Aaina -
20th August 2002, 07:15 PM
DostoN, ye ke sachhai hai, ham aksar dusroN ko sudharne ki nasihat karte haiN par khud hum kya haiN ye jaanne ki koshish nahi karte, mene thodi koshish ki to apni jo soorat man ke aaine me nazar aai usne mujhe ye kuch panktiyaaN likhne par majboor kar diya, jo aapke aage pesh kar raha hooN,
Aapke vichaaroN ka intzaar rahega.
Aaina
Ek roj aaina mujhse
YooNhi sawaal kar betha,
Tujhe apne aap par
Itna gomaan kyooN rehta hai,
Tu bhi to hissa hai is bheed ka
Khud ko juda kyoN kehta hai,
Tere bheetar bhi to ik haiwaan hai
Jise to sabse chupaata hai,
KyoN samajhta hai saadhu khud ko
Wilaas, lobh se sarabor to
Tu Bhi nazar aata hai,
Niti sangat baateN karta hai
Insaaniyat ke naare lagata hai,
Ke nazar apne garebaaN par bhi rakh
Kya wo tujhe itna saaf nazar aata hai,
Ey jamaane ko naseehat karne waale
ChehroN se insaanoN ko parhne wale,
Kabhi aaine se nazareN mila kar, dekh
Kya tujhe apne chehre par pada
Wo jhutha aavran (mask) nazar aata hai.
Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.
- Chaand
|