Tujko ab sochta hun mai to mujhko lagta hai ! -
9th June 2004, 09:13 AM
Dosto
aaj kuchh dil ke bejuban jajbaato ne fir se alfajo kee shakl ikhtiyar kar lee hai to unhi alfajo ko aapke samne pesh kar raha hun
Tujko ab sochta hun mai to mujhko lagta hai !
Ke jaise mere andar aasma sulagta hai !
Mujhe aksar tera chahra dikhai deta hai ..
Kahin bhi jab koi bachha udaas milta hai !
Mai kya karun tujhe bhulana bhi nahi aasan ..
Tera saaya sa mere saath saath chalta hai !
Dil mai jab bhi koi armaan sa machalta hai ..
Aansuon ke saath aankhon se bah nikalta hai !
Mai falak hun ‘anish’ tamam tare jakhm hain mere..
Aaftab dil hai mera roj yun hee jalta hai !
anish
tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!
:) anish.paliwal@gmail.com:)
|