kisi se yooN bhi mohabbat kaheeN na ho jaae -
15th October 2023, 08:00 PM
किसी से यूं भी मोहब्बत कहीं न हो जाए
कि अपने आप से नफ़रत कहीं न हो जाए
ज़हीन अब मेरी वहशत कहीं न हो जाए
ये सोच कर कोई आफ़त कहीं न हो जाए
मैं सिर्फ़ इसलिए मिलता हूँ ग़ैर लोगों से
मुझे अब अपनी ही आदत कहीं न हो जाए
जो कर रहा हूँ वो करते हुए पशेमां* हूँ
ये काम बाइस-ए-इज़्ज़त** कहीं न हो जाए
*लज्जित **सम्मान का कारण
कोई दुआ तो करे मेरी बुज़दिली के लिए
तबाह होने की हिम्मत कहीं न हो जाए
जिस एहतिराम-ओ-अदब से दिया गया है मुझे
ये फूल संग-ए-मलामत* कहीं न हो जाए
*भर्त्सना का पत्थर
उदासियों के बयाबां में डर यही है मुझे
कि रफ़्ता-रफ़्ता ये जन्नत कहीं न हो जाए
लगा कि तर्क-ए-तअल्तलुक* का फ़ैसला कर लें
लगा कि ऐसी हिमाक़त कहीं न हो जाए
*सम्बंध त्यागना
शराब पीते हुई आमद-ए-ग़ज़ल “ज़र्रा”
वुज़ू के साथ इबादत कहीं न हो जाए
- ज़र्रा
kisi se yooN bhi mohabbat kaheeN na ho jaae
ki apne aap se nafrat kaheeN na ho jaae
zaheen ab meri vahshat kaheeN na ho jaae
ye soch kar koi aafat kaheeN na ho jaae
maiN sirf islie milta hooN Gair logoN se
mujhe ab apni hi aadat kaheeN na ho jaae
jo kar raha hooN vo karte hue pashemaaN* hooN
ye kaam baais-e-izzat kaheeN na ho jaae
*ashamed *cause of honour
koi dua to kare meri buzdili ke lie
tabaah hone ki himmat kaheeN na ho jaae
jis ehtiraam-o-adab se diya gaya hai mujhe
ye phool saNg-e-malaamat* kaheeN na ho jaae
*stone of rebuke
udaasiyoN ke bayaabaaN meN Dar yahi hai mujhe
ki rafta-rafta ye jannat kaheeN na ho jaae
laga ki tark-e-ta’alluq* ka faisla kar leN
laga ki aisi himaaqat kaheeN na ho jaae
*renouncing relationship
sharaab peete hui aamad-e-Gazal “zarraa”
vuzoo ke saath ibaadat kaheeN na ho jaae
- zarraa
maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
|