Quote:
Originally Posted by Hamdam
Yaad karun vo pehla din jab main mela dekhan aya,
bhant bhant ke log dekh ke mera man ghabraya.
Is anokhi bheer dekh kar main roya aur chillaya,
Godh utha ke tabhi maan ne mujh ko gale lagaya.
Peeth thapa ki jhula jhula kar mera jee bhalaya,
Thak gaya jab khel khel ke Lori ga mujhe sulaya.
Jab bhi phasa bhawar mein Apno ne haath baraya,
Bhure bhale ka bhed bata kar Guru(teacher) rah dikhaya.
Samay ke chalte sangani mili jo mera pariwar banaya,
Guzri yun Zindagi Jagte sote na jane kab burapa aya
Guzar gaya jab wakt safar ka Ruksat ka wakt bhi ayA,
Apno ne ashru se vida kar merA photo deevar sajaya.
Is tarah se yaaron maine jeewan ka safar nibhayA,
Pheeche mur kar dhund raha hun main kab mela dekhan aya.
|
Waaaaaaaaah....kya baat hai sanjay ji.......
Bohat khoooooooooob.....
Too good....