Bas Abhi Yahin Tak Pahunchi Hoon -
17th May 2006, 09:00 PM
usne poocha mujhse tu kahan hain
main bas itna keh paayi
bas abhi yahin tak pahunchi hoon
jazbaton ke samandar mein
jab bhi koi lehar aayi
mere dil ki kashti
kuch yun dagmagayi
doobte doobte sambhali
kitna baar main ladkhadayi
lehron ke sang behte behte
bahut door nikal aayi
aur jab usne poocha mujhse tu kahan hai
main bas itna keh paayi
bas abhi yahin tak pahunchi hoon
mujhe apna koi hosh nahin
door kisi desh mein nikal aayI
ajnabee se chehre dikhte hain sab
apna koi yahan dhoondhne chali aayi
koi mil jaye apna yahan
door takk maine nazar daudayi
kisi ke dil takk na pahunchi
aur mujhtakk wapas laut aayi
phir usne poocha mujhse tu kahan hai
bas itna keh paayi "wafa"
bas abhi yahin tak pahunchi hoon
tum sagar main bahut gahare utar gayee ho shayree ke us ne poocha aur tum ne kaha abs yaheen tak pahunchee hoon aur main kahata hoon tum bahut hee gahare chalee ayee ho shayree ek sagar main naz hai tum par
Anil
mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
Re: kahan tak chalee ayeen -
31st May 2006, 04:43 PM
Quote:
Originally posted by masoomshayer tum sagar main bahut gahare utar gayee ho shayree ke us ne poocha aur tum ne kaha abs yaheen tak pahunchee hoon aur main kahata hoon tum bahut hee gahare chalee ayee ho shayree ek sagar main naz hai tum par
Anil
abhi toh bahut door jana hai..abhi toh bas yahi tak pahunchi hoon...ye sach hai.......aapko pasand aaya mujhe acha laga
bahut shukriya
hi wafaa ji aap jab bhi likhti hai dhaardaar likhti hai
aap ke is safar mai ham sab dost hameshaa aap ke saath hai
aise hi likhti rahiyega
aye dost ham dete hai ye dil se duaaye
ke har safar mai tu apni manjil ko paaye
Agar raaste mai tere kabhi andhere aaye
to roshani ke liye khuda hamko jalaaye