Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
*~*Is bheed me bhi khud ko tanha paati hoon*~*
Old
  (#1)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
Post *~*Is bheed me bhi khud ko tanha paati hoon*~* - 21st October 2006, 04:38 PM

Aaj phir kaafi dino baad kuch likhrahi hoon yahan...umeed hai aap pasand farmayenge...khush rahiye..aabaad rahiye
----------------------------------------------------------------------


Seene me ek khalish si hai...jaane kyu dil dard ke samandar me pal pal dooba jaraha hai...jitna khud ko sambhalna chah rahi hoon utna hi yeh mujhe apne saath bahaaye le jaarahii hai...jin lehron ko kabhi mei khoobsurti ki nishaani maanti thi aaj unhi se wehshat ho chali hai....
------------------------------------------------------------------------------


Is bheed me bhi khud ko tanhaa paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon

Kya bigaada hai meine parwar digaar kaa
Har pal kuch aur khud ko badnaseeb paati hoon

Aarzu ki thi meine phoolon ke aashiyaane ki
Kyu harsu mein kaanton ki diwaarein paati hoon

Bahaut shauk tha mujhko zindagi jeene ka
Har pal bas maut ko ab main kareeb paati hoon

Is bheed me bhi khud ko tanha paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon...


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
21st October 2006, 05:54 PM

farhana ji adaab
aapki ye peshkas ke bare me kya kahu bas mujhe is peshaks me aapke dard bhare ehsas hi ehsas nazar aa rahe hai aapne jo likha hai wo ek ek line me dard mehsus hota hai badi hi mayusi si lagti hai ise padhke

khuda kare zindagi me aapke khusi ya aaye aur dard aapke hamesah dur rahe bas itna hi kahunga aapse main farhjana ji ke aapne apne ehsas ko badi hi achhi tarike se aapne bayan kiya hai ye ehsas hi hai jisse hum kuch likh sakte hai

aur ye ehsas hi hai jo hame sochne par majbur kar dete hai.....

apna kahyal rakhiye

aur khus rahiye

aapka dost
dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
22nd October 2006, 03:31 PM

dhaval..aapne mujhe padha aur pasand kiya yeh jaanke dil ko khushi hui...aapne mere dard ko samajhne ki koshish ki yeh mere liye bahaut badi baat hai kyunki is zamane ke log bade selfish hogaye hain..kisi ke baare mein sochne ki unhe fursat nahi rehgayi hai....aap aaye accha laga..shukriya aapka.


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
uske darbar se khali haat.........sheikh
Old
  (#4)
abdu.naz2004
abdu.naz2004
abdu.naz2004 is on a distinguished road
 
abdu.naz2004's Avatar
 
Offline
Posts: 33
Join Date: Feb 2007
Location: new delhi/hydrabad/cuttack/mysore
Rep Power: 0
Love uske darbar se khali haat.........sheikh - 13th February 2007, 01:34 PM

tere mehafil me na ayee to kiya hua.........
tere nazron ke samne to hum aayenge...........

khuda na chahe to kiya hua.........
khuda ke darbar mein to hum aayenge..........

tere nighaon ke pas hum khade to the...........
tere hansi dekh kar muskure to thee........

khuda ke darbar par hum aaye to the.........
khuda ki kudrati dekh kar hum roye to the.


salam masnoon aap ki dil awaz ka hum kadar kare b to kese
karen
jab sariyat a sheikh sarjamine hindustan
khali haat uske darbar se .......
  Send a message via Skype™ to abdu.naz2004 
Reply With Quote
hi
Old
  (#5)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 13th February 2007, 10:23 PM

How r u?
bohat acha lika hay. kah nahi sakta k ap k dard ko kistrah
samjha ja sakta hay magar itna janta hu k is dard main bohat maza ata hay
bohat maza. lekin dua phir b yehi hay k ap ko kabhi koi gham nahi mile.
take care
khan


banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
(v day)ke din dewana tere liye zikre khuda mein........
Old
  (#6)
abdu.naz2004
abdu.naz2004
abdu.naz2004 is on a distinguished road
 
abdu.naz2004's Avatar
 
Offline
Posts: 33
Join Date: Feb 2007
Location: new delhi/hydrabad/cuttack/mysore
Rep Power: 0
Love (v day)ke din dewana tere liye zikre khuda mein........ - 14th February 2007, 07:00 PM

aaj b diwana tere intezar me hoga.........
tere liey zikre khuda me hoga..........

sare mehfil gulab ke dast se chhaya hoga,,,,
us mehfil me tera yaad use rulya hoga.
  Send a message via Skype™ to abdu.naz2004 
Reply With Quote
Old
  (#7)
abdu.naz2004
abdu.naz2004
abdu.naz2004 is on a distinguished road
 
abdu.naz2004's Avatar
 
Offline
Posts: 33
Join Date: Feb 2007
Location: new delhi/hydrabad/cuttack/mysore
Rep Power: 0
14th February 2007, 07:09 PM

hi dost kiya a b zindegi

haar to hamari hogi par jeet se b peyari hogi

aap kese ho sheikh new delhi se
  Send a message via Skype™ to abdu.naz2004 
Reply With Quote
Old
  (#8)
TariqAhmadAzmi
Registered User
TariqAhmadAzmi will become famous soon enough
 
TariqAhmadAzmi's Avatar
 
Offline
Posts: 386
Join Date: Oct 2006
Location: Lucknow
Rep Power: 18
Post 15th February 2007, 10:08 PM

Quote:
Originally Posted by farhana View Post
Aaj phir kaafi dino baad kuch likhrahi hoon yahan...umeed hai aap pasand farmayenge...khush rahiye..aabaad rahiye
----------------------------------------------------------------------


Seene me ek khalish si hai...jaane kyu dil dard ke samandar me pal pal dooba jaraha hai...jitna khud ko sambhalna chah rahi hoon utna hi yeh mujhe apne saath bahaaye le jaarahii hai...jin lehron ko kabhi mei khoobsurti ki nishaani maanti thi aaj unhi se wehshat ho chali hai....
------------------------------------------------------------------------------


Is bheed me bhi khud ko tanhaa paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon

Kya bigaada hai meine parwar digaar kaa
Har pal kuch aur khud ko badnaseeb paati hoon

Aarzu ki thi meine phoolon ke aashiyaane ki
Kyu harsu mein kaanton ki diwaarein paati hoon

Bahaut shauk tha mujhko zindagi jeene ka
Har pal bas maut ko ab main kareeb paati hoon

Is bheed me bhi khud ko tanha paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon...
Farhana Ji ko humara salam.

Bahut achaa likha hai aapne
Derd se agar derd mil jaaye to usee humderd kahten hain hai na?...
Jawab ye 4 line pash hai.. Daad chahunga...

Zindagi tujh se har ek saans me samjhota karon,
shoke jeene ka hai mujhko magar itna to nahi.
Chahat me maine tujhko majhi ke sahare,
Mahsos Tujhe kiya hai dekha to nahi.


Khush rahe or apna kyaal rakhee
Take care
SHAAN
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Merul
Registered User
Merul will become famous soon enoughMerul will become famous soon enough
 
Merul's Avatar
 
Offline
Posts: 1,008
Join Date: Feb 2006
Location: India (Surat)
Rep Power: 21
16th February 2007, 11:15 AM

hi farhana ji

aaj aapko pehli baar padh raha hu kyuki mein ye samajta tha ki dard section mein kya jana par aaj yaha aake dekha to aap jaise kai dost hai jo sach mein dil ko chhu jane wali rachna likhte hai
aapne bahut hi achchha likha hai
aaj aaapki is rachna ko deri se padha hai par aapki hi rachna ne aankho ko hi nahi dil ko bhi chhua hai
jo log aapko dekh ke mukarte the aaj unka bhi sir juka hai

aaapki rachna ka javab mein har baar ki tarah shayri se dena pasand karuga


Is bheed me bhi khud ko tanhaa paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon

Mit gaye hai sab zakham,
Bas nishan baki reh gaya,
Saza puri ho gayi yaaron,
Karna gunah baaki reh gaya.


Kya bigaada hai meine parwar digaar kaa
Har pal kuch aur khud ko badnaseeb paati hoon

Har insaan ka achcha nasib nahi hota,
Har insaan khusiyo ke kabil nahi hota,
Kuch ese bhi he jo patein hain mohabbat,
Har insaan muj jaisa badnasib nahi hota.


Aarzu ki thi meine phoolon ke aashiyaane ki
Kyu harsu mein kaanton ki diwaarein paati hoon

Gum sataye to muskurana,
Isi aarzu se usko harana,
Zindagi bhi banegi kuch aur dilkash,
Har dard ko sine se lagana.


Bahaut shauk tha mujhko zindagi jeene ka
Har pal bas maut ko ab main kareeb paati hoon

Chale bhi aao ki hum tumse pyaar karte he,
Ye wo gunah he jo hum baar baar karte he,
Log maut tak hi dilbar ki raah takte he,
Hum he ki kabr me aapka intezaar karte he.


aapke javab ka hamein intezaar rahega
aapka dost
Merul

Quote:
Originally Posted by farhana View Post
Aaj phir kaafi dino baad kuch likhrahi hoon yahan...umeed hai aap pasand farmayenge...khush rahiye..aabaad rahiye
----------------------------------------------------------------------


Seene me ek khalish si hai...jaane kyu dil dard ke samandar me pal pal dooba jaraha hai...jitna khud ko sambhalna chah rahi hoon utna hi yeh mujhe apne saath bahaaye le jaarahii hai...jin lehron ko kabhi mei khoobsurti ki nishaani maanti thi aaj unhi se wehshat ho chali hai....
------------------------------------------------------------------------------


Is bheed me bhi khud ko tanhaa paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon

Kya bigaada hai meine parwar digaar kaa
Har pal kuch aur khud ko badnaseeb paati hoon

Aarzu ki thi meine phoolon ke aashiyaane ki
Kyu harsu mein kaanton ki diwaarein paati hoon

Bahaut shauk tha mujhko zindagi jeene ka
Har pal bas maut ko ab main kareeb paati hoon

Is bheed me bhi khud ko tanha paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon...


!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!





Dhoka diya tha jab tumne mujhe,
Tab dil se me naraz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal du,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.


Merul~~~~~~~~~~>
  Send a message via Yahoo to Merul  
Reply With Quote
........
Old
  (#10)
Dard-e-sush
Registered User
Dard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the rough
 
Dard-e-sush's Avatar
 
Offline
Posts: 605
Join Date: Jul 2003
Location: Moscow, Russia
Rep Power: 23
........ - 5th October 2007, 05:11 PM

Hey Farhana

Where are you..........

Susheel


लब पे मुस्कान को लिए ऐ दोस्त, काँधों पे लाश अपनी ढोते हैं,
इस भरे शहर में हम Dard-e-Sush, जो न पाया उसे भी खोते हैं!

lab pe muskaan ko liye ae dost, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Bheed logon ki hata do, ki mein zinda hoon abhi -. shalini_singh Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 7th July 2010 11:21 PM
Bheed logon ki hata do, ki mein zinda hoon abhi Zakhmi_Dil Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 12th August 2008 12:01 PM
bhari bheed me bhi tanha ho gaya dilip200 Shayri-e-Dard 17 29th September 2006 11:42 AM
bheed saja kar tanha hoon.... sameer'shaad' Shayri-e-Dard 14 29th March 2006 11:39 AM
bheed logoN ki hata do, ki meiN zinda hooN abhi Neha Haroon Shayri-e-Ishq 1 28th March 2003 11:12 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com