bazeecha-e-atfaal... -
8th August 2010, 02:27 PM
aadaab dosto,
Ghalib Sahaab ka yeh sher mere dil ke bahot kareeb hai..jab bhi padhta hun aisa lagta hai ab kisi aur ko kuch kehne ki zaroorat nahi..ek gustaakhi kar raha hun..uss sher ke khyaal ko ek aur sher se kehna chahunga..
bazeecha-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage
woh hai jo usse hi ukkta gaye haiN 'Ghalib'
woh hai jo karte haiN dikhaawa mere aage
duaoeN ke saath,
aapka dost,
Pradhyuman - Bismil
-------------------------------------------------
gore ghareeban hai ye 'bismil', kyun tu naashaad nazar aata hai?
musht-e-khaak hai basi yahan, bata kahan fuwaad nazar aata hai?
--------------------------------------------------
|