Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Zaraa Khaamoshi Ko Maane Se Sajaa Loon To Kahoon
Old
  (#1)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
Zaraa Khaamoshi Ko Maane Se Sajaa Loon To Kahoon - 15th March 2006, 01:51 AM


Zaraa khaamoshi ko maane se sajaa loon to kahoon
Zaraa alfaaz ke quilon ko giraa loon to kahoon

Dhundhta hu pata uska jo lamho ko yun bayaan karein
Main zaraa lamhe ki israar ko paa loon to kahoon

Kissa-e-dard to aasaan hai magar dil taareek
Ik zaraa ashquon ki shammaa ko jalaa loon to kahoon

Kho gayi hai dilchaspiya bejubaan anjuman mai
Main bhi uss kasbaa-e-khaamosh main jaa loon to kahoon

Dard ko sher mai dhalne ka kareena to mile
Dard ko fikr ke sochon main samaa loon to kahoon

Yun to hoti ye jubaan sab k dardo ki davaa
Apne ghaavo ka marham isko banaa loon to kahoon

Zindagi apni to naasur si ban gayi hai yaaro,
Sukhe jakhmo se lahoo bahaa loon to kahoon

Aankhe benoor si ho gayi hai behte behte
Koi justzoo bhi agar in mai jagaa loon to kahoon

Jigar-e-afgaar ko ab jindagi mai kahi chain nahi
Shukun tanhaayion se apni churaa loon to kahoon

Mai khuddar hu teri rehmaton ka talabgaar nahi
Tere paon mai kabhi sar apnaa zukaa loon to kahoom



Last edited by acharya_mj; 15th March 2006 at 01:57 AM..
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
maien parhee bhee nahee hai
Old
  (#2)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
maien parhee bhee nahee hai - 15th March 2006, 07:03 AM

maine ye ghazal parhee bhee nahee hai aur jab tak tumhre imtehan nahee honge tumhree koyee shayree nahee parhoonga agar tum parhayee ke waqt se nikal ke shayree kar rahe ho to shayree bemanee hai. Aj ye to jan liya maien ki main tumhara koyee nahee aaj se jo dil main aye karana


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Pyar kahoon, junoon kahoon- kya hai WOH, sem Shayri-e-Dard 3 6th October 2005 06:50 PM
Maikada kahoon ya sharaab kahoon karan q Shayri-e-Sharaab 8 25th February 2005 01:02 PM
Khaamoshi suna di usne, phir se mujhe.... chaahat Shayri-e-Dard 8 31st July 2004 11:39 PM
jaane tun yaa jaane na, maane tun yaa maane na musafir Hindi/Urdu Lyrics 0 18th May 2002 11:03 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com