|
|
|
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
Manzil -E- Mohobbat ki Kwahish -
8th October 2009, 03:21 PM
Sabhi dostoN ko mera salaam..........
Is bazam ke kabil to mere ahsaas nahi rahe hai bus youn hi kuch lkha hai ek sher ko point karke puri gazal kahene ki gustaqi kii hai....... ummid hai aapko yeh meri koshish pasand aayengi.....
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
Karna mujhe badnaam phir tumhe mujh per haaq hoga
Pahele mere naam se judaa Tumhara Naam to hone do
Na Lagaunga dil kabhi Phir itni deewangii ki hadh tak
Mairi Iftadayi Mohobbat Kaa Kuch Anjaam to hone do
dekhlo ek nazar chahe khak bhi na dalo tum mujh per
Dard Basar is Dil Ko Sanam Zarra Aaraam to hone do
Sirf justajuu hai meri Manzil -E- Mohobbat ki Kwahish
Khanabadosh huN is rah mujhe bamaqaam to hone do
|
|
|
|
|
~ Ek Ghazal ~
Offline
Posts: 1,454
Join Date: Dec 2008
Location: London
Rep Power: 32
|
8th October 2009, 03:50 PM
Quote:
Originally Posted by kwahish
Sabhi dostoN ko mera salaam..........
Is bazam ke kabil to mere ahsaas nahi rahe hai bus youn hi kuch lkha hai ek sher ko point karke puri gazal kahene ki gustaqi kii hai....... ummid hai aapko yeh meri koshish pasand aayengi.....
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
Karna mujhe badnaam phir tumhe mujh per haaq hoga
Pahele mere naam se judaa Tumhara Naam to hone do
Na Lagaunga dil kabhi Phir itni deewangii ki hadh tak
Mairi Iftadayi Mohobbat Kaa Kuch Anjaam to hone do
dekhlo ek nazar chahe khak bhi na dalo tum mujh per
Dard Basar is Dil Ko Sanam Zarra Aaraam to hone do
Sirf justajuu hai meri Manzil -E- Mohobbat ki Kwahish
Khanabadosh huN is rah mujhe bamaqaam to hone do
|
Sameer....
peshkash waqyi damdaar hai.....sabhi sher meiN yeh mujhe accha laga...
Na Lagaunga dil kabhi Phir itni deewangii ki hadh tak
Mairi Iftadayi Mohobbat Kaa Kuch Anjaam to hone do
Yunhi likhte raho
khush raho
tumhari dii
~*~Kaash Dil ki aawaz mein aisa asar ho jaaye
Jise Hum Yaad karte hai use Khabar ho jaaye ~*~
|
|
|
|
|
Guest
|
8th October 2009, 04:10 PM
Bahut he lajawaab hai... Thanx for sharing
Last edited by asdfgh; 8th October 2009 at 04:14 PM..
Reason: Confused
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
|
8th October 2009, 04:41 PM
khwaish sahab.........aadaab
apki ghazal bahut pasand aayi.............
matla sabse khobsurat tha..........( iska matlab ye nahi ki baki kam the)
har misra bahut saaf adaa hua hai.......bilkul natural flow me........
girah bhi bahut acchi lagai hai apne.......
nayapan hai bahut hadd tak........
dil se nikli daad kabool ho sahab.........
yun hi sunate rahiye aur mahfil ki raunaq bane rahiya........
regards
|
|
|
|
|
Anshumali
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
|
8th October 2009, 05:58 PM
Quote:
Originally Posted by kwahish
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
Karna mujhe badnaam phir tumhe mujh per haaq hoga
Pahele mere naam se judaa Tumhara Naam to hone do
Na Lagaunga dil kabhi Phir itni deewangii ki hadh tak
Mairi Iftadayi Mohobbat Kaa Kuch Anjaam to hone do
dekhlo ek nazar chahe khak bhi na dalo tum mujh per
Dard Basar is Dil Ko Sanam Zarra Aaraam to hone do
Sirf justajuu hai meri Manzil -E- Mohobbat ki Kwahish
Khanabadosh huN is rah mujhe bamaqaam to hone do
|
Sameer ji....Aadaab.....bahut khub.....superB creation.....sabhi sher bahut ache bane hai....har ehsaas dil ko bahut gehraai tak chhuke jata hai....aapki kalam ka yeh andaaz bhi mujhe khub pasand aaya hai...aapko likhte tak maine ise kai baar padha....aur har baar naya sukh mila....dard ke saath....
tahe dil se daad....kabul kare....
aise hi likhtey jaaiye....khush rahiye...
aur apna khayal rakhiyega....
duaaon ke saath.....
YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...
Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...
---Naresh Mehra----
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
8th October 2009, 07:33 PM
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
Sameer Bhai,
Lajawab kar dia aap nay,
Boht hi zaberdast composition rahi aap ki,
Hur shair dil ko chu gaya...
Boht acha laga aap ki yeh ghazal phar kar....
Aisay hi likhtay rahiye,
Apna khiyaal rakhiye ga,
GOD BLESS YOU,
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 665
Join Date: May 2009
Location: Waltham, MA
Rep Power: 27
|
8th October 2009, 08:32 PM
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
This one was excellent Khwahish.....
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 200
Join Date: Aug 2009
Location: south delhi india
Rep Power: 18
|
8th October 2009, 09:41 PM
[quote=kwahish;368814] Sabhi dostoN ko mera salaam..........
Is bazam ke kabil to mere ahsaas nahi rahe hai bus youn hi kuch lkha hai ek sher ko point karke puri gazal kahene ki gustaqi kii hai....... ummid hai aapko yeh meri koshish pasand aayengi.....
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
waha kya khoob keha hai
Karna mujhe badnaam phir tumhe mujh per haaq hoga
Pahele mere naam se judaa Tumhara Naam to hone do
bhout achcha likha hai aapnay
Na Lagaunga dil kabhi Phir itni deewangii ki hadh tak
Mairi Iftadayi Mohobbat Kaa Kuch Anjaam to hone do
kya baat hai janaab
dekhlo ek nazar chahe khak bhi na dalo tum mujh per
Dard Basar is Dil Ko Sanam Zarra Aaraam to hone do
waha waha
Sirf justajuu hai meri Manzil -E- Mohobbat ki Kwahish
Khanabadosh huN is rah mujhe bamaqaam to hone do
waha janaab kya likha hai aapnay ....badi hi sanjidgi say bahout hi
umda likha hai aaghay bhi aisa hi kuch padnay ko milayga aise hi
...............Aasha karta hoon
aapka vichitra
Yeh manjilen yeh rastay mushkilo bhari yeh dager.....
Tu nahin hai mere sath to mushkilo ka hai safer......
Tham lay tu mera daman meri khushiyan nahi hai koi.....
Na meri manjil na mera karwaan na humsafer hai koi............
|
|
|
|
|
Huii Sabse Paraayi
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 45
|
8th October 2009, 09:46 PM
Sabhi dostoN ko mera salaam..........
salam kabul kiya
Is bazam ke kabil to mere ahsaas nahi rahe hai
kyoN ehesaas ko bech diye kya
bus youn hi kuch lkha hai ek sher ko point karke puri gazal kahene ki gustaqi kii hai
Gustakhi to bar bar karte ho yeh koi new baat
....... ummid hai aapko yeh meri koshish pasand aayengi.....
hum kisike umiid pe pani nahi ferte
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
hmm
Karna mujhe badnaam phir tumhe mujh per haaq hoga haq*
Pahele mere naam se judaa Tumhara Naam to hone do
bahot khub
Na Lagaunga dil kabhi Phir itni deewangii ki hadh tak
Mairi Iftadayi Mohobbat Kaa Kuch Anjaam to hone do
achha hai
dekhlo ek nazar chahe khak bhi na dalo tum mujh per
Dard Basar is Dil Ko Sanam Zarra Aaraam to hone do
soch mein nayapan nahi
Sirf justajuu hai meri Manzil -E- Mohobbat ki Kwahish
Khanabadosh huN is rah mujhe bamaqaam to hone do
iska matlab samjh mein nahi aaya
sher achha hai
apna khayal rakhiye khus rahiye
Diya
Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai
Goodbye SDC
Diya
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
9th October 2009, 05:01 PM
Quote:
Originally Posted by Ek Ghazal
Sameer....
peshkash waqyi damdaar hai.....sabhi sher meiN yeh mujhe accha laga...
Na Lagaunga dil kabhi Phir itni deewangii ki hadh tak
Mairi Iftadayi Mohobbat Kaa Kuch Anjaam to hone do
Yunhi likhte raho
khush raho
tumhari dii
|
Dii..........
Thanks for appriciate, aapne jis sher ko choose kiya hai mera bhi pasandida hai woh......
Aur sach mein har insaan ki zinagii mein aisa mod aata hi hai......
Aaghaaz to sabhi karte hai per anjaam aane tak uske ahsaas badal jaate hai
Aage bhi aapka saath bana rahe aur nawazish hoti rahe Insha Allah zarur likhate rahenge..
Aap bhi khush rahiye..
Apna khayal rakhiye..
Khuda hafez......
Your Bro..... sameer
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
10th October 2009, 04:12 PM
Quote:
Originally Posted by Buland Shayar
Bahut he lajawaab hai... Thanx for sharing
|
Hii Raj How are you Bhai?
Bahut khushi hui tumhe wapas yahan dekhker........
Bhai aate rahiye, aisi sharings hum karte rahenge........ But we are also missing your poetry, come with your cool poetry.....
Khush raho..
Take care..
May God Bless you dear.
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
11th October 2009, 07:59 PM
|
|
|
|
|
Guest
|
11th October 2009, 08:46 PM
ye kya tha... mujhe kuch samjh nahi aa araha hai
kya kahun...
sameer jii aapki is koshish ne mujhe pasand nahi aayi
balki bahut hi jyada achi lagi
darey to nahi na....
is ghazal ke ehsaas bahut hi khoobsurat the...
itne achi soch or gehre khayaal ke sath aapko dekhke
sach me acha laga..
or aap naakam nahi hue to aap lautoge bhi nahi...
aise hi mehfil ki roanak banaye rakhiye...
vicky
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 474
Join Date: Apr 2009
Rep Power: 25
|
12th October 2009, 10:12 AM
Sameer ji, kya baat h........ her ek sher bahut kamal ka h
Daad kubul farmayiye
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
12th October 2009, 02:29 PM
Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110
Sameer ji....Aadaab.....bahut khub.....superB creation.....sabhi sher bahut ache bane hai....har ehsaas dil ko bahut gehraai tak chhuke jata hai....aapki kalam ka yeh andaaz bhi mujhe khub pasand aaya hai...aapko likhte tak maine ise kai baar padha....aur har baar naya sukh mila....dard ke saath....
tahe dil se daad....kabul kare....
aise hi likhtey jaaiye....khush rahiye...
aur apna khayal rakhiyega....
duaaon ke saath.....
|
Naresh Jii AadaaB........
Aapke reply dilchasp laga aur likhane ki urjaa bhi pradan kar gaya issay jyada kisi shayari writter ko daad mile yeh mumkeen nahi....... Aapne itni gehrai se padha hai to mere ahsaas aap tak pahunche hi hoge shukriyaa.......
Aapki daad sir ankhoN per sahab aage bhi aapka sahyog milta rahe hum likhate rahenge.....
Koshish jaari hai sahab, aage bhi saath banaye rakhiye...
Khush rahiye..
Ap bhi apna khayal rakhiye
Khuda Hafez..
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
16th October 2009, 04:28 PM
Quote:
Originally Posted by Hassan Rasheed
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
Sameer Bhai,
Lajawab kar dia aap nay,
Boht hi zaberdast composition rahi aap ki,
Hur shair dil ko chu gaya...
Boht acha laga aap ki yeh ghazal phar kar....
Aisay hi likhtay rahiye,
Apna khiyaal rakhiye ga,
GOD BLESS YOU,
|
HassaN sahab Aadaab..........
Aapko meri peshkash achchi lagi iska mamnoon huN, Daad wa hounsla afzai ka tahe dil se shukriya....
Aage bhi aapna saath banaye rakhiye,
Apna kahayal rakhiey
Khush rakhiey
Khuda hafez..
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
20th October 2009, 04:27 PM
Quote:
Originally Posted by m.mayoos
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
This one was excellent Khwahish.....
|
Thanks Mayoos .............
Koshish ko sarahane ka.... aur hounsla afzai karne ka...
Khush rahiye..
Khuda Hafez..
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
20th October 2009, 04:30 PM
[quote=vichiter;368886]
Quote:
Originally Posted by kwahish
Sabhi dostoN ko mera salaam..........
Is bazam ke kabil to mere ahsaas nahi rahe hai bus youn hi kuch lkha hai ek sher ko point karke puri gazal kahene ki gustaqi kii hai....... ummid hai aapko yeh meri koshish pasand aayengi.....
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
waha kya khoob keha hai
Karna mujhe badnaam phir tumhe mujh per haaq hoga
Pahele mere naam se judaa Tumhara Naam to hone do
bhout achcha likha hai aapnay
Na Lagaunga dil kabhi Phir itni deewangii ki hadh tak
Mairi Iftadayi Mohobbat Kaa Kuch Anjaam to hone do
kya baat hai janaab
dekhlo ek nazar chahe khak bhi na dalo tum mujh per
Dard Basar is Dil Ko Sanam Zarra Aaraam to hone do
waha waha
Sirf justajuu hai meri Manzil -E- Mohobbat ki Kwahish
Khanabadosh huN is rah mujhe bamaqaam to hone do
waha janaab kya likha hai aapnay ....badi hi sanjidgi say bahout hi
umda likha hai aaghay bhi aisa hi kuch padnay ko milayga aise hi
...............Aasha karta hoon
aapka vichitra
|
Vichitra Bhai........... aadaaB
Kaise hai janab? Bhai koshish to ki hai... per aapne jis tarha meri koshish ko saraha hai dil khush ho gaya... Aap jaise shayar jab daad deN to daad khaas lagti hai...
Aage bhi aapki hounsla aafzai milti rahe yehi ummid karunga...
Khush rahiye..
Apna khayal rakhiye
Khuda hafez..
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
6th November 2009, 03:53 PM
Diyaa Jii AadaaB.........
Kaisi haiN aap....... ?
Aapne hamara likha pasand kiya, aur hounsla afzai ki uska tahe dil se shukriya....
Shayad aapko maqta samjh mein nahi aaya jo aapne kaha bhi haiN to main uska tafsira de raha huN.....
Sirf justajuu hai meri Manzil -E- Mohobbat ki Kwahish
Khanabadosh huN is rah mujhe bamaqaam to hone do
Meri sirf yehi last koshish hai ke main apni mohobbat ki manzil ko paa luN...
Abhi main is mohobbat ki raah per musafir huN mera is raah mein koi ghar nahi means meri abhi koi mohobbat nahi jab mujhe apni mohobbat mil jayengi to main bhi mohobbat ki is raah per bamakhaam ho jayuNga....
Khanabadosh means...( Jiska koi ghar nahiN )
Aati rahiye,
Khush rahiye..
Aage bhi apna saath banaye rakhiye..
Khuda Hafez...
|
|
|
|
|
Aapki dost
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
|
10th November 2009, 10:31 AM
Bohat khoob sameer saheb.... aapki yeh ghazal acchi lagi mujhe...bohat hi sachhe ehsaas maluum padhte haiN......yuhi likhte rahiye...........
Zainy
PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...
Nm
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
11th November 2009, 04:54 PM
Vicky Bhai.........
Main kuch pal ke liye soch mein pad gaya tha......... Phir dobara apni hi post padha aur sochne laga kya wakai maine itna bhada likha haiN
Aray bhai daraoge aur darunga nahi.... main bhi InsaaN hi huN yaar
Haan Nakaam hoker lautne se behtar haiN na hi lautuN....
Aapne jis tarha housla afzai ki hai uska tahe dil se shukriyaa...
Aage bhi aap ka saath bana rahe yehi dua...
Aate rahiye..
Khush rahiye..
Khuda hafez..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
11th November 2009, 05:10 PM
Sameer...............bahut accha likha hai aapne har baar ki tarah hi, sabhi sher bahut khoobsurat bane haiN aur ahsaas bhi umda haiN, hume yeh 2 sher bahut hi khaas lage.
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
Karna mujhe badnaam phir tumhe mujh per haaq hoga
Pahele mere naam se judaa Tumhara Naam to hone do
aapki diii
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
14th November 2009, 04:49 PM
Quote:
Originally Posted by shipra
Sameer ji, kya baat h........ her ek sher bahut kamal ka h
Daad kubul farmayiye
|
Thanks Shipra jii........
Meri gazal ko pasand karne aur reply karne ke liye aapka tahe dil se shukriyaa....
Daad kabool hai...
Aage bhi saath banaye rakhiye..
Khush rahiye..
Khuda Hafez,..
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
20th November 2009, 04:15 PM
Quote:
Originally Posted by zainy
Bohat khoob sameer saheb.... aapki yeh ghazal acchi lagi mujhe...bohat hi sachhe ehsaas maluum padhte haiN......yuhi likhte rahiye...........
|
Zainy jii Aadaab...........
Humari gazal aapko pasand aayi aur aapne gazal ke ahsaas ko samjh main aapka tahe dil se shukra guzar huN........
Koshish jari hai......... Aage bhi apna saath banaye rakhiye.......
Khush rahiye..
Khuda Hafez...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 155
Join Date: Nov 2009
Rep Power: 17
|
23rd November 2009, 10:45 AM
Wah kya kahne sameer G .......................... aapka to koi jawab hi nahi.........
Har ek khwaish hi khwaish ko dhundti hai....
or meri najre ek khwaish(Sameer) ko dhundti hai........
hope u dont mind but its true........... me jab bhi online aati hu to apke or naresh Jee ke threads jarur search karti hu... abhi SDC ke jyada members se rubaru nahi hui hu but fir bhi i like ur all threads
(๏̯͡๏) (๏̯͡๏)
Hasratein dilo ki chupaye nahi chupti hai,
dard juba par bankar bayan sab karti hai.....
*****************************
Dard ki mehfil me ek sher hum bhi aarz kiya karte hai..
Na kisi se marham Na duaon ki Ummed kiya karte hai..
kayi chehre lekar log yaha jiya karte hai.......
hum in aasunao ko ek chehre ke liye peeya karte hai....
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
23rd November 2009, 04:10 PM
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
26th November 2009, 03:16 PM
Nehaa jee........ Aadaab
Aapne kuch nahi behad jyada tarif kardi jis ke kabil yeh banda nahi... Main yahan aaker hi shayari sikha hun aur yahan aaye huye mujhe ek saal bhi nahi hua...
Ek Kwahish nahi hai mohtarma hazaron kwahisheN hai........ Main jab shayari ki web site per apna ID bana raha tha to janab Mirza Galib sahab ka sher mere nazaron ke samne tha...
HazaroN kwahishen aisi har kwahish pe dam nikale
Nikale mere armaan phir bhi bahut kam nikale........
Jiski wajah se mera ID Kwahish ban gaya... as a taqallus pahele to log mujhe ladki hi samjhte Jisse mujhe koi shikayat nahi, but aap is tarha se itni tarif karengii to mujhe to koi shikayat nahi hogi but shayad auroN ko Itraaz ho jayenga...
Aapne itni izzat o afzai bakhshi main aapka tahe dil se shukriyaa adaa karta huN... Waqt ke saath saath aap bhi yahan ki achchi member ban jayengi yehi ummid hai.....
Apna saath banaye rakhiey, Khush rahiye. Khuda Hafez..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 43
Join Date: Oct 2009
Location: kanpur
Rep Power: 0
|
28th November 2009, 03:53 PM
bahut khoob..........................
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 37
Join Date: Oct 2009
Location: INDIA
Rep Power: 0
|
28th November 2009, 11:00 PM
bahut acha likha hai ... kafi pasand aya ... grt likhte rahiye
hasrat hoti hai kuch likhne ki jab aati hai kisi ki yaad ..
lagti hai chot dil pe ya jab hoti hai kisi se baat ..
|
|
|
|
|
Banned
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
|
28th November 2009, 11:10 PM
zabardast ..................
katl .... har sher
repss aDDEDDDDDDDDD
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 484
Join Date: Oct 2009
Location: Kolkata-City of Joy
Rep Power: 20
|
28th November 2009, 11:30 PM
sameerji,
bahut hi umda alfaazo se nawaza hai aapne apne ehsasso ko.....
acchi lagi aapki ye aada bhi...azeeb sa aaram hai aapki is rachna me
hamari subhkamnaye
izzazut
aur likhe aur dil ko sakoon de
amit7600
Aandhiya Gam Ki Chalegi To Sawar Jaoonga Me
Mai To Dariya Hu Samoondar Me Utar Jaaonga Me
Mujhe Suli Pe Chadane Ki Jaroorat Kya Hai Logo
Mere Haato Se Kalam Cheen Lo Yuhi Mar Jaoonga Me
(When i received You in my heart everything changed for me)
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 200
Join Date: Aug 2009
Location: south delhi india
Rep Power: 18
|
29th November 2009, 03:12 AM
[quote=kwahish;370538] aadaab bhai jaan
bas aap jaisay doston ka pyaar jo aaj yahaan mojood hoon .....bhagwaan ise terha aapki koshisho ko sawaarta rahay ....main apnay aap ko sach main shayar nahin maanta ...........par aapsay say kuch na kuch sikhnay ko to milta hi hai
Khush rahiye..
Apna khayal rakhiye
Khuda hafez..
aapka vichitra
Yeh manjilen yeh rastay mushkilo bhari yeh dager.....
Tu nahin hai mere sath to mushkilo ka hai safer......
Tham lay tu mera daman meri khushiyan nahi hai koi.....
Na meri manjil na mera karwaan na humsafer hai koi............
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
6th December 2009, 06:28 PM
Quote:
Originally Posted by tannusri
bahut khoob..........................
|
Thanks for appriciate Tanushree jee...........
Aage bhi ana sath banaye rakhiye.......
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
13th December 2009, 04:37 PM
Quote:
Originally Posted by shabbir_asas
bahut acha likha hai ... kafi pasand aya ... grt likhte rahiye
hasrat hoti hai kuch likhne ki jab aati hai kisi ki yaad ..
lagti hai chot dil pe ya jab hoti hai kisi se baat ..
|
Shukriyaa Shabbir shaab.......... Aapne apne pasand ajatai aur hounsla afzai ki, aage bhi apna saath banaye rakhiye, Khush rhaiye, Khuda Hafez........
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
21st December 2009, 05:26 PM
Quote:
Originally Posted by janumanu
zabardast ..................
katl .... har sher
repss aDDEDDDDDDDDD
|
Thanks Bhai, Aap aaye yehi bahut hai...............
Aage bhi apna saath banaye rahana.................
Khush raho,
Apna khayal rakho,
Khuda Hafez.............
|
|
|
|
|
अंदाज़-ए-बयां शायराना है
Offline
Posts: 1,173
Join Date: Mar 2009
Location: Bilaspur
Rep Power: 28
|
5th January 2010, 03:15 PM
SubhaaaN allahhhhhhhhh...
Kya kahu yaar.... tumhare pehale sher ne hi kayaL bana dala.. bahut hii umdaaH hai janab... kyaa baat... diL khus kar diya aapNe..
Ek sahi maynO meiN.. aapne flow ko barkaar rakhte huyee..aapne use anzzaam tak phuchayaa....
Daal QabooL kare janaB...
Omi
Quote:
Originally Posted by kwahish
Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaKaam to hone do
Karna mujhe badnaam phir tumhe mujh per haaq hoga
Pahele mere naam se judaa Tumhara Naam to hone do
Na Lagaunga dil kabhi Phir itni deewangii ki hadh tak
Mairi Iftadayi Mohobbat Kaa Kuch Anjaam to hone do
dekhlo ek nazar chahe khak bhi na dalo tum mujh per
Dard Basar is Dil Ko Sanam Zarra Aaraam to hone do
Sirf justajuu hai meri Manzil -E- Mohobbat ki Kwahish
Khanabadosh huN is rah mujhe bamaqaam to hone do
|
Ek InteZaar si ban gayi hai Zindagi,
Har pal tere aane ki Aash mein.......
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
21st February 2010, 04:26 PM
Quote:
Originally Posted by amit7600
sameerji,
bahut hi umda alfaazo se nawaza hai aapne apne ehsasso ko.....
acchi lagi aapki ye aada bhi...azeeb sa aaram hai aapki is rachna me
hamari subhkamnaye
izzazut
aur likhe aur dil ko sakoon de
|
Amit Bhai Hounsla Afzai ka bahut bahut shukriyaa,
Aage bhi apna saath banaye rakhiye,
Apna khayal rakhiye,
Khuda hafez......
|
|
|
|
|
RADHE RADHE
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 59
|
21st February 2010, 06:41 PM
sameer bhai
radhe radhe
peshkash bahut umda hai...har ashar bada saaf aur dil ko choone wala hai..aise hi likhte rahe aur mehfil ki raunak badhaate rahen
(rep+++)
Aapka Apna Ishk
'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है
email: rkm179@gmail.com
|
|
|
|
|
An Incomplite Dream
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
|
21st March 2010, 02:28 PM
[quote=vichiter;375556] Vichitra Bahi Aadaab.......
Yeh mehfil hi aisi hia ke yahan sabko ek dusre se kuch sikhane milta hia...... Bus dil mein sikhane ki justajoo chahiye, aur sabke liye dil mein khulus chahiye..
Mehfil mein aate rahiye,
Apna khayal rakhiye,
Khush rhaiye,
Khuda Hafez.....
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|