ik naye dard ko lekar aap sabhi k saamne prastut prem anjana ko reply roopi aashirwaad de..................aapka prem anjana
Tum kya sunder desh banaoge?
Desh mangata hai parivartan
Au tum maang rahe aarakshan
Aarakshan k bal par aage badh kar kaya kar paoge
Tum kya sunder desh banaoge?
Jaati ka aarakshan manga
Dharmon ka aarakshan manga
Lingbhed arkshan paakar kaisa desh banaoge?
Tum kya sunder desh banaoge?
Shiksha mein arkshan paya
Sewa mein arkshan paya
Kaun si sewa karke tum sunder desh banaoge?
Aarkhan hi lena hai toh budhdhi se aarakshan lo
Aao baitho karo saamana pratibha se aarakshan lo
Aarakshan se tum bane vaidh ho tum kya dard mitaoge!!
Tum kya sunder desh banaoge?
Aarkshan k bal par jab khud ko tumne guru bana dala
Aarakshan ki sidhi chdkar abhiyanta ka pad pa dala
Kaun sa yantra laga k tum ooper desh uthaoge?
Tum kya sunder desh banaoge?
"Anjana" ik din desh ko mere aarakshan daanv kahyega
Ya phir badlega naam desh ka aarakshan desh kahayega
Aise hi pad cinhhon par chal, tum kaya kar paoge
Tum kya sunder desh banaoge?
anjana prem
sab meri muskurahat se jalte hai,
mai sabko hasata chala gaya.
pasand thi jamane ko meri barbadi,
mai unpe dil-o-jaan lutata chala gaya.