Quote:
Originally Posted by Hamdam
Kanahayia ab tum Gayian charane nahin aate yamuna ke tat pe,
Raah dekhun din rain main baanwari pari rahun panghat pe.
Ik tak teri raah dekh rahe ye nayana,
Man hai vyakul mere dil me na chaina.
Tere bin kaise kate din raina,
ab kitna dard aur parega sehna.
Barson beet gaye ab tuje rijhaye,
Ab i meri jivha na tere geet gaye,
sapno me ab mere tuun kabhi na aye
Kahe kanha tu mujhe sataye.
Terre milan ki aas mein main roj panghat pe aaun,
Khali gaggar ko baja 2 ke tuje bulaun,
Ab to roz chal chal ke paaon mein par gaye chale,
Tere ik daras ko yeh naina hai matwale.
Ik bar bas ik baar phir se panghat pe aao,
mujhe bansuri ki woh madhur dhun sunao,
Mere man mandir ka phir se diya jalao,
Mera khoya hua pyar phir se lautao...........
sanjay
|
bahut achcha............................................ ....