|
|
|
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
dikhaayee na deta, sunaayee na deta -
16th August 2011, 08:09 PM
dard ki mehfil ko mera salaam....
ek gair murdaf ghazal ko anjaam dene ki koshish ki hai...
behar: 122 122 122 122
bataayega zuroor ki koshish kaisi rahi aur galati ko bhi nazar aNdaaz mat kijiyega...aapki rae ka muntazir....
dikhaayee na deta, sunaayee na deta
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
kaha kis ne kya kya, nahiN yaad ab to
na ilzaam dena, haiN qisse puraane
thi hasrat badi ke ho ik ghar bhi apna
haiN qismat meN apni faqat ye viraane
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
uthaayee qalam 'mast' hai kis liye ab
likhe jo taraane, kise haiN sunaane
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 32
|
17th August 2011, 04:53 AM
Quote:
Originally Posted by vikramjethi
dard ki mehfil ko mera salaam....
ek gair murdaf ghazal ko anjaam dene ki koshish ki hai...
behar: 122 122 122 122
bataayega zuroor ki koshish kaisi rahi aur galati ko bhi nazar aNdaaz mat kijiyega...aapki rae ka muntazir....
dikhaayee na deta, sunaayee na deta
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
kaha kis ne kya kya, nahiN yaad ab to
na ilzaam dena, haiN qisse puraane
thi hasrat badi ke ho ik ghar bhi apna
haiN qismat meN apni faqat ye viraane
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
uthaayee qalam 'mast' hai kis liye ab
likhe jo taraane, kise haiN sunaane
|
aadaab
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah sahab chupey rustam nikley kamaal kighazal laaye hain aap
kaafee arsa baad aap ko parha alagta ahai ki khaas mehnat ki gayee hai is ghazal pe aor kamaal hai ki kamaal darjey ki fikr aayee hai chaonkaaney waale ashaar se gundhee is ghazal pe hazaar daad
|
|
|
|
|
Anshumali
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
|
17th August 2011, 08:14 AM
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
Bahut Sundar ... Bahut Umdaa ... Vikram Sahab !
Behad Tarannum ... Shaandaar Bayaani Aur Adaayegi Ne Ghazal Ko Aur Bhi Khoobsurat Banaa Diyaa ... Dilee Daad Aur Mubaaraqbaad Qubuul KareN ... !
YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...
Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...
---Naresh Mehra----
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
24th October 2011, 02:24 PM
Quote:
Originally Posted by masoodhassas
aadaab
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah sahab chupey rustam nikley kamaal kighazal laaye hain aap
kaafee arsa baad aap ko parha alagta ahai ki khaas mehnat ki gayee hai is ghazal pe aor kamaal hai ki kamaal darjey ki fikr aayee hai chaonkaaney waale ashaar se gundhee is ghazal pe hazaar daad
|
bauhut bahut shukriya masood hasaas saheb...taakhir ke liye muafi ka talabgaar hu janaab....phir se bahut bahut shukriya aapka...
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
24th October 2011, 02:25 PM
Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
Bahut Sundar ... Bahut Umdaa ... Vikram Sahab !
Behad Tarannum ... Shaandaar Bayaani Aur Adaayegi Ne Ghazal Ko Aur Bhi Khoobsurat Banaa Diyaa ... Dilee Daad Aur Mubaaraqbaad Qubuul KareN ... !
|
bahut bahut shukriya naresh ji....
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 665
Join Date: May 2009
Location: Waltham, MA
Rep Power: 27
|
24th October 2011, 07:39 PM
excellent mast,
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
ता उम्र रहा इक रोज़-ए -मुकम्मल का इंतज़ार
किसी में शाम न मिली तो किसी में सहर नहीं
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,741
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
|
25th October 2011, 12:21 AM
Waah ! Vikram ji kya dahakti huwee ghazal kahi hai. Soz e gham ke sholon ko padhne waale ke haath mein rakh diya ho jaise. Daad qabool farmayein.
Quote:
Originally Posted by vikramjethi
dard ki mehfil ko mera salaam....
ek gair murdaf ghazal ko anjaam dene ki koshish ki hai...
behar: 122 122 122 122
bataayega zuroor ki koshish kaisi rahi aur galati ko bhi nazar aNdaaz mat kijiyega...aapki rae ka muntazir....
dikhaayee na deta, sunaayee na deta
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
kaha kis ne kya kya, nahiN yaad ab to
na ilzaam dena, haiN qisse puraane
thi hasrat badi ke ho ik ghar bhi apna
haiN qismat meN apni faqat ye viraane
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
uthaayee qalam 'mast' hai kis liye ab
likhe jo taraane, kise haiN sunaane
|
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
1st November 2011, 11:49 AM
Quote:
Originally Posted by m.mayoos
excellent mast,
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
|
bahut bahut shukriya mayoos saheb..........................
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
1st November 2011, 11:58 AM
Quote:
Originally Posted by zarraa
Waah ! Vikram ji kya dahakti huwee ghazal kahi hai. Soz e gham ke sholon ko padhne waale ke haath mein rakh diya ho jaise. Daad qabool farmayein.
|
zarraa saheb,
mere kalam ko padhne aur pasaNd karne ka bahut bahut shukriya....
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
1st November 2011, 12:24 PM
Quote:
Originally Posted by vikramjethi
dard ki mehfil ko mera salaam....
ek gair murdaf ghazal ko anjaam dene ki koshish ki hai...
behar: 122 122 122 122
bataayega zuroor ki koshish kaisi rahi aur galati ko bhi nazar aNdaaz mat kijiyega...aapki rae ka muntazir....
dikhaayee na deta, sunaayee na deta
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
kaha kis ne kya kya, nahiN yaad ab to
na ilzaam dena, haiN qisse puraane
thi hasrat badi ke ho ik ghar bhi apna
haiN qismat meN apni faqat ye viraane
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
uthaayee qalam 'mast' hai kis liye ab
likhe jo taraane, kise haiN sunaane
|
Vikram bhai... Muddat ke baad aapki kisi koshish pe nazar padee hai... Subhaan Allah har sher ke alfaaz apnaa haq adaa karte hue nazar aa rahe haiN.. Har sher ki rawaani itni khoobsurat ke gaane ko dil chaahta hai... Ummdah aashar ke liye daad aur mubaarakbaad... Likhte rahen ... Khush rahen....
Shaad...
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
2nd November 2011, 11:26 AM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
Vikram bhai... Muddat ke baad aapki kisi koshish pe nazar padee hai... Subhaan Allah har sher ke alfaaz apnaa haq adaa karte hue nazar aa rahe haiN.. Har sher ki rawaani itni khoobsurat ke gaane ko dil chaahta hai... Ummdah aashar ke liye daad aur mubaarakbaad... Likhte rahen ... Khush rahen....
Shaad...
|
sameer bhai kaise haiN aap?
haaN aap sahi keh rahe haiN aaj kal waqt ki taNgi chal rahi hai...yada kada hi aa pata huN...lekin dil meN hamesha rehta hai ki sdc pe chala jaye....
tareef ka bahut bahut shukriya janaab....aapka ise gaane ko dil kiya to mere liye isse achhi baat aur kya ho sakti hai...bahut bahut shukriya bhai...
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
Hmm
Offline
Posts: 39
Join Date: Oct 2011
Location: Delhi
Rep Power: 0
|
2nd November 2011, 01:26 PM
Quote:
Originally Posted by vikramjethi
dard ki mehfil ko mera salaam....
ek gair murdaf ghazal ko anjaam dene ki koshish ki hai...
behar: 122 122 122 122
bataayega zuroor ki koshish kaisi rahi aur galati ko bhi nazar aNdaaz mat kijiyega...aapki rae ka muntazir....
dikhaayee na deta, sunaayee na deta
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
kaha kis ne kya kya, nahiN yaad ab to
na ilzaam dena, haiN qisse puraane
thi hasrat badi ke ho ik ghar bhi apna
haiN qismat meN apni faqat ye viraane
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
uthaayee qalam 'mast' hai kis liye ab
likhe jo taraane, kise haiN sunaane
|
simply wow...
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
|
|
|
|
|
Shayri.com Moderator
Offline
Posts: 10,552
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 60
|
2nd November 2011, 01:35 PM
Vikram bhaa'ii:
namaste!
aapka andaaz-e-bayaan mujhe hameShaa se hi pasand aataa rahaa haii.. dil-kaSh koShiSh ke liye dil se DheroN saarii daad!!
KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~Dhaval
*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
|
|
|
|
|
Tanhaa Raahi
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 55
|
2nd November 2011, 06:27 PM
Quote:
Originally Posted by vikramjethi
dard ki mehfil ko mera salaam....
ek gair murdaf ghazal ko anjaam dene ki koshish ki hai...
behar: 122 122 122 122
bataayega zuroor ki koshish kaisi rahi aur galati ko bhi nazar aNdaaz mat kijiyega...aapki rae ka muntazir....
dikhaayee na deta, sunaayee na deta
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
kaha kis ne kya kya, nahiN yaad ab to
na ilzaam dena, haiN qisse puraane
thi hasrat badi ke ho ik ghar bhi apna
haiN qismat meN apni faqat ye viraane
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
uthaayee qalam 'mast' hai kis liye ab
likhe jo taraane, kise haiN sunaane
|
HameiN bhi bahut acchi lagi aapki yaha shaayri, Vikram Bhaiyaa...! Har ek sher apna sa lagta hai...!
Dher saare daad qabul kareiN
Ashirvaad ke saath
Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
3rd November 2011, 09:51 AM
Quote:
Originally Posted by shweta
simply wow...
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
|
Thanks a lot Shweta ji........
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
3rd November 2011, 09:54 AM
Quote:
Originally Posted by Dhaval
Vikram bhaa'ii:
namaste!
aapka andaaz-e-bayaan mujhe hameShaa se hi pasand aataa rahaa haii.. dil-kaSh koShiSh ke liye dil se DheroN saarii daad!!
KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~Dhaval
|
namaste dhaval bhai....
kaise haiN aap..?
mera andaaz-e-byaan pasaNd karna aapka badappan hai..varna maiN kisi layaq nahi huN....
aapki daad sar-maathe bhai...bahut bahut shukriya....
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
3rd November 2011, 09:57 AM
Quote:
Originally Posted by vikramjethi
dard ki mehfil ko mera salaam....
ek gair murdaf ghazal ko anjaam dene ki koshish ki hai...
behar: 122 122 122 122
bataayega zuroor ki koshish kaisi rahi aur galati ko bhi nazar aNdaaz mat kijiyega...aapki rae ka muntazir....
dikhaayee na deta, sunaayee na deta
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
kaha kis ne kya kya, nahiN yaad ab to
na ilzaam dena, haiN qisse puraane
thi hasrat badi ke ho ik ghar bhi apna
haiN qismat meN apni faqat ye viraane
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
uthaayee qalam 'mast' hai kis liye ab
likhe jo taraane, kise haiN sunaane
|
Behad khoob sahab - aapki is nazm ne kafi puraane tarz zinda kar diye..
Yunhi likhte rahiYeGaa..
-aapka apna
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Banned
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
|
3rd November 2011, 11:32 AM
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
kyaa sher hai vikram bhayee
bahut khoob...
bahut pasand aayaa ....
adaygi... khyaal.... sab betreen ...
|
|
|
|
|
Registered Member
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
|
3rd November 2011, 09:15 PM
Ghazal ho to aysee ho, ke perhne waala kho jaaye,
Ghayr mumkin jo lagta ho, aysaa wo kaam ho jaaye!
Vikramjethi Sahab ye toota_phoota shayr aapki nazar, yehi dil mein aaya jo ye nihaayati ustaadana kalaam nazr say guzra! Daad paysh_e_qidmat hai!
Thanks
Ahmad
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
3rd November 2011, 09:58 PM
Vikram saheb aadaab,namaste aur SSA
kya khoob Ghazal kahi hai bhai, kya kehne!
in motiyoN ke daanoN ko maala meiN perone meiN jo mehnat aapne ki hai voh saaf zaahir hai, meri mubarakbaad qabuul kijiye
rab raakha
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
'Bismil'
Offline
Posts: 773
Join Date: Mar 2006
Rep Power: 38
|
3rd November 2011, 11:36 PM
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
kaha kis ne kya kya, nahiN yaad ab to
na ilzaam dena, haiN qisse puraane
bahot umda..waqai..
thi hasrat badi ke ho ik ghar bhi apna
haiN qismat meN apni faqat ye viraane
acha hai
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
hmm..
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
yeh sher khula nahi mujhpar.. rabt nazar nahi aa raha donoeN misro meiN ..yeh meri kam ilmi hi hai shayad.
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
haasil-e-ghazal..waah..yeh "aaina" shabd par sher bahot sooratoeN mein padh chuke hai..unme se mujhe bahot kam sher pasand aaye hai..lekin aapka yeh sher bahot pasand aaya.. uski wajah yeh hai "bulaata hai mujhko"
uthaayee qalam 'mast' hai kis liye ab
likhe jo taraane, kise haiN sunaane
acha hai..
vikram bhai..daad hi daad...bahot lyrical ghazal hai..definetely one of your best creation so far..
god bless
aapka dost,
Pradhyuman
-------------------------------------------------
gore ghareeban hai ye 'bismil', kyun tu naashaad nazar aata hai?
musht-e-khaak hai basi yahan, bata kahan fuwaad nazar aata hai?
--------------------------------------------------
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
6th November 2011, 05:03 PM
bahut bahut shukriya danny bhaiya....mujhe aap ek bade bhai jaise lagte haiN isliye dil meN hamesha rehta hai ki aap se aashirwaad zaroor mile...aapke aashirwaad ki hamesha se zaroorat rehti hai...Thanks a lot bhaiya....
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
6th November 2011, 05:05 PM
Quote:
Originally Posted by mast
Behad khoob sahab - aapki is nazm ne kafi puraane tarz zinda kar diye..
Yunhi likhte rahiYeGaa..
-aapka apna
|
bahut bahut shukriya mast saheb...mujhe khushi hai ki aapko mera likha achha laga....phir se bahut bahut shukriya janaab...
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
6th November 2011, 05:07 PM
Quote:
Originally Posted by janumanu
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
kyaa sher hai vikram bhayee
bahut khoob...
bahut pasand aayaa ....
adaygi... khyaal.... sab betreen ...
|
vikas bhai thank you...aap un chuninda logoN meN se haiN jinka comment padh kar mujhe bahut khushi hoti hai...thanks a lot vikas bhai...
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
6th November 2011, 05:13 PM
Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi
Ghazal ho to aysee ho, ke perhne waala kho jaaye,
Ghayr mumkin jo lagta ho, aysaa wo kaam ho jaaye!
Vikramjethi Sahab ye toota_phoota shayr aapki nazar, yehi dil mein aaya jo ye nihaayati ustaadana kalaam nazr say guzra! Daad paysh_e_qidmat hai!
Thanks
Ahmad
|
Ahmad saheb,
is parivaar meN aapka istaqbaal karta huN, khushaamdeed....
janaab aapka sher koi toota phoota sher nahi hai, ye to mere dil ke bahut kareeb hai...lekin yaqeen maaniye maiN is sher ke layaq bilkul nahi huN...balki bahut hi kam ilm huN...lekin talabgaar zaroor huN...
aapni itni tareef kar di ki maiN waqai meN sharmindagi mehsoos kar raha huN...bahut bahut shukriya saheb...
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
9th November 2011, 04:20 PM
Quote:
Originally Posted by maikasH
Vikram saheb aadaab,namaste aur SSA
kya khoob Ghazal kahi hai bhai, kya kehne!
in motiyoN ke daanoN ko maala meiN perone meiN jo mehnat aapne ki hai voh saaf zaahir hai, meri mubarakbaad qabuul kijiye
rab raakha
maikash
|
maikash saheb aadaab,
kaise haiN aap?
kya kahuN janaab, pehli baat to ye ki maiN aap ka bahut bada fan huN...
dusari baat ye ki aapse tareef mil gayee aur kuchh bhi nahi chaahiye is na cheez ko...aap ne sach meN rula diya...bahut bahut shukriya janaab...bahut bahut shukriya...
mukhlis,
vikram
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
13th November 2011, 06:35 PM
Quote:
Originally Posted by Pradhyuman
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
kaha kis ne kya kya, nahiN yaad ab to
na ilzaam dena, haiN qisse puraane
bahot umda..waqai..
thi hasrat badi ke ho ik ghar bhi apna
haiN qismat meN apni faqat ye viraane
acha hai
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
hmm..
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
yeh sher khula nahi mujhpar.. rabt nazar nahi aa raha donoeN misro meiN ..yeh meri kam ilmi hi hai shayad.
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
haasil-e-ghazal..waah..yeh "aaina" shabd par sher bahot sooratoeN mein padh chuke hai..unme se mujhe bahot kam sher pasand aaye hai..lekin aapka yeh sher bahot pasand aaya.. uski wajah yeh hai "bulaata hai mujhko"
uthaayee qalam 'mast' hai kis liye ab
likhe jo taraane, kise haiN sunaane
acha hai..
vikram bhai..daad hi daad...bahot lyrical ghazal hai..definetely one of your best creation so far..
god bless
aapka dost,
Pradhyuman
|
Thanks a lot Pradhyuman saheb...
jo sher aap par khul nahiN paaya...vo aapki kam ilmi nahi janaab, vo meri peshkash ki kami samjheN...baharhaal, usme ye kehne ki koshish ki thi ki jo mere dil meN rehta hai vo mujhse door rah kar mujhse yaqeenan khafa hoga kyuNki jis tarha duuri se mera dil jalta hai uska bhi jalta hoga....
daad ke liye bahut bahut shukriya saheb...
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
|
|
masttt...
Offline
Posts: 2,152
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 41
|
12th August 2023, 08:42 PM
Quote:
Originally Posted by vikramjethi
dard ki mehfil ko mera salaam....
ek gair murdaf ghazal ko anjaam dene ki koshish ki hai...
behar: 122 122 122 122
bataayega zuroor ki koshish kaisi rahi aur galati ko bhi nazar aNdaaz mat kijiyega...aapki rae ka muntazir....
dikhaayee na deta, sunaayee na deta
vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane
kaha kis ne kya kya, nahiN yaad ab to
na ilzaam dena, haiN qisse puraane
thi hasrat badi ke ho ik ghar bhi apna
haiN qismat meN apni faqat ye viraane
dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane
juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane
hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane
uthaayee qalam 'mast' hai kis liye ab
likhe jo taraane, kise haiN sunaane
|
aadaab,
aaj ek arse ke baad yahan ka rukh kiya to lava ki peechhe to jannat chhod aaya hu, aaya that to haazri dena lazim that...bahut shukriya aap sabka...
'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....
vikramjethi@gmail.com
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|