Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
dil ko dard haathon ko kalam de gaye hain
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
dil ko dard haathon ko kalam de gaye hain - 7th October 2001, 08:15 AM

dil ko dard haathon ko kalam de gaye hain
kaise kaise tohfe mere sanam de gaye hain

ghis-ghis ke chalti hai, raah-e-mohabbat mein
zindagi ko thak-e se kadam de gaye hain

dawaa karta hoon to daag jalne lagte hain
mere seene ko aise zakham de gaye hain

idhar aana mere mehboob ko manzoor nahin
aur udhar na jaane ki kasam de gaye hain

sun-ne waale rote hain sunane waale rote hain
"maikasH" ki ghazlon ko itnaa gam de gaye hain



maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 7th October 2001 at 10:08 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Thumbs up 7th October 2001, 07:51 PM

Kya baat kahi hai!!

Bikul sahi kaha aapne maikashji...
sun-ne waale rote hain sunane waale rote hain
"maikasH" ki ghazlon ko itnaa gam de gaye hain


Allah kare aapko bahut khushiyan mile taki gham ka saaya bhi na rahe aapke saath!!

Duaoon ke saath,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
singhson
Admirer
singhson is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 23
7th October 2001, 11:47 PM

Bahu khoob Maikash ji Bahut khoob. Kya shayri hai. Mere paas alfaaz ki kami hai iski tareef karne ke liye


Kisi Nazar ko tera Intzaar aaj bhi hai
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
neelo
Registered User
neelo will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 184
Join Date: Apr 2001
Rep Power: 23
8th October 2001, 02:37 AM

I agree with shumaila

Those lines were too good........

-neelo


Never love a love that hurts, never hurt a love that loves

neelo ;-)
  Send a message via Yahoo to neelo  
Reply With Quote
Old
  (#5)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
Thumbs up 8th October 2001, 09:58 AM

singhson ji....
aapne tareef ki...gam ko tassalli ho gayi.....!!


adaab
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#6)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
8th October 2001, 10:00 AM

thanx neelo ji......

meri hasti hai aap jaise kadardaano se
mera rutbaa hai aap jaise meharbaano se


adaab
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
zulm kar rahi hain aap.....!!!
Old
  (#7)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
Sad zulm kar rahi hain aap.....!!! - 8th October 2001, 10:22 AM

shumaila ji......
duaa na sahi badduaa to na dijiye.......!!
gam ka saaya to zindagi ki dhoop ke saath hi jaayega......

aik ghazal likh raha hoon....complete hui to post karoonga....usi ghazal ka aik sheyr yahan kehne ko dil kar raha hai.....

gam na raha to gam ke maare...kahan jaayenge...?
raha na aasmaan to ye sitaare...kahan jaayenge...?


umeed hai aap samajh gayi hongi....!!

adaab
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#8)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
8th October 2001, 06:11 PM

Thanx neelo for agreeing with me

aur maikasji ab main kya kahoon ...aapne to mujhe speechless kar diya hai....

Jab dua hi bad-dua lagne lage to kya kah sakte hain...

Bas gum ko itni jagah na dijiye ke khushi ki gunjaiysh hi na rahe!!

Waqt har marham ki dawa hai....Apne gumoon ko apne aap pe hawi mat hone dijiye.....dekhiye phir aapko yahi duniya jannat lagne lagegi....

Hum ye nahi kahte ke zindagi me hume har khushi mili ya jo manga woh mila..aaj tak jo jo chaha sab china....lekin phir bhi humne umeed ka daman kabhi nahi chorha hai kyonki uparwala insaan ki aazmaiysh leta hai...aur uparwale ke ghar der hai andher nahi jaisa maine aap se pehle bhi kaha hai....mujhe uparwale ki zaat pe poora bharosa hai isliye sabke liye dua karti hoon...

bas inhi umeedon ke saath zindagi kat rahi hai aur yahi nasihat main har gamgeem insaan ko deti hoon

agar kuch galat kaha ho to maafi chahungi,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Thumbs up 8th October 2001, 11:03 PM

Jaate Jaate ek jagjit singhji ki ghazal yaad aa gayi...pesh hai...

Haath chothe bhi to rishtey nahi chorha karte
waqt ki shaaqh se lamhe nahi todha karte,

Jiski aawaz me silwat ho nigahoon me shikan
aisi tasveer ke tukde nahi jodha karte,

Shahad jeene ka mila karta hai thora thora
Jaane walon ke liye dil nahi thorha karte,

Lagke sahil se jo bahta hai use bahne do
aisi dariya ka kabhi rukh nahi morha karte!!

Ek baar phir duaoon ke saath,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
Post 9th October 2001, 10:29 AM

jawaab mein hamein bhi jagjit singh ji ki hi aik ghazal yaad aayi...ll

lejiye suniye.....

patthar ke khuda patthar ke sanam patthar ke hi insaa.n paaye hain
tum shehar-e-mohabbat kehte ho hum jaan bachaa kar aaye hain

but-khaana samajhte ho jisko poccho na wahan kya haalat hai..?
hum log wahin se laute hain,bas shukar karo laut aaye hain

HUM SOCH RAHE HAIN MUDDAT SE AB UMAR GUZAAREIN BHI TO KAHAN..?
SEHRA MEIN KHUSHI KE PHOOL NAHIN SHEHRON MEIN GAMON KE SAAYE HAIN

hothon pe tabassum halka se,aankhon mein nami si ae "faakir"
hum ahl-e-mohabbat par aksar aise bhi zamaane aaye hain...!!!



adaab
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 9th October 2001 at 10:33 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#11)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
10th August 2010, 12:40 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
dil ko dard haathon ko kalam de gaye hain
kaise kaise tohfe mere sanam de gaye hain

ghis-ghis ke chalti hai, raah-e-mohabbat mein
zindagi ko thak-e se kadam de gaye hain

dawaa karta hoon to daag jalne lagte hain
mere seene ko aise zakham de gaye hain

idhar aana mere mehboob ko manzoor nahin
aur udhar na jaane ki kasam de gaye hain

sun-ne waale rote hain sunane waale rote hain
"maikasH" ki ghazlon ko itnaa gam de gaye hain



maikasH


maikash jii, yoon hi nahi hum aapko sdc par miss karte, aapki shayri meiN jo baat hai woh aur kahaN, aapke ahsaasoN ko padkar dil tadap jata hai.

reps +++
apna khayal rakha kijiye bhai
god bless u


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#12)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
Love 10th August 2010, 04:18 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
dil ko dard haathon ko kalam de gaye hain
kaise kaise tohfe mere sanam de gaye hain

ghis-ghis ke chalti hai, raah-e-mohabbat mein
zindagi ko thak-e se kadam de gaye hain

dawaa karta hoon to daag jalne lagte hain
mere seene ko aise zakham de gaye hain

idhar aana mere mehboob ko manzoor nahin
aur udhar na jaane ki kasam de gaye hain

sun-ne waale rote hain sunane waale rote hain
"maikasH" ki ghazlon ko itnaa gam de gaye hain



maikasH
maikash bhai
radhe radhe

bahut khoob ahsaas bahut sundar hai pasnad aaye dil se daad
yun hi likhte rahiye
duaon ke saath

aur is sher ke liye spl daad

idhar aana mere mehboob ko manzoor nahin
aur udhar na jaane ki kasam de gaye hain


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 36
Thumbs up 12th August 2010, 03:33 PM

Aadaab Maikash Sahab
Janaab kya umda bayani ki hai aapne is gazal mei.n seedhi dil ke paar utar gayi har sher dil azeez raha is behetrin kalaam par khaaksaar ki daad kubool kare.n



Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
dil ko dard haathon ko kalam de gaye hain
kaise kaise tohfe mere sanam de gaye hain

ghis-ghis ke chalti hai, raah-e-mohabbat mein
zindagi ko thak-e se kadam de gaye hain

dawaa karta hoon to daag jalne lagte hain
mere seene ko aise zakham de gaye hain

idhar aana mere mehboob ko manzoor nahin
aur udhar na jaane ki kasam de gaye hain

sun-ne waale rote hain sunane waale rote hain
"maikasH" ki ghazlon ko itnaa gam de gaye hain



maikasH


"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.




  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
Old
  (#14)
noor_noor
Registered User
noor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 545
Join Date: Feb 2009
Rep Power: 25
12th August 2010, 05:48 PM

idhar aana mere mehboob ko manzoor nahin
aur udhar na jaane ki kasam de gaye hain

kya khoob andaaz e bayaaN hai janaab ka waah.........tamaam aashaar mashaAllah se bhut hi khoob.............ek dilfareb ghazal ke liyN aapki khidmat mai daad hazir hai qubool keejiye, umeed hai ki aap jald hi koi nayi takhleeq nazr nawaaz karenge


aslam


you.n na samjhoge kinare pe khade rehkar tum
behta dariya hu.n mujhy haath se choo kar daikho
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
12th August 2010, 09:46 PM

maikasH bhaiya:

SSA.... Pranaam!

bas itnaa hi kehnaa chaahtaa huuN ki aapko bahot miss kar rahaa huuN Shaa'iiree Parivaar mei.n

baaqee aapne Ghazal tou Khoob kahi hay!

Khudaa se duaa yahee haii ki aap hameShaa KhuSh rahe.n!

Jai Shree kriShnaa..!

aapka

~Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
dard se kalam tak habib.monu Ghazal Section 0 20th September 2009 08:50 AM
dard se kalam tak habib.monu Ghazal Section 0 20th September 2009 07:31 AM
mere kalam mere haathon se gilaa karne lage.... Hum-Tum Shayri-e-Dard 0 18th January 2005 08:05 PM
vo dard mein dube ye rahte hain, phir bhi na kisi se kahte hain... akant Shayri-e-Dard 2 16th June 2003 04:02 PM
haathon se haath kya churra ke le gaye...? maikasH Shayri-e-Dard 0 14th October 2001 09:16 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com