zindagi par likha hai par apne khayaalat mein is lafz ko zaroor rakh paaya hoon, gaur farmaiYeGaa
Unki gali se aaj phir behake huye nikle the ham
Parchaaiyan maujood thi par nabz ne toda tha dum
khwaab jhoot mooth ke bhi mere peeche aa gaye
Main akelaa tha nahiN unpar bhi hua tha sitam
zindagi kis naam se ab tera hoke mein rahuN
shukr toota to sahi yeh ehde-wafaa ka bhram
aashnaaii ab tere ehsaan ka hai shukriyaa
Nabz-e-Bismil* hoon tera chahta hajaat-e-Marham**
*pulse of wounded
** ointment
उनकी गली से आज फिर बहके हुए निकले थे हम
परछाइयाँ मौजूद थी पर नब्ज़ ने तोडा था दम
ख्वाब झूट मूठ के भी मेरे पीछे आ गए
मैं अकेला था नहीं उनपर भी हुआ था सितम
ज़िन्दगी किस नाम से अब तेरा होके में रहूँ
शुक्र टूटा तो सही यह एह्दे-वफ़ा का भ्रम
आशनाई अब तेरे एहसान का है शुक्रिया
नब्ज़-ए-बिस्मिल हूँ तेरा चाहता हजात-ए-मरहम
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
6th May 2015, 10:35 AM
aap sab ne ek se badhkar ek kalaam likhe hain .. khaaskar ke madhu ji ne, mast bhai ane aur hassan bhai ne...... aap sab ke kalaam dil ko chute hue nikal gaye aur bas main bebaak ho gaya....... kafi waqt baad aaya sdc isliye ye thoda der se padh raha hoon.....
koshish karuunga ke jald hi is me apni do chaar sher shaamil kar sakoon.... khush rahen aaap sab.. aur bazm ko jaan dete rahen.... shukiyaa
shaad......
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
6th May 2015, 10:43 AM
Jab sath chalna chaha
thokar bahut hai khayi..
Akele chali hoon jabse
girkar sambhal gayi hoon..
Haan main badal gayi hoon..
Us pyaar ki kasak
dil me rahegi baki.
Par khwabon khyalon se
aage nikal gayi hoon..
Haan main badal gayi hoon..
Madhu jee..
waaaaaah... be-misaal jazbaat inayat kiye haiN aap ne meHfil ko ...
likhte rahiye ..
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
6th May 2015, 10:45 AM
Quote:
Originally Posted by mast
DostoN,
Yeh to nahi kahunga ki zindagi par likha hai par apne khayaalat mein is lafz ko zaroor rakh paaya hoon, gaur farmaiYeGaa
Unki gali se aaj phir behake huye nikle the ham
Parchaaiyan maujood thi par nabz ne toda tha dum
khwaab jhoot mooth ke bhi mere peeche aa gaye
Main akelaa tha nahiN unpar bhi hua tha sitam
zindagi kis naam se ab tera hoke mein rahuN
shukr toota to sahi yeh ehde-wafaa ka bhram
aashnaaii ab tere ehsaan ka hai shukriyaa
Nabz-e-Bismil* hoon tera chahta hajaat-e-Marham**
*pulse of wounded
** ointment
उनकी गली से आज फिर बहके हुए निकले थे हम
परछाइयाँ मौजूद थी पर नब्ज़ ने तोडा था दम
ख्वाब झूट मूठ के भी मेरे पीछे आ गए
मैं अकेला था नहीं उनपर भी हुआ था सितम
ज़िन्दगी किस नाम से अब तेरा होके में रहूँ
शुक्र टूटा तो सही यह एह्दे-वफ़ा का भ्रम
आशनाई अब तेरे एहसान का है शुक्रिया
नब्ज़-ए-बिस्मिल हूँ तेरा चाहता हजात-ए-मरहम
|
Mast bhai ..
Gehri soch aur almiya liye aap ka yeh kalaam nihayat pur-soz hy...
bohat umdah janab... beshumar daad haazir hy!
meHfil sajatay rahiye ..

6th May 2015, 10:52 AM
DostoN...
Masroofiyat ki bina per kaafi din hue kuch naya mukammal kalaam likh nahi paaya ...
arse baad kuch naya likha hy .... lafz zindagi per aik 'koshish':-
seedha dil per waar karte ho!
bahaane beshumaar karte ho...
dil jo le gaye ho hamara!
bolo kis per nisaar karte ho?
nazar ke teerooN kii..
kahaN yalghaar karte ho?
yalghar : attack
hamari to raakh kar dii
zindagi kis ki bahaar karte ho?
jigar ko taar taar ‘HSN’!
kyuN baar baar karte ho?
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
6th May 2015, 01:22 PM

Waaaah...hassan jiii ham bhi kab se aapka kalaam padhne ke intzaar me the aur ye is peshkash to bas kamaal hee hai...bahut khoob ehsaas aur adayagi.....
bahut sari dilli daad aapko is behtareen kalaam ke liye...
khush rahiye...
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
6th May 2015, 01:51 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
Mast bhai ..
Gehri soch aur almiya liye aap ka yeh kalaam nihayat pur-soz hy...
bohat umdah janab... beshumar daad haazir hy!
meHfil sajatay rahiye ..
|
Shukriyaa hassan bhai aapke saath se hi munaasib hota haiN
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
6th May 2015, 01:54 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan
DostoN...
Masroofiyat ki bina per kaafi din hue kuch naya mukammal kalaam likh nahi paaya ...
arse baad kuch naya likha hy .... lafz zindagi per aik 'koshish':-
seedha dil per waar karte ho!
bahaane beshumaar karte ho...
dil jo le gaye ho hamara!
bolo kis per nisaar karte ho?
nazar ke teerooN kii..
kahaN yalghaar karte ho?
yalghar : attack
hamari to raakh kar dii
zindagi kis ki bahaar karte ho?
jigar ko taar taar ‘HSN’!
kyuN baar baar karte ho?
|
Wah wah kya asardaar baat kahi hai bhai. Bahut khoob ashaar huge hai zindagi par kis safaai se kalaam keh Gaye aap. Masha Allah yunhi likhte rahiye.
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
7th May 2015, 09:36 AM
Quote:
Originally Posted by mast
Khoobsurat nazm huyi hai madhu Ji bahut khoob. Ismein zidd bhi nazar aayi aur takraar bhi khud se nazar aaya zindagi apni sharton par jeena aasaan nahi aur badalna kabhi majbori hoti hai to kabhi zaroorat. Bahut khoob ehsaason ko alfaaz diye aapne. Bahut khoob ab is mehfil ki hidaayaton ke tehat guzaarish karunga ki zindagi par aapse ek ghazal mile is bazm ko.
Intezaar mein.
|
Ehsason ko samjhne ke liye shukriya mast ji....
koshish karoongi ghazal bhi likh sakoon........
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
7th May 2015, 09:37 AM
Quote:
Originally Posted by masti
Kya baat kya baat kya baat
Aksar badalti zindagi ke saath thoda badalna hi padta hai. Magar khud KO bhool jaane Ki hadd tak nahi.
Isi par ek vichaar aaya hai
Main zindagi hun, pal pal badalti hun libaaz
Tu sang chal par mat badal, zinda rakh apni har ek aas.
|
Bahut khoob sher sarika ji..aur sach baat kahi aapne...
Shukriya pasand karne ke liye...
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
7th May 2015, 09:44 AM
Quote:
Originally Posted by mast
DostoN,
Yeh to nahi kahunga ki zindagi par likha hai par apne khayaalat mein is lafz ko zaroor rakh paaya hoon, gaur farmaiYeGaa
Unki gali se aaj phir behake huye nikle the ham
Parchaaiyan maujood thi par nabz ne toda tha dum
khwaab jhoot mooth ke bhi mere peeche aa gaye
Main akelaa tha nahiN unpar bhi hua tha sitam
zindagi kis naam se ab tera hoke mein rahuN
shukr toota to sahi yeh ehde-wafaa ka bhram
aashnaaii ab tere ehsaan ka hai shukriyaa
Nabz-e-Bismil* hoon tera chahta hajaat-e-Marham**
*pulse of wounded
** ointment
उनकी गली से आज फिर बहके हुए निकले थे हम
परछाइयाँ मौजूद थी पर नब्ज़ ने तोडा था दम
ख्वाब झूट मूठ के भी मेरे पीछे आ गए
मैं अकेला था नहीं उनपर भी हुआ था सितम
ज़िन्दगी किस नाम से अब तेरा होके में रहूँ
शुक्र टूटा तो सही यह एह्दे-वफ़ा का भ्रम
आशनाई अब तेरे एहसान का है शुक्रिया
नब्ज़-ए-बिस्मिल हूँ तेरा चाहता हजात-ए-मरहम
|
Waaaah...
Kya khoob ghazal huyi hai mast ji..pur asar ashaar.....
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
7th May 2015, 10:27 AM
bahut khoobsurati se aap logoN ne Zindgi lafz ko apne apne tareeke se bayaan kiya hai.....accha lga aap sabko padkar
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
8th May 2015, 11:01 AM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Waaaah...
Kya khoob ghazal huyi hai mast ji..pur asar ashaar.....
|
Shukriya Madhu ji....Mehfil rangeen ho rahi haiN. Shukriyaa aapka bhi
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
8th May 2015, 11:02 AM
Quote:
Originally Posted by sunita virender
bahut khoobsurati se aap logoN ne Zindgi lafz ko apne apne tareeke se bayaan kiya hai.....accha lga aap sabko padkar
|
Shukriyaa Di,
Yeh bas aapke saath aur aashirvaad ki dua haiN...yunhi saath dete rahiYee
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
8th May 2015, 11:04 AM
DostoN..
Zindagi par 4th ghazal ke intezaar mein aankhen muntazir hai....
Jald hi bazm aage badhayeiN...
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
8th May 2015, 11:32 AM
Pyaare doston......
Mast saahab ke huqum ki taameel karte hue ek apni ek purraani likhii ghazal pesh karnaa chahungaa jiska unwaan bhi zindagee hai.. ummeed hai aap ki nazre inaayat hogee...
TaariqiyoN ke saaye me le Aai hai Zindegi,
Apne liye to jaise abb Tanhaai hai Zindegi.
Jo tum nahi to Raat ki KhaamoshiyaN bhi nahi,
Tum ho sanam to subho ki AngDaai hai Zindegi.
Kuch yooN judaa se ho gaye humse hamaare sabhi,
Aisaa lage bin jism ke Parchaai hai Zindegi.
Dekhoge to AasaaN bahot aaye nazar ye Tumhe,
Utroge to rakkhe bahot Gahraai hai Zindegi.
Duniyaa se bachtaa phiruN saaya chupaata rahuN.
Ruswaa kiyaa ik dost ne, Sharmaaii hai Zindegi.
Husne-Sanam aur Zindegii ke ek hi marhale,
Wo Bewafaa hai 'Shaad' to harjaai hai Zindegi.
Shaad.....
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
8th May 2015, 11:43 AM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'

Muqammal bhai....aapki shirkat se dil mein khusbuu se mehak uthi hai zindagi ko lekar kya likh daala hai aapne bhai...masterpeice..
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
8th May 2015, 12:09 PM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
Pyaare doston......
Mast saahab ke huqum ki taameel karte hue ek apni ek purraani likhii ghazal pesh karnaa chahungaa jiska unwaan bhi zindagee hai.. ummeed hai aap ki nazre inaayat hogee...
TaariqiyoN ke saaye me le Aai hai Zindegi,
Apne liye to jaise abb Tanhaai hai Zindegi.
Jo tum nahi to Raat ki KhaamoshiyaN bhi nahi,
Tum ho sanam to subho ki AngDaai hai Zindegi.
Kuch yooN judaa se ho gaye humse hamaare sabhi,
Aisaa lage bin jism ke Parchaai hai Zindegi.
Dekhoge to AasaaN bahot aaye nazar ye Tumhe,
Utroge to rakkhe bahot Gahraai hai Zindegi.
Duniyaa se bachtaa phiruN saaya chupaata rahuN.
Ruswaa kiyaa ik dost ne, Sharmaaii hai Zindegi.
Husne-Sanam aur Zindegii ke ek hi marhale,
Wo Bewafaa hai 'Shaad' to harjaai hai Zindegi.
Shaad.....
|
Zindgi unwaan kya khoob istemaal hai is ghazal me aur sath hee zindgi ki hakikat bhi bayaan hain...
umdaa kalaam saheb....
Khush rahein.....
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Member
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 27
|
8th May 2015, 08:01 PM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Zindgi par ek nazm dil me aayi vo aap sab ki khidmat me pesh kar rahi hoon...
Main badal gayi hoon...
haan main badal gayi hoon...
Zindgi ke is safar me
hai door bahut jana.
Insaan ko samajh loon
itna to chal gayi hoon..
Haan main badal gayi hoon..
Jab sath chalna chaha
thokar bahut hai khayi..
Akele chali hoon jabse
girkar sambhal gayi hoon..
Haan main badal gayi hoon..
Us pyaar ki kasak
dil me rahegi baki.
Par khwabon khyalon se
aage nikal gayi hoon..
Haan main badal gayi hoon..
Shikwa nahi hai koi
na ummeed hee kisi se..
Zindgi hai khoobsoorat
main isme dhal gayi hoon..
Haan main badal gayi hoon...
|
Zindagi se pyar bhari bateiN bahut luthf aya per ke ise....
Hamdam
khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
|
|
|
|
|
Member
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 27
|
8th May 2015, 08:05 PM
Mast Bhai aap ka kalaam per ke ehsaas he zindagi hua ... bahut acha nibhaya aapne Zindagi ka falsafa.
Hamdam
khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
|
|
|
|
|
Member
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 27
|
8th May 2015, 08:07 PM
Wah Bhai wah Zindagi ko aap ki nazar se dekha aur mehsoos kiya aur paya ki kya kamal hai Zindagi , bemisaal hai zindagi.
Hamdam
khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
8th May 2015, 08:52 PM
Quote:
Originally Posted by Hamdam
Mast Bhai aap ka kalaam per ke ehsaas he zindagi hua ... bahut acha nibhaya aapne Zindagi ka falsafa.
Hamdam
|
Sanjay ji behad shukriyaa..aapki shirkat ka intezaar hai is bazm mein...zindagi ka tajurbaa keh daaliye
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 244
Join Date: Sep 2014
Location: New Delhi
Rep Power: 15
|
9th May 2015, 09:02 AM
Good morning SDC.......bahut bahut mubarakbaad sabko jinhone bazm ko apni haziri se nawaaza hai......Der se aane ke liye muafi ka taalib bhi hoon.......ek choti si koshish aap sab ki nazar......
Teri barhami ne hi jaan li mujhe zindagi se na tha gila !
Tera shauk meri nazar ko tha tu hi kar de dil ka bhi faisla !!
Hai udaas lamhon ka karz youn ke main maut se kya wafa karoon !
Tere uljhanon ka jatan hai ye nahi hota aakhiri faisla !!
Jo zindagi me hai ghul rahi ek khalish bhi hai bahaar bhi !
Main shumaar hoon tere khwab me tu kabhi to mujhse nazar mila !!
Ye sharaab hai ya saraab hai na nasha hai naa hi gubaar hai !
Mere ashq mujhse hi puchkar mujhe na pila mujhe na pila !!
Meri zindagi kya hai zindagi na guzar rahi na thahar rahi !
Ae khuda tu mera hisaab kar mujhe qabr me hi jagah dila !!
Bahut gumraah karna chahta hai aaina mujhko !
Magar wo apni hi fitrat se hardam haar jaata hai !! (Pankaj Mishra 'Nawaab')
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
9th May 2015, 10:22 AM
Quote:
Originally Posted by Pankaj Mishra

most welcome pankaj jii..
kya khoob kalaam likh diya zindagi par...waaaah...
Aapki aamad se mahfil me raunak aa gayi..
aate rahein..
likhte rahein..........
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
11th May 2015, 11:05 AM
Mahfil ko naye lafz ka intzaar hai mast jii.....
aaiye aur safar aage badaiye ...
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
11th May 2015, 12:47 PM
Quote:
Originally Posted by Pankaj Mishra
Good morning SDC.......bahut bahut mubarakbaad sabko jinhone bazm ko apni haziri se nawaaza hai......Der se aane ke liye muafi ka taalib bhi hoon.......ek choti si koshish aap sab ki nazar......
Teri barhami ne hi jaan li mujhe zindagi se na tha gila !
Tera shauk meri nazar ko tha tu hi kar de dil ka bhi faisla !!
Hai udaas lamhon ka karz youn ke main maut se kya wafa karoon !
Tere uljhanon ka jatan hai ye nahi hota aakhiri faisla !!
Jo zindagi me hai ghul rahi ek khalish bhi hai bahaar bhi !
Main shumaar hoon tere khwab me tu kabhi to mujhse nazar mila !!
Ye sharaab hai ya saraab hai na nasha hai naa hi gubaar hai !
Mere ashq mujhse hi puchkar mujhe na pila mujhe na pila !!
Meri zindagi kya hai zindagi na guzar rahi na thahar rahi !
Ae khuda tu mera hisaab kar mujhe qabr me hi jagah dila !!
|
Wah Pankaj bhai, behad khoob ehsaas bayaan kiye, ghazal ki technicalities ki nazar se aapko shayad ise ek baar phir dekhna padhe, kyunki mujhe qaafiyaa nahi milaa ismein...
Asardaar koshish aur mehfil mein shirkat ka shukriyaa janaab aur aate rahiYeGaa..
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
11th May 2015, 12:54 PM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Mahfil ko naye lafz ka intzaar hai mast jii.....
aaiye aur safar aage badaiye ...
|
Madhu ji aur baaki doston, mehfil ko zindagi lafz ko dekar aapne ek se ek ghazalien di, aap sabko yeh mehfil mein aage badhaane par mubaarakbad aur shukriyaa adaa karna chahta hoon.
Mehfil ko agla alfaaz thoda uljhaa hua dena chahunga taaki har shayar thoda sochne par majboor ho...
Kaifiyat
Meaning: State/ Condition
Example Sher:
Badalti rahti hai meri bhi kaifiyat kya kuchh
Ki aag hi nahin rahta dhuaan bhi hota hun
Zafar Iqbal
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 39
|
11th May 2015, 01:50 PM
Itna mushkil!!! Sab urdu mein nahi likhte saaheb. Kuch daya karte hum gareebon par.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 244
Join Date: Sep 2014
Location: New Delhi
Rep Power: 15
|
11th May 2015, 02:59 PM
Quote:
Originally Posted by mast
Wah Pankaj bhai, behad khoob ehsaas bayaan kiye, ghazal ki technicalities ki nazar se aapko shayad ise ek baar phir dekhna padhe, kyunki mujhe qaafiyaa nahi milaa ismein...
Asardaar koshish aur mehfil mein shirkat ka shukriyaa janaab aur aate rahiYeGaa..
|
Mast ji.....shayad maine gaur nahi kiya tha aur mujhe laga ki dusre kism ke couplets bhi allowed hain ....maine abhi check kiya ....ghazal hi likhni thi.......muafi.......silsile se juda iski khushi hai......apna khayaal rakhiyega
Bahut gumraah karna chahta hai aaina mujhko !
Magar wo apni hi fitrat se hardam haar jaata hai !! (Pankaj Mishra 'Nawaab')
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
11th May 2015, 03:45 PM
Quote:
Originally Posted by mast
Madhu ji aur baaki doston, mehfil ko zindagi lafz ko dekar aapne ek se ek ghazalien di, aap sabko yeh mehfil mein aage badhaane par mubaarakbad aur shukriyaa adaa karna chahta hoon.
Mehfil ko agla alfaaz thoda uljhaa hua dena chahunga taaki har shayar thoda sochne par majboor ho...
Kaifiyat
Meaning: State/ Condition
Example Sher:
Badalti rahti hai meri bhi kaifiyat kya kuchh
Ki aag hi nahin rahta dhuaan bhi hota hun
Zafar Iqbal
|
Hmmm..Wakai thoda mushkil hai ham jaise gareeb logon ke liye.. par aapne example aur meaning diya hai uska shukriya janaab iisse thodi madad zaroor milegi...
chaliye dekhte hain kuch ban paya to hazir honge ham Bhi.......
Sabhi doston ki ghazalon ka intzaar rahega....
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
11th May 2015, 05:38 PM
Quote:
Originally Posted by mast
Madhu ji aur baaki doston, mehfil ko zindagi lafz ko dekar aapne ek se ek ghazalien di, aap sabko yeh mehfil mein aage badhaane par mubaarakbad aur shukriyaa adaa karna chahta hoon.
Mehfil ko agla alfaaz thoda uljhaa hua dena chahunga taaki har shayar thoda sochne par majboor ho...
Kaifiyat
Meaning: State/ Condition
Example Sher:
Badalti rahti hai meri bhi kaifiyat kya kuchh
Ki aag hi nahin rahta dhuaan bhi hota hun
Zafar Iqbal
|
bohat umdah Kaifiyat dii hai bhai ....
is per aik koshish :-
maiN jab bhi sanwar ke baahir nikalta hooN
un se mulaqaat ke liye zaroor jaata hooN
un ke aaankhoN ke samandar ko maiN!
dil meiN sama ke chupa ke rakhta hooN
saaz saare ke saare be-saaz hue jate haiN!
koyal si awaaz un ki jab bhi sunta hooN…
aalam-e-izteraab hota hai waqt-e-rukhsat!
bin paani machli ki manind machalta hooN
aalam-e-izteraab : condition of anxiety
manind : alike
shab-e-hijr meiN pal pal tadapta ‘parStaar’
'ki aag hi nahi rehta, dhuaaN bhi hota hooN'
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
Last edited by Hassan; 11th May 2015 at 05:42 PM..
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|