Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
tere situm ko main kaise bhooloon......
Old
  (#1)
damal
Registered User
damal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 102
Join Date: Jan 2003
Location: mumbai
Rep Power: 22
tere situm ko main kaise bhooloon...... - 17th February 2003, 12:12 PM

" mere khwabon ko, kisi ka intezar aaj bhi hai
jo apna tha hi nahi, usse pyar aaj bhi hai
ek ek zakhm tera, jo ab na bhula paoonga
tere zakhmon ke marham ka, talabgar aaj bhi ha

jub kabhi tere baad, qadmon ne sambhalna chaha
teri yadon ki zangeeren, qadmon se lipti aaj bhi hain
too hi bata duniya nayi, apni main basaoon kaise
jub teri tamannaon ke, ghumkhwar yahan aaj bhi hain

teri nazron mein to bus, ek chota sa chaman ujda hai
palat kar dekh to, is dil mein khinzan aaj bhi hai
tujhe main apna qatil, kahoon bhi to kaise kahoon
mere bejaan se is jism me, todhi si jaan aaj bhi hai

tune to mere naam se, apne naam ko mita daala
per tere naam ka alfaz, sama me jawan aaj bhi hai
bus tere naam lene pe, hazaar baar marta tha
yaqeen na ho to leke dekh, tujhpe jaan nisaar aaj bhi hai

yaqeen nahi hai magar, aaj bhi yeh lagta hai
meri talash me shayad, woh pyar aaj bhi hai
woh pyar jiske liye, "DAMAL" ne chod di duniya
wafa ki rah me ghayal, yeh rooh aaj bhi hai

ek baar phir thode alfazon ko samet kar kuch kehna chaha
hai, aur shayad kuch keh paaya hoon....
aage bhi yeh koshish jaari rahegi.........


Damal.
...........
kuch too hi mere dard ka mazmoon samajh le
hansta hua chehra to zamane ke liye hai

Last edited by damal; 17th February 2003 at 12:37 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Fanah....
Registered User
Fanah.... is on a distinguished road
 
Fanah....'s Avatar
 
Offline
Posts: 25
Join Date: Jan 2003
Location: infinite...
Rep Power: 0
17th February 2003, 12:45 PM

damal ji aap ne to is qayenaat ke her aashiq ka ghum keh dala..
kya khoob alfazon ko qaid kiya hai....
koi mane ya na mane pur is ko padhkar to main rone laga...
kaise aate hain aap ke khayalatn me aise sher...
kuch hamen bhi sikha deejiye...
bahot achcha likha hai aapne...
aise hi likhte rahiye......


Fanah.......
For her....
By her...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
damal
Registered User
damal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 102
Join Date: Jan 2003
Location: mumbai
Rep Power: 22
17th February 2003, 03:26 PM

shukriya fanah aap ne meri ghazal ko padhne ki zahmat farmayee iske liye main aap ko thanks kehta hoon...
lekin aap ko pehle nahi padha .. shayad aap naye shayar hain..
agar aap naye hain to aap ka welcome karta hoon main is
safar mein...
aur aap se achchi achchi ghazlon ki umeed rahegi....


Damal.
...........
kuch too hi mere dard ka mazmoon samajh le
hansta hua chehra to zamane ke liye hai
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tumhe kaise main bataun, tumhe kaise main kahu Praneeta Hindi/Urdu Lyrics 0 8th February 2009 04:04 PM
tere bin kaise jiya Rajan376 Pyaar Bhari SMS Shayri 0 7th February 2007 07:35 PM
Tere bin maiN kaise yuN JIYA...! KunaaL Hindi/Urdu Lyrics 2 1st September 2006 01:09 PM
Ghazal»» tere KHAT main jalata kaise KunaaL Ghazal Section 4 16th September 2005 01:27 PM
Ghazal »» tere KHAT main jalata kaise KunaaL Shayri-e-Dard 6 3rd November 2004 11:37 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com