28th July 2010, 06:39 PM
Jai shree krishna Rajinder ji...
Kab se soch raha tha ki kya likhu... is baat ko jankar... par jo aapne kaha us bat se hi sahmat hu... jo likha hota hai wo hona hi hai.. hum niyati ko nahi badal sakte... maine apne jijaji ko last year 30-sep-2009 ko kho diya.. wo mere dil ke sabse karib the...
unko cancer tha... yakin maniye.. unhe bachane ke liye wo sab kuch kiya mene jo mere hath me tha... kisi ne janha ka pata diya wanha gaya... har masjid , mandir gaya... shrinathji se prathna karta rahta tha ki meri bus yahi ek baat man le fir kabhi kuch nahi mangunga... par wo hi hua ja na hona tha... wo hum sab ko chod kar dur chale gaye... Didi ko jo wada kiya tha unhe bachane ka pura nahi kar paya... aaj bhi jab apne 3 saal ke bhanje ko dekhta hu to dil durd se bhar jata hai...
Par aaj yahi kah kar dil ko bahlate hai ki shayad bhagwan ko yahi majur tha... niyati ke aage kuch nahi ho pata... par ek sawal fir bhi dil me rah rah kar aa jata hai ki "KYUN" akhir esa hamare sath hi "KYUN" , par koi jawab nahi mil pata....
Me shrinathji se prathna karunga aapki beti janha bhi ho... khush ho....
Jai shree Krishna
Tarang
"salika ho gar bhigi aankho ko padhne ka to.....
aksar bahte hue aansu bhi bat kiya karte hain...!"
Tarang
|