Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Aaj to khushi manaungi
Old
  (#1)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
Aaj to khushi manaungi - 8th March 2016, 12:20 PM

Kuch waqt pehle tasweer par tehreer pratiyogita mein likhi is kavita ki yaad aaj women's day par aayi to socha isey aap logo ke saath bhi share kara jaaye.....



Aaj to khushi manaungi peele patto.n ke jhadne ki
Bade dino.n ke baad hai aaii himmat jag se ladne ki

Bohut hua suukhi shakho.n se girna, girkar ro padna
Meri zidd hai ab unche se uuncha parbat chadne ki

Bohut hua armaan kisi ke milne aur bichadne ka
Ab baari hai meri khud ke saath akele chalne ki

Mukh par patti baandh ke maine dard liye the kaii chupa
Mujhe ijaazat mili hai ab bulbul ke saath chehekne ki

Apno se khaaye dhoke tab, ye baat samajh mein aayi hai
Nahi zarurat mujhe kisi bhi gair ka haath pakadne ki

Nahi rukungi, nahi jhukungi, nahi darungi ab to main
Kasam hai khaai ab to maine pal pal aage badne ki




-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
8th March 2016, 12:59 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Kuch waqt pehle tasweer par tehreer pratiyogita mein likhi is kavita ki yaad aaj women's day par aayi to socha isey aap logo ke saath bhi share kara jaaye.....



Aaj to khushi manaungi peele patto.n ke jhadne ki
Bade dino.n ke baad hai aaii himmat jag se ladne ki

Bohut hua suukhi shakho.n se girna, girkar ro padna
Meri zidd hai ab unche se uuncha parbat chadne ki

Bohut hua armaan kisi ke milne aur bichadne ka
Ab baari hai meri khud ke saath akele chalne ki

Mukh par patti baandh ke maine dard liye the kaii chupa
Mujhe ijaazat mili hai ab bulbul ke saath chehekne ki

Apno se khaaye dhoke tab, ye baat samajh mein aayi hai
Nahi zarurat mujhe kisi bhi gair ka haath pakadne ki

Nahi rukungi, nahi jhukungi, nahi darungi ab to main
Kasam hai khaai ab to maine pal pal aage badne ki


Awesome. ..yakeen karogi...aaj subah hee soch rahi thi..ki sarika ko kahun ki ye poem post kare...aur abhi aayi to dekha wish poori bhi ho gayi......

Kamaal ke ehsaas hain...jab bhi padho ekdam taza...ekdam perfect...

Ek baar fir daad pesh hai...

Likhti raho....

Happy women's day....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com