Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Apne vichaar aapke saath baant raha hoon...fursat mein jaroor parna.
Old
  (#1)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Post Apne vichaar aapke saath baant raha hoon...fursat mein jaroor parna. - 24th October 2002, 04:06 PM

Doston.....
Aap sab ka dhyaan iss oar kheenchne ke liye kshama chahata hoon. Jaisa ki yahan mera ek chota sa parivaar ban gaya hai, jiska naam hai “Shayri.com”. Yeh naam tow bahut chota hai per samajhne kee koshish kari jaye tow iss-se bada kuch bhi nahin. Doston, yahan kayee doston ko mera likhna theek nahin lagta, kyonki main Hindi ka prayog juada karta hoon, magar main majboor hoon ki mujhe Urdu ki samaj thodi hai. Agar main tod-mod ke urdu likhta hoon tow yeh mera nahin “Urdu” ka apmaan hoga aur Urdu, Hindi ya kisi aur bhasa ka apmaan mujhe sweekar nahin hai. Kuch doston ne mere beetey kal ko jan-na chaha hai. Mujhe khusi hogi ki main aapke saath kuch baant sakun.
Aaya akela..jaoonga bhi akela

Akela chal raha hoon main rahi
Jab se maine kalam uthai.
Kisi ne meri hansi udai
Aur kisi ne dee duaee.

Sadak bahut lammbi hai yahan per
Girtey hai kuch thoda sambhalkar.
Rastey ka koi annt nahin hai
Mila koi insaan bhi nahin hai.

Mili mujhe rastey mein basti
Jahan jaan thi bahut hee sasti.
Beh raha tha khoon wahan per
Marr rahe tthey log tadapker.

Jhele sangharsh maine datt kar
Pair badaya aur sambhalkar.
Toofano se darr nahin khaya
Tow sahaas khud hi bar aaya.


NOTE: Meri gujaris hai ki aap poora lekh paren, aadha lekh padkar aap kisi ko samajh nahin paiyenge.

Aaj main aapko aur shayri.com ke sabhi doston ko apni choti si soch ka daayra samjhane ki koshish karta hoon. Jo meri khud ki soch hai. Agar kisi dost ko meri baaton ka bura lagta hai tow mujhe naadaan lekhak samaj muaaf kar dena :

PYAR — Pyar ka sabse bada naam hai Maa (Mother), Duniya ki saari khusi Maa ke pyar ke aage choti mehsoos hoti hai. Maa se hum sab ka ek rishta hota hai jo 9 mahine(month) ka. Hum sab Maa ka hee ek hissa hain. Jise koi tod nahin sakta. 9 mahine ka woh waqt woh rishta koi bhala kaise tod sakta hai...aur jisne yeh rishta todne ki koshish bhi kari hai woh kabhi khush nahin reh saka.
................................
Pyar ka ek aur naam hai “Dosti”. Bhai-behan tow hume kudrat ne diye hain per dost ko hum khud chuntey hain Dosti ke liye. Dost hamari zindagi ka ek bahut bada hissa hota hai. Jiske saath hum apna sukh-dukh baantey hai. Yeh baat maayne nahin rakhti ki hamara dost larka hai ya larki. Saccha dost hume opposite sex ka bhi mil sakta hai. Magar woh kehlata hai “Ek Dost”. Agar Maa ke baad doosra rishta koi hai tow woh hai Dosti.
...........ek shayar keh gayen hai:
“Dosti hee dil ki hai dharkan,
dushmani shera-shera aur dosti gulshan-gulshan”
................................
Phir waqt aata hai - PYAR-ISHQ-MOHABBAT - ka....

“Koi shart hoti nahin pyar mein magar pyar sharton mein sabne kiya”

Kehtey hain Pyar/Ishq khuda ka doosra naam hai. Per sacchi mohabbat ke liye shayad ooperwala bhi tarasta hoga. Doston, Kya hum log zindagi bhar “Seeri-Farhad” ya “Heer-Raanjha” kee hee misaal dete rahenge ?? Kya aaj hum logon ke beech main aisa koi hai jo Pyar ko naya mod de sake? Nayi misaal de sake?... Shayad nahin !!!, kyon ki jiske andar khuda basta ho woh hee sacchi mohabbat ka haqdaar hai. Aur mohabbat ke khuda hum....Seeri-Farhad.....Heer-Raanjha ko keh sakte hain. Kuch logon ka maan-na hai ki ..Khudkhusi.. karna mohabbat ka ek imtihaan hai magar woh galat soch ke maalik hain. Kisi ki khaatir Khudkhusi ki koshish karne se agar aapko pyar milta hai tow woh pyar nahin doston...sirf ek samjhota hota hai. “Pyar sacchai ki woh moorat hai jise har saanche mein dhaala ja sake”. Samjhoton ki buniyaad per tika Pyar sirf 4 din ka khel hai. [Doston, yeh sirf...sirf meri apni soch hai jo maine kuch tajurbon se haasil ki hai. Vaise meri soch galat bhi ho sakti hai]
...Zindagi hai sacchai, mitti ki moorat jab sach boli aadmi tab kehlayi.
................................
ZINDAGI - Iss jahan mein pyar ki koi kya umeed karega jahan Aantakvaad ooperwale ki jagah cheen raha hai aur woh khamosh baitha hai. Kahan tha uss waqt woh khuda ya bhagvaan jab Aantakvaad ne “Makka” jaise pavitra sthaan tak ko nahin chora? Kya galti thi unn insaano ki jo “Akshardhaam” mandir (Gandhinagar) mein pooja yaachna ke liye gaye tthey?, wahan bhi aantakvaad bhagwan ke saamne masoomo ki jaan ley raha tha. 6 saal ka nannha baccha goliyon se chalni hua tha wahan. jise abhi Hindu-Musalman tak ka gyaan nahin tha. Yeh sawaal main aap sab ke saath khud se bhi pooch raha hoon. Majboor mehsoos karta hoon main khud ko ki kya main kuch bhi nahin kar sakta hoon.

“ Per mujhe uss din ka intezaar akhri waqt tak rahega jab Calendar “Eid aur Diwali” ek hee taariq mein laakar nasamjh logon ko dosti ka paigaam sunaye”
................................
GAREEBI - Insaan ko agar sabse badi gaali mili hai tow woh hai Gareebi. Aap logon mein shayad hee kisi ko yeh daag mila ho aur meri dua bhi yahi hai ki kisi ko Gareebi naseeb na ho. Meri gujaris bhi yehi hai ki kabhi kisi Gareeb ka dil matt todna. Kyonki, Gareebi hee aaj Aantakvaad ki jarr hai. Ek Gareeb hee aaj Aantakvaadi ban raha hai. Gareeb ko apna ghar chalana hai magar paisa nahin hai, Roti ke liye paisa, Kapre ke liye paisa, Makaan ke liye paisa. Har jagah paisa, paisa aur paisa. Naukri nahin hai tow paisa aayega bhi kahan se. Kuch Gunnah ki duniya mein kadam rakh rahe hain. Log Qatl, loot, cheena-jhapti ko apna pesha bana rahe hain. Jism bik raha hai khulle aam sadkon per, nanga naach ho raha hai Rayees Zaadon aur kuch Safedposh logon ke ghar. Aur tab kahin Gareeb ke ghar mein banti hai Roti aur mitt-tee hai pet ki bhook. Tabhi iska naam para hai “Papi-Pet”

“Chahe Mandir-Masjid todo....per kisi Gareeb ka dil na todo”
................................
Doston, Maine aaj aap sab ke saamne apni soch ka daayra rakha hai...apni poori kitaab aap logon ke saame rakh dee hai. Faisla tow aap khud kar sakte hain ki meri soch galat hai ya sahi hai. Agar aapko kahin kuch galat laga tow meri gujaris hai ki aap mujhe meri galti ka ehsaas kara dein. Shayad main aap logon se kuch naya aur kuch accha seekh sakoon. Aur agar kisi ko mere lekh se tthes pahunchi hai tow mujhe muaaf kar dijeyega.

Dhanyavaad

Vipin
.....ek shoonya
   
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
apne saaye mein hi tujh ko dhundhta raha.... (GAZAL) rajveeer Shayri-e-Dard 29 20th July 2007 08:28 PM
*Ek Vichaar-(Jagruti)-Aur Saath Bhajan** Shimul Shayri-e-Dard 4 10th May 2006 05:28 PM
aapke khayalo se fursat nahi milti rooswa_zindagi Aapki Shayri 0 2nd October 2005 12:56 PM
Dhund Raha Hun Mein Apne Yaar Ko......... ekdeewana Hindi Kavitayen 1 2nd November 2003 01:04 AM
apne guzre hue kal ki kitaab dekh raha hoon... maikasH Shayri-e-Dard 0 19th November 2001 11:27 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com