DostoN ek baar phir apne hi khayaaloN ka taana-baana...aap sabhi ke saamne pesh kar raha hooN...sochta hooN ise kya kahooN..koi ghazal ya kavita ki tachnicalities to nahi isme...bas...ek tukbandi si keh sakta ho.
Mai or mera Yaar
Ek khaamosh sard-dhundhli si shaam
Mai or mera yaar phir ek saath,
Kuchh apne hi khayaaloN me khoye se
JubaaN bhi khaamosh or jeboN me haath,
Phir kuchh sochkar meine san.naate ko toda
Or chubhta hi sahi vyang sa ek teer chhoda,
Ek umr hui Bachpan gujaare
Per jawaani ka koi mousam nazar nahi aaya,
Log kehte haiN..mohobbat ki bhi umr aati hai
Per abtak …kisi ne darwaja nahi khatkhataya,
Wo mujhe dekhkar, pehle to kuchh muskuraaya
Phir bolne se pehle chehra, kuchh gambheer banaya,
Achanak tum ye kya…rog laga baithe..!
Ya aaj tumbhi…subhe hi ‘charha’ baithe?
MOHOBBAT..ye apne khelne ke khilone KahaaN
Or tum ye nawaabi shauk bhi, aajmaa baithe,
Ey Dil….Zara hosh me aao
Ye waqt in bekaar ki baatoN me na gaNwaao,
Ghar me CHOOLHA kal se thanda pada hai
Uski khaatir kuchh lakdiyaaN jutaao,
Sunder chehroN se dil lagaane me
Bas…mohobbat keh ke muskurane me,
Ye jindagi gujar nahi jaati
Romaani se geetoN ko gungunaane me,
Mohobbat me KAD ko kuchh uthana padta hai
Bataane or jataane ka hunar kamaana padta hai
Gar kaheen hausla ban bhi gaya bataane ka
To Jataane ke saadhan kahaaN se jutaaoge?
Mai Sone-Chaandi ki baat nahi karta
Per sirf Mohobbat se bhi to pet nahi bharta,
Socho jise itna tootkar chaahoge
Kya Khule aasmaan ke neeche..use CheethroN me sulaaoge?
Mann to baawla or naadaan hai
Wo tumhe baadloN ke jahaaN me le jaayega,
Apne khwaaboN ko kuchh sankuchit banaao
Unhe apne daayroN me rehna sikhaao!
Mai apne yaar ko dekhkar muskuraaya
Pheeka hi sahi…Apna aaswaasan dohraaya,
Are ..! hame kahaaN kisi se dil lagaana tha
Ye to bas…baat chhedne ka ek bahaana tha,
Mai apni ‘Jameen’ per hi khush hooN, ey dost
Bas is ‘Chaand’ ko, mere aasmaan per na chhana tha.
Chaand
*DostoN se anurodh hai ki ye sirf khayaalat haiN so parheN per..dil se na lagaaeiN.
