Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

View Poll Results: Vote for your favorite entry
Un raahon me jahaan 1 5.26%
Aaj to khushi manaungi 9 47.37%
tum kyaa ho 2 10.53%
ye mausam hai bahaaron kaa 1 5.26%
BaharoN ka hasiin mausam 6 31.58%
Voters: 19. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
TPT August - Poll Thread
Old
  (#1)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
TPT August - Poll Thread - 19th August 2015, 08:51 AM

Dear members ,

aapko bataate hue mujhe behad khushi ho rahi hai ke is baar bhi nayaab entries aayi hai TPT mein ....

aur ek se ek behtareen kalaam pesh kiye hain aaap sabhii ne..... kal raat tak mere paas jitni bhi entries PM ke through aayeeN hain ham unko isme shaamil kar rahe hain.....

ummeed hai aap sab badh chadh kar voting ki prakriya me hissa lenge......

aap sab ke votes ka hame intzaar rahega....

Voting ki aakhri date hai... 31st August 2015.

ek member kisii ek kavitaa ko hi vote kar sakega....

unauthorized votings ko neutralized kar diyaa jaaega....

members jinke post counts 50 se kam hain unke votes count nahi kiye jaaenge....

kripya naitikta ka paalan karte hue dusre members ki ghazal ko bhi bharpoor tavajjoh den....please dont vote for yourself if you have participated

to lijiye pesh hain is baar ke kalaam aap sab ke saamne..........aur haan jinohe ne tasveer nahi dekhi hai ab talak unke like tasveer bhi isi thread par daal raha hoon.

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें

Last edited by Qasid; 19th August 2015 at 09:19 AM..
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Un raahon me jahaan
Old
  (#2)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
Un raahon me jahaan - 19th August 2015, 08:54 AM

Un raahon me jahaan too kal thhi mere saath
Chalti thhi sang mere thhame mera haath
Teri maujoodgi ka ehsaas yeh sadaa aaj bhi dilaati hai...

Hai too hi naa chhup jaati jo ek jhalak dikhla mujhko
Diyaa toone hi naa bechaini ka sabab mujhko
Gar woh too hai to khulke saamne kyun nahin aati hai...

In raahon ke panchi hain humaare pyaar ke gawaah
Teri jism ki khushboo se mehake hai yeh hawa
Fir bhi too sochti hai ke too mujhse chhup paati hai...

Mere kareeb aakar tera meri saanson me samaana
Kya bhool gayi too jaise jaise guzraa zamaana
Gar naa bhooli hai to mere seene se kyun nahin lag jaati hai...

Too naa aayegi to main bhi tujhko naa pukaroonga
Teri yaadon ko hi sabab jeene ka banaa loonga
Yeh baat usoolon ki kyun too samajh nahin paati hai...

Pulkit...

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें

Last edited by Qasid; 1st September 2015 at 10:26 AM..
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Aaj to khushi manaungi
Old
  (#3)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
Aaj to khushi manaungi - 19th August 2015, 08:56 AM

Aaj to khushi manaungi peele patto.n ke jhadne ki
Bade dino.n ke baad hai aaii himmat jag se ladne ki

Bohut hua suukhi shakho.n se girna, girkar ro padna
Meri zidd hai ab unche se uuncha parbat chadne ki

Bohut hua armaan kisi ke milne aur bichadne ka
Ab baari hai meri khud ke saath akele chalne ki

Mukh par patti baandh ke maine dard liye the kaii chupa
Mujhe ijaazat mili hai ab bulbul ke saath chehekne ki

Apno se khaaye dhoke tab, ye baat samajh mein aayi hai
Nahi zarurat mujhe kisi bhi gair ka haath pakadne ki

Nahi rukungi, nahi jhukungi, nahi darungi ab to main
Kasam hai khaai ab to maine pal pal aage badne ki

Masti.....

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें

Last edited by Qasid; 1st September 2015 at 10:26 AM..
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Tum Kyaa ho
Old
  (#4)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
Tum Kyaa ho - 19th August 2015, 08:57 AM

iShQ ho naShaa ho tum kyaa ho
dil_naSheeN adaa ho tum kyaa ho

bin ti’re lage yuuN aadhaa huuN
ik haseeN sazaa ho tum kyaa ho

har Shahar galii meiN ye DhooNDhaa
Gar kahiiN liKhaa ho tum kyaa ho

Ik Khayaal dil meiN haii aisaa
harf meiN Chhipaa ho tum kyaa ho

baariShoN ki booNde aur toofaaN
aag ho hawaa ho tum kyaa ho

humsafar mi’re ho yaa raaheN
soch kar bataa do tum kyaa ho

dhaDkaneN ho mere dil ki tum
yaa mi’raa Khudaa ho tum kyaa ho

Harf – a letter or a word of the alphabet.

Dhaval ......

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें

Last edited by Qasid; 1st September 2015 at 10:27 AM..
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
ye mausam hai bahaaron kaa
Old
  (#5)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
ye mausam hai bahaaron kaa - 19th August 2015, 08:58 AM

ye mausam hai bahaaron kaa,
ishaaron kaa, adaaon kaa..

jo mujh ko chaahate ho tum,
silaa de do wafaaon kaa..

huaa hoon main bhi deewaana,
asar unkii nigaahon kaa.

bahut kamm saans baakii hai,
bharosaa kyaa charaagon kaa.

chale aao mere dilbar,
musaafir hoon main raahon kaa.

hawaa me uski khushboo hai,
main aashiq hoon hawaaon kaa.

Shaad....

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें

Last edited by Qasid; 1st September 2015 at 10:27 AM..
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
BaharoN ka hasiin mausam
Old
  (#6)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
BaharoN ka hasiin mausam - 19th August 2015, 09:01 AM

BaharoN ka hasiin mausam ya patjhad ka nazara hai
Muhabbat dil me bas jaye to har mausam hee pyara hai

Zameen par peele pattoN ne raNgoli si sajayi hai
sunahri dhoop jo us par gazab alam ye sara hai

Guzarte vaqt ka har pal maiN ab aagosh me bhar looN
Suhane kal ke aane ka kare mujhko ishara hai

parinde bhi darakhtoN se mujhe awaaz dete haiN
Kahe udta hua aaNchal hawaoN ne pukara hai

ye tanhai ye khamoshi kare ab guftagu mujhse
UmaNgo ne li angdai ki har gam mujhse hara hai

Madhu.....

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें

Last edited by Qasid; 1st September 2015 at 10:27 AM..
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
19th August 2015, 09:25 AM

Sabhee doston ko bahot bahot mubaaraqbaad....shayri pariwaar ke sabhee doston se darkhwaast hai ki vote zaruur karen

Aapka

Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
19th August 2015, 09:29 AM

Wah wah! kya ghazalein hai iss baar bhi.. padh kar mazaa aa gaya

ummeed hai sabhi members vote kar ke iss TPT ke nayaab silsile ko aage badaane mein apna yogdaan denge.

-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
19th August 2015, 09:55 AM

bahut hi acchii peshkash hain han member ki.....

is baar ki ghazals padh kar sach me mazaa aa gayaa.

sabhii participant ko meri taraf se dher saari badhaai.

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
19th August 2015, 10:21 AM

Waaah waaah......
bahut khoob peshkash hain sabhi ki is baar bhi...
Sabhi doston ko dil se daad aur mubarakbad...

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
19th August 2015, 10:50 AM

bahut khoobsurat gazleN aaye hai es baar bhi....maine apni pasand ki gazal ko vote kar diya hai...baaki participants ko bhi best wishes...chaliye dekhte hai es baar TPT ki jeet ka khitaab kis ko jaata hai.

good luck

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#12)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
19th August 2015, 08:29 PM

Bohat khoobsoorat kavisheN padhne ko mili haiN. Sab ko all the best.

raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
21st August 2015, 11:51 AM

sabhi ne badi lagan se tasweer par khayaal pesh kiye hain...aap doston se guzarish hai...unka hausla badhayein....apna keemti vote apni manpasand tahreer ko dein........

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
21st August 2015, 06:09 PM

Jin hazrat ne apne kimati votes ka istemaal kiya hai unka tah-e-dil se shukrguzaar hoon aur jinki jaanib se abhi is silsile ka aghaaz nahi hua hai unse darkhaast karna chahunga ki is muqaable mein shirkat apni pasandida be-takhallus shayri ko uske wajood ke mutaabiq eheteraam haasil karwaane ki pur zor koshish karein....aap ke intezaar mein

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#15)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
25th August 2015, 09:21 AM

doston apnaa keemtee vote zaroor den apni pasandeeda ghazal ko.........................

shukriyaa

shaad.....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#16)

  (#17)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
26th August 2015, 10:32 AM

Doston

Haar jeet maayne nahi rakhti, mayne rakhta hai ek parivaar ke sadasyon ka sehyog. Dil tootata hai pratiyogiyon ka jinhone dil o jaan se mehfil sajaayi hai aur un moderators ka jo apne keemati waqt mein se waqt nikaal kar SDC ke liye kuch karna chahte hain.

Kya yahan vote dena itna kathin hai? ya phir aapko koi bi iss layak nahi lagi ki aapka keemati vote kisi ko jaaye?

AAp logo se vinati hai ki agar aap yahan aa hi gaye hain aur mera message pad rahen hain to apna vote diye bina na jaayein.

Aur akhiri din ka intezaar karne ki koi zaroorat nahi, kya pata aap uss din masroof hon aur na aa paaayein...................

-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
26th August 2015, 10:41 AM

Quote:
Originally Posted by masti View Post

Main tumhari baat se bilkul sehmat hoon, 269 views to this thread and only 7 votes...itni mehnat se likhi hui ghazal/nazm bahut jyaada votes deserve karti hai...Meri sab se guzaarish hai ki vo agar 2 min is thread to de paaye aur likhne waalo ki behad haunslaa afsaayi hogi....

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#19)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
26th August 2015, 11:07 PM

Congrats everybody for participating.

I've used my right of vote.

Best of luck guys...

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
27th August 2015, 08:17 AM

Bahut khoobbb

Sabhi ko mubarakbaad aur hausla afzaaii

andaaz
   
Reply With Quote
thanku Sarika
Old
  (#21)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up thanku Sarika - 27th August 2015, 11:50 AM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Doston

Haar jeet maayne nahi rakhti, mayne rakhta hai ek parivaar ke sadasyon ka sehyog. Dil tootata hai pratiyogiyon ka jinhone dil o jaan se mehfil sajaayi hai aur un moderators ka jo apne keemati waqt mein se waqt nikaal kar SDC ke liye kuch karna chahte hain.

Kya yahan vote dena itna kathin hai? ya phir aapko koi bi iss layak nahi lagi ki aapka keemati vote kisi ko jaaye?

AAp logo se vinati hai ki agar aap yahan aa hi gaye hain aur mera message pad rahen hain to apna vote diye bina na jaayein.

Aur akhiri din ka intezaar karne ki koi zaroorat nahi, kya pata aap uss din masroof hon aur na aa paaayein...................

bahut sahi kaha tumne Sarika..................yeh message padkar to umeed hai sabko vote karna chahiye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#22)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
27th August 2015, 05:09 PM

bahut khoob Anu dear, tumhaara ye prayaas pasand aaya

yahaan sabse badi baat ye hai ki likhne waale ka pata nahi so nishpaksh ho jaata hai khel or jo dil ko achchha lage wahi chuna bhi jaata hai.

shukriya or bahut mubaraqbaad tumhaare is prayaas ke liye

Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
27th August 2015, 06:14 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
Bahut khoobbb

Sabhi ko mubarakbaad aur hausla afzaaii
Quote:
Originally Posted by Chaand View Post
bahut khoob Anu dear, tumhaara ye prayaas pasand aaya

yahaan sabse badi baat ye hai ki likhne waale ka pata nahi so nishpaksh ho jaata hai khel or jo dil ko achchha lage wahi chuna bhi jaata hai.

shukriya or bahut mubaraqbaad tumhaare is prayaas ke liye
Kshitij aur chand bhaiyya.

Bohut saalon baad aap dono ko SDC ke galiyaron mein dekh kar bohut khushi hui.

Ummeed hai aap dono ab yahan aate rahenge.

-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
27th August 2015, 09:48 PM

Waah.....dil khush hua aaj aap sab members ko yahaan dekhkar...aapne apna keemti vaqt nikalkar vote diya aur participants ka hausla badhaya iske liye aap sab ka bahut bahut shukriya.....
Sdc ki raunak banayein rakhiye...
Aate rahiyega.......

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
27th August 2015, 09:57 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Waah.....dil khush hua aaj aap sab members ko yahaan dekhkar...aapne apna keemti vaqt nikalkar vote diya aur participants ka hausla badhaya iske liye aap sab ka bahut bahut shukriya.....
Sdc ki raunak banayein rakhiye...
Aate rahiyega.......
Madhu aapne mere dil ki baat keh di. Sabka dil se aabhaari hoon.

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#26)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
28th August 2015, 11:09 AM

Quote:
Originally Posted by Chaand View Post
bahut khoob Anu dear, tumhaara ye prayaas pasand aaya

yahaan sabse badi baat ye hai ki likhne waale ka pata nahi so nishpaksh ho jaata hai khel or jo dil ko achchha lage wahi chuna bhi jaata hai.

shukriya or bahut mubaraqbaad tumhaare is prayaas ke liye

Chaand nazar aaya, dekho chaand nazar aay

Chaand ji....bahutttttttttttttttttttttttt accha lga aapko yahan dekh kar....ab roz aaya karna, phir se kisi badli meiN chup mat jana

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#27)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
28th August 2015, 01:21 PM

Sabhi participants ne qaabil-e-tareef likha hai. Itna achha ke kis ko vote kareiN aur kis ko nahi, kehna mushkil hai. sab ko mubarakbaad.
Mods ko bhi bohot bohot mubarakbaad jo itni mehnat kar rahe haiN.

Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
31st August 2015, 11:43 AM

Doston,

Aaj voting ka aakhri din hai, aap sabse guzaarish hai ki jald se jald aap apnaa keemti vote de aur apni pasand ke rachnaa ko jeetaane ki muqammal koshish karein....Voting will close by end of day today at 12 AM.

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#29)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
31st August 2015, 03:44 PM

All are good...but my vote goes to first one..looks like ek dum dil se kahe gaye alfaaz hain...

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#30)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
31st August 2015, 04:31 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
All are good...but my vote goes to first one..looks like ek dum dil se kahe gaye alfaaz hain...
shukriya zainy ji............

baki sab se bhi request hai ki aaj raat 12 baje se pahle apna vote apni manpasand tahreer ko dein..

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
1st September 2015, 10:17 AM

..sab betaab hain mast sahab...winner aanounce kijiye .....

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
TPT Results
Old
  (#32)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
TPT Results - 1st September 2015, 10:25 AM

Aziz doston........

Pehle to aap sabko is baar ke TPT par mubaarakbaad dena chahungaa aap sabke saath aur sehyog se aachi voting huyi hai.

aap sab ki participation aur voting se ye silsilaa bahut hi kaamyaab raahaa hai aur aap sab ne badh chadh ke hissa liyaa isme main aap sab ka behad shukrguzaar hoon.....

Saath hi saath haath jod kar un logon se mauufi bhi maangna chahunga jinhe maine votes dene ke liye kabhi bewaqt bhi pareshaan kiya

To mujhe bataate hue behad khushii ho rahii hai ke is baar ke TPT ka khitaab jinohe jeeta hai vo lagta vo koi aur nahi par humari beete mahine ki TPT winner hi hai

Masti ji

bahut bahut shubh kaamnaaen aur mubaarakbaad.......

saath hi saath maine baaki saathiiyon ke naam bhi mention kar diiye hain jinhone isme hissa liyaa hai....... sabhi ko bahut bahut badhaaii....

Umeed hai September TPT mein bhi aap sabka sehyog usi tarah milegaa jaise ki yaha milaa hai

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें

Last edited by Qasid; 1st September 2015 at 10:41 AM..
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#33)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
1st September 2015, 10:50 AM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Aziz doston........

Pehle to aap sabko is baar ke TPT par mubaarakbaad dena chahungaa aap sabke saath aur sehyog se aachi voting huyi hai.

aap sab ki participation aur voting se ye silsilaa bahut hi kaamyaab raahaa hai aur aap sab ne badh chadh ke hissa liyaa isme main aap sab ka behad shukrguzaar hoon.....

Saath hi saath haath jod kar un logon se mauufi bhi maangna chahunga jinhe maine votes dene ke liye kabhi bewaqt bhi pareshaan kiya

To mujhe bataate hue behad khushii ho rahii hai ke is baar ke TPT ka khitaab jinohe jeeta hai vo lagta vo koi aur nahi par humari beete mahine ki TPT winner hi hai

Masti ji

bahut bahut shubh kaamnaaen aur mubaarakbaad.......

saath hi saath maine baaki saathiiyon ke naam bhi mention kar diiye hain jinhone isme hissa liyaa hai....... sabhi ko bahut bahut badhaaii....

Umeed hai September TPT mein bhi aap sabka sehyog usi tarah milegaa jaise ki yaha milaa hai

shukriya mast ji...aur tpt august ki saflata ke liye apko bhi badhaiyaan.....

congratulationss and celebrationsss....
hey mubarak ho sarika dear....tumhari tahreer ki tareef ab kya karoon...vo to sab ke samne hee hai...aur sabko batana chahoongi ki tumne itne busy hone ke baad bhi itne kam vaqt mein itni sateek tahreer likhi thi... to madam masti....sdc ki shaan yoon hee banaye rakhiye...aa jaiye badhaiyaan lijiye....aur haan is baar party zaroor dena......
likhti raho aise heee.........
love you..

madhu.

Last edited by Madhu 14; 1st September 2015 at 11:03 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
1st September 2015, 11:49 AM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Aziz doston........

Pehle to aap sabko is baar ke TPT par mubaarakbaad dena chahungaa aap sabke saath aur sehyog se aachi voting huyi hai.

aap sab ki participation aur voting se ye silsilaa bahut hi kaamyaab raahaa hai aur aap sab ne badh chadh ke hissa liyaa isme main aap sab ka behad shukrguzaar hoon.....

Saath hi saath haath jod kar un logon se mauufi bhi maangna chahunga jinhe maine votes dene ke liye kabhi bewaqt bhi pareshaan kiya

To mujhe bataate hue behad khushii ho rahii hai ke is baar ke TPT ka khitaab jinohe jeeta hai vo lagta vo koi aur nahi par humari beete mahine ki TPT winner hi hai

Masti ji

bahut bahut shubh kaamnaaen aur mubaarakbaad.......

saath hi saath maine baaki saathiiyon ke naam bhi mention kar diiye hain jinhone isme hissa liyaa hai....... sabhi ko bahut bahut badhaaii....

Umeed hai September TPT mein bhi aap sabka sehyog usi tarah milegaa jaise ki yaha milaa hai

...........................................

congratulations masti ji.... you are well deserving for this title..

bahut bahut mubaarakbaad aapko TPT ki winner banne ke liye......

khush rahiye...

Shaad.........

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#35)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
1st September 2015, 12:24 PM

Shukriya SDC
Main kin lafzo.n mein aap sab ka shukriya adaa karun samajh nahi aa raha.Bas itna hi kahungi main bohut khush hu...............

Aur ek sach baat kahungi ki mujhe bilkul nahi lagaa tha ki meri iss mamooli si kavita ko in khoobsoorat ghazlon ke guldaste mein itna pyaar milega, jiske liye main aap sab ki abhaari hoo..

Ek ek ghazal seep mein moti ki tarah chamchamaa rahi thi.jiske liye main saare ummeedwaaro.n ko dil se mubaarakbaad deti hoon.

-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#36)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
1st September 2015, 12:31 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
shukriya mast ji...aur tpt august ki saflata ke liye apko bhi badhaiyaan.....

congratulationss and celebrationsss....
hey mubarak ho sarika dear....tumhari tahreer ki tareef ab kya karoon...vo to sab ke samne hee hai...aur sabko batana chahoongi ki tumne itne busy hone ke baad bhi itne kam vaqt mein itni sateek tahreer likhi thi... to madam masti....sdc ki shaan yoon hee banaye rakhiye...aa jaiye badhaiyaan lijiye....aur haan is baar party zaroor dena......
likhti raho aise heee.........
love you..

madhu.

Shukriya Madhu

jab aap jaise dost sath hon to har khushi dugni ho jaati hain.

AAjao party hi party hai jab aa jao tab hi party kar lenge.

-Apki Dost
Sarika

Last edited by masti; 1st September 2015 at 12:35 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#37)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
1st September 2015, 12:33 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
...........................................

congratulations masti ji.... you are well deserving for this title..

bahut bahut mubaarakbaad aapko TPT ki winner banne ke liye......

khush rahiye...

Shaad.........
Shukriya Shaad ji

Jab mere doston ko mera likha pasand aata hai to meri mehnat safal ho jaati hai.

Bohut khushi hui ye dekh kar ki aapko mera likha pasand aaya.

-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Mubarak ho !
Old
  (#38)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
Mubarak ho ! - 1st September 2015, 12:40 PM

Mubarak, mubarak, mubarak, mubarak..

dheroN mubarakbaad Sarika ji. Bohot he khuubsuurat likha hai aapne.
TPT forum aapka huaa..

Aapne to qabzaa kar liya iss par

Khuda kare zor-e-qalam aur tez ho.

Khair andesh

Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#39)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
1st September 2015, 01:46 PM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Mubarak, mubarak, mubarak, mubarak..

dheroN mubarakbaad Sarika ji. Bohot he khuubsuurat likha hai aapne.
TPT forum aapka huaa..

Aapne to qabzaa kar liya iss par

Khuda kare zor-e-qalam aur tez ho.

Khair andesh
Shukriya Sagar ji........

Sab aap logon ka prem hai.......

Khush rahiye.

-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Congratulations
Old
  (#40)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Love Congratulations - 1st September 2015, 03:31 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Aziz doston........

Pehle to aap sabko is baar ke TPT par mubaarakbaad dena chahungaa aap sabke saath aur sehyog se aachi voting huyi hai.

aap sab ki participation aur voting se ye silsilaa bahut hi kaamyaab raahaa hai aur aap sab ne badh chadh ke hissa liyaa isme main aap sab ka behad shukrguzaar hoon.....

Saath hi saath haath jod kar un logon se mauufi bhi maangna chahunga jinhe maine votes dene ke liye kabhi bewaqt bhi pareshaan kiya

To mujhe bataate hue behad khushii ho rahii hai ke is baar ke TPT ka khitaab jinohe jeeta hai vo lagta vo koi aur nahi par humari beete mahine ki TPT winner hi hai

Masti ji

bahut bahut shubh kaamnaaen aur mubaarakbaad.......

saath hi saath maine baaki saathiiyon ke naam bhi mention kar diiye hain jinhone isme hissa liyaa hai....... sabhi ko bahut bahut badhaaii....

Umeed hai September TPT mein bhi aap sabka sehyog usi tarah milegaa jaise ki yaha milaa hai

areee waaahhhhh kya itefaak hai MASTI winner hai aur MAST ji announce kar rhe hai...kya baat hai....es tarah winner ka khitaab miley to majja do-guna jayada ho jata hai

Pyari Sarika...TPT ka winner ban.ne par tumhe bahuttttttttt sari mubarakbaad pyar aur ashirwaad

lo muh meetha karo

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com