Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
lamhe shab-e-furqat ke (Ghazal)
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
lamhe shab-e-furqat ke (Ghazal) - 3rd September 2015, 06:31 AM

aadaab hazreeN,


taaza Ghazal agle hafte post karooNga, yeh koi 13-14 saal puraani Ghazal hai jo sau-fee-sadi iski asl soorat meiN phir se post kar raha hooN, ladakpan ka asar alfaaz se bi zaahir ho raha hai aur lehje se bhi phir bhi kisi kaam ki ho shaayad, mula'iizaa farmaiiye :


har Gham meiN mere shaamil, ye chaaNd sitaare haiN
lamhe shab-e-furqat ke, gin gin ke guzaare haiN!

ab ishq ke zaKhmoN kaa, Gham kaise kareiN saahib
mittii meN cHupe chehre, ashqoN ne niikhaare haiN

aiisey meN ghariiboN kii, kashtii ka khudaa haafiz
toofaan ne gheraa hai, aur door kinaare haiN!

tuu rooTh gayaa mujh se, Gham is ka naheeN koi!
Gham hai ki tire gesoo, GhairoN ne saNvaare haiN!

phailii haiN meri baaheN, vo dauR ke aate haiN
kyaa mere tasavvur meiN, shaadaab nazaare haiN!

is bazm-e-haseenaaN meiN, is jashn-e-chiraaGhaaN meiN
kyooN ham ko koi poochhe? TooTe huye taare haiN!!!

yooN palkeN miri nam haiN, kuchh bi to nahiiN dikhtaa
yuN ashq tire Gham ne, aaNkhoN meiN utaare haiN

maanaa ke rahe rooThe, maiiyaT pe to aaye haiN
ab kuchh to kaho "maikash" vo paas tumhaare haiN


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
3rd September 2015, 09:08 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab hazreeN,


taaza Ghazal agle hafte post karooNga, yeh koi 13-14 saal puraani Ghazal hai jo sau-fee-sadi iski asl soorat meiN phir se post kar raha hooN, ladakpan ka asar alfaaz se bi zaahir ho raha hai aur lehje se bhi phir bhi kisi kaam ki ho shaayad, mula'iizaa farmaiiye :


har Gham meiN mere shaamil, ye chaaNd sitaare haiN
lamhe shab-e-furqat ke, gin gin ke guzaare haiN!

ab ishq ke zaKhmoN kaa, Gham kaise kareiN saahib
mittii meN cHupe chehre, ashqoN ne niikhaare haiN


aiisey meN ghariiboN kii, kashtii ka khudaa haafiz
toofaan ne gheraa hai, aur door kinaare haiN!

tuu rooTh gayaa mujh se, Gham is ka naheeN koi!
Gham hai ki tire gesoo, GhairoN ne saNvaare haiN!

phailii haiN meri baaheN, vo dauR ke aate haiN
kyaa mere tasavvur meiN, shaadaab nazaare haiN!

is bazm-e-haseenaaN meiN, is jashn-e-chiraaGhaaN meiN
kyooN ham ko koi poochhe? TooTe huye taare haiN!!!

yooN palkeN miri nam haiN, kuchh bi to nahiiN dikhtaa
yuN ashq tire Gham ne, aaNkhoN meiN utaare haiN

maanaa ke rahe rooThe, maiiyaT pe to aaye haiN
ab kuchh to kaho "maikash" vo paas tumhaare haiN



rab raakha
maikash


Maikash ji....aapki yeh gazal maine pehle bhi padi hue hai aur aaj bhi esko padkar wahi ehsaas hai jaise pehli baar padne par thy, aapki kalam se nikla hua aik aik sher khud apni kahani kehta hai, highlight kiye hue sher to bas poochiye mat ki kadar dil ke kareeb rhe. bazm meiN aate rha kijiye, aapke aane se bazm meiN nikhaar aa jati hai

rabb raakha


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
3rd September 2015, 10:08 AM

waah behad umda ghazal hai maikash ji....share karne ka bahut bahut shukriya

Aate rahiye....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
3rd September 2015, 02:15 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab hazreeN,


taaza Ghazal agle hafte post karooNga, yeh koi 13-14 saal puraani Ghazal hai jo sau-fee-sadi iski asl soorat meiN phir se post kar raha hooN, ladakpan ka asar alfaaz se bi zaahir ho raha hai aur lehje se bhi phir bhi kisi kaam ki ho shaayad, mula'iizaa farmaiiye :


har Gham meiN mere shaamil, ye chaaNd sitaare haiN
lamhe shab-e-furqat ke, gin gin ke guzaare haiN!

ab ishq ke zaKhmoN kaa, Gham kaise kareiN saahib
mittii meN cHupe chehre, ashqoN ne niikhaare haiN

aiisey meN ghariiboN kii, kashtii ka khudaa haafiz
toofaan ne gheraa hai, aur door kinaare haiN!

tuu rooTh gayaa mujh se, Gham is ka naheeN koi!
Gham hai ki tire gesoo, GhairoN ne saNvaare haiN!

phailii haiN meri baaheN, vo dauR ke aate haiN
kyaa mere tasavvur meiN, shaadaab nazaare haiN!

is bazm-e-haseenaaN meiN, is jashn-e-chiraaGhaaN meiN
kyooN ham ko koi poochhe? TooTe huye taare haiN!!!

yooN palkeN miri nam haiN, kuchh bi to nahiiN dikhtaa
yuN ashq tire Gham ne, aaNkhoN meiN utaare haiN

maanaa ke rahe rooThe, maiiyaT pe to aaye haiN
ab kuchh to kaho "maikash" vo paas tumhaare haiN


rab raakha
maikash
maikash ji adaab !! ashaar kahne ka fan is aap bahut khoob jante hain jiska andaza aur lutf sabhi shayad yahaN sabhi uthaate haiN apki aur apki fikro fan ke aage mere alfaaz ...??...us din bhi chup tha our aaj bhi chup huN ...sher dar sher Sirf DhairoN daad..!! saadar !!
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
4th September 2015, 06:48 AM



MaikasH sahib ko nacheez ka adaab !


Kamaal ki ghazal hai saahb.

yeh 13-14 saal puraani ho kar bhi itni maturity bhari hai, jawab nahi.

yeh teen asha'ar bohot khaas lage:


tuu rooTh gayaa mujh se, Gham is ka naheeN koi!
Gham hai ki tire gesoo, GhairoN ne saNvaare haiN!


yooN palkeN miri nam haiN, kuchh bi to nahiiN dikhtaa
yuN ashq tire Gham ne, aaNkhoN meiN utaare haiN

maanaa ke rahe rooThe, maiiyaT pe to aaye haiN
ab kuchh to kaho "maikash" vo paas tumhaare haiN


Ijaazat talab.


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th September 2015, 10:31 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab hazreeN,


taaza Ghazal agle hafte post karooNga, yeh koi 13-14 saal puraani Ghazal hai jo sau-fee-sadi iski asl soorat meiN phir se post kar raha hooN, ladakpan ka asar alfaaz se bi zaahir ho raha hai aur lehje se bhi phir bhi kisi kaam ki ho shaayad, mula'iizaa farmaiiye :


har Gham meiN mere shaamil, ye chaaNd sitaare haiN
lamhe shab-e-furqat ke, gin gin ke guzaare haiN!

ab ishq ke zaKhmoN kaa, Gham kaise kareiN saahib
mittii meN cHupe chehre, ashqoN ne niikhaare haiN

aiisey meN ghariiboN kii, kashtii ka khudaa haafiz
toofaan ne gheraa hai, aur door kinaare haiN!

tuu rooTh gayaa mujh se, Gham is ka naheeN koi!
Gham hai ki tire gesoo, GhairoN ne saNvaare haiN!

phailii haiN meri baaheN, vo dauR ke aate haiN
kyaa mere tasavvur meiN, shaadaab nazaare haiN!

is bazm-e-haseenaaN meiN, is jashn-e-chiraaGhaaN meiN
kyooN ham ko koi poochhe? TooTe huye taare haiN!!!

yooN palkeN miri nam haiN, kuchh bi to nahiiN dikhtaa
yuN ashq tire Gham ne, aaNkhoN meiN utaare haiN

maanaa ke rahe rooThe, maiiyaT pe to aaye haiN
ab kuchh to kaho "maikash" vo paas tumhaare haiN


rab raakha
maikash

Maazrat khwaah hooon taakheer ke liye bade bhai....... na jaane kin haalaat me ye nageena nazar se chook gayaa..... behad aalaa kareegaree farmaayee hai aapne huzoor aur kin khoobsurtee se kalaam ke sher ko nakkaasha hai ke bas kyaa kahne......
behad inaayat inhe hamaare saath baantne ke liye...... aage bhi aapki aalatareen kalaam ka hame intzaar rahegaa......

shukriyaa tahe dil se..... duaaon me yaad rakhiyegaa..

shaad.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
4th September 2015, 10:29 PM

maikash jee bahut umda rahi aapki yeh ghazal
likhte rahen
duaon ke saath


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
5th September 2015, 05:31 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Maikash ji....aapki yeh gazal maine pehle bhi padi hue hai aur aaj bhi esko padkar wahi ehsaas hai jaise pehli baar padne par thy, aapki kalam se nikla hua aik aik sher khud apni kahani kehta hai, highlight kiye hue sher to bas poochiye mat ki kadar dil ke kareeb rhe. bazm meiN aate rha kijiye, aapke aane se bazm meiN nikhaar aa jati hai

rabb raakha
bohat shukriya Sunita jee,

jee maiN jaanta hooN, aapke ilaawa puraane aur naye dostoN ne shayad hi yeh Ghazal pehle padhi ho

aap puraane dinoN ki saathi haiN aur itne saaloN se,ba-qaayda, mujh na-ehl ka hauNslaa badhaati aayi haiN jiske liye maiN aapka shukriya adaa jina bhi karne ki koshish karooN, kam hoga

ba-har-haal farz ka taqaaza hai ke rasman maiN aapka shukurguzaar ho kar dikhaauN to jee shukriya dil ki aakhir teh se qabuul farmaaiye aur ummeed karta hooN ke aage bhi aapka saaTh youN hi milta rahega


rab raakah
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#9)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
5th September 2015, 05:32 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
waah behad umda ghazal hai maikash ji....share karne ka bahut bahut shukriya

Aate rahiye....
bohat shukriya Madhu jee

maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Bohat khoob!
Old
  (#10)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Bohat khoob! - 7th September 2015, 09:01 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab hazreeN,


taaza Ghazal agle hafte post karooNga, yeh koi 13-14 saal puraani Ghazal hai jo sau-fee-sadi iski asl soorat meiN phir se post kar raha hooN, ladakpan ka asar alfaaz se bi zaahir ho raha hai aur lehje se bhi phir bhi kisi kaam ki ho shaayad, mula'iizaa farmaiiye :


har Gham meiN mere shaamil, ye chaaNd sitaare haiN
lamhe shab-e-furqat ke, gin gin ke guzaare haiN!

ab ishq ke zaKhmoN kaa, Gham kaise kareiN saahib
mittii meN cHupe chehre, ashqoN ne niikhaare haiN

aiisey meN ghariiboN kii, kashtii ka khudaa haafiz
toofaan ne gheraa hai, aur door kinaare haiN!

tuu rooTh gayaa mujh se, Gham is ka naheeN koi!
Gham hai ki tire gesoo, GhairoN ne saNvaare haiN!

phailii haiN meri baaheN, vo dauR ke aate haiN
kyaa mere tasavvur meiN, shaadaab nazaare haiN!

is bazm-e-haseenaaN meiN, is jashn-e-chiraaGhaaN meiN
kyooN ham ko koi poochhe? TooTe huye taare haiN!!!

yooN palkeN miri nam haiN, kuchh bi to nahiiN dikhtaa
yuN ashq tire Gham ne, aaNkhoN meiN utaare haiN

maanaa ke rahe rooThe, maiiyaT pe to aaye haiN
ab kuchh to kaho "maikash" vo paas tumhaare haiN


rab raakha
maikash

Maikash Bhai

Kya khoob ghazal share ki hai aapne. Lutf aa gaya.

yooN palkeN miri nam haiN, kuchh bi to nahiiN dikhtaa
yuN ashq tire Gham ne, aaNkhoN meiN utaare haiN

waah kyaa baat hai!

Khaksaar
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#11)
Pradhyuman
'Bismil'
Pradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant future
 
Pradhyuman's Avatar
 
Offline
Posts: 773
Join Date: Mar 2006
Rep Power: 38
11th September 2015, 07:13 PM

waah Maikash sahaab..kya kehne...hum to aapke fann ke ek arse se muriid rahe hain. dil se nikli houi daad kubool kijiyega. yeh do sher khaas pasand aaye.

ab ishq ke zaKhmoN kaa, Gham kaise kareiN saahib
mittii meN cHupe chehre, ashqoN ne niikhaare haiN

maanaa ke rahe rooThe, maiiyaT pe to aaye haiN
ab kuchh to kaho "maikash" vo paas tumhaare haiN


Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab hazreeN,


taaza Ghazal agle hafte post karooNga, yeh koi 13-14 saal puraani Ghazal hai jo sau-fee-sadi iski asl soorat meiN phir se post kar raha hooN, ladakpan ka asar alfaaz se bi zaahir ho raha hai aur lehje se bhi phir bhi kisi kaam ki ho shaayad, mula'iizaa farmaiiye :


har Gham meiN mere shaamil, ye chaaNd sitaare haiN
lamhe shab-e-furqat ke, gin gin ke guzaare haiN!

ab ishq ke zaKhmoN kaa, Gham kaise kareiN saahib
mittii meN cHupe chehre, ashqoN ne niikhaare haiN

aiisey meN ghariiboN kii, kashtii ka khudaa haafiz
toofaan ne gheraa hai, aur door kinaare haiN!

tuu rooTh gayaa mujh se, Gham is ka naheeN koi!
Gham hai ki tire gesoo, GhairoN ne saNvaare haiN!

phailii haiN meri baaheN, vo dauR ke aate haiN
kyaa mere tasavvur meiN, shaadaab nazaare haiN!

is bazm-e-haseenaaN meiN, is jashn-e-chiraaGhaaN meiN
kyooN ham ko koi poochhe? TooTe huye taare haiN!!!

yooN palkeN miri nam haiN, kuchh bi to nahiiN dikhtaa
yuN ashq tire Gham ne, aaNkhoN meiN utaare haiN

maanaa ke rahe rooThe, maiiyaT pe to aaye haiN
ab kuchh to kaho "maikash" vo paas tumhaare haiN


rab raakha
maikash


-------------------------------------------------

gore ghareeban hai ye 'bismil', kyun tu naashaad nazar aata hai?
musht-e-khaak hai basi yahan, bata kahan fuwaad nazar aata hai?
--------------------------------------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
12th September 2015, 10:55 AM

Quote:
tuu rooTh gayaa mujh se, Gham is ka naheeN koi!
Gham hai ki tire gesoo, GhairoN ne saNvaare haiN!
Qayaamat hai saahab .. koi nayi baat nahi.. par andaaz-e-bayaan kahan se kahan le gaya is baat ko .. meri taraf se mubaarak baad aapko is baat ko is tareeke se kehne ke liye .. khyaal rakhiye apna

Sifar


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#13)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
29th September 2015, 02:38 AM

Quote:
Originally Posted by Harash Mahajan View Post
maikash ji adaab !! ashaar kahne ka fan is aap bahut khoob jante hain jiska andaza aur lutf sabhi shayad yahaN sabhi uthaate haiN apki aur apki fikro fan ke aage mere alfaaz ...??...us din bhi chup tha our aaj bhi chup huN ...sher dar sher Sirf DhairoN daad..!! saadar !!
aadaab Harsh bhai,


aap ek arsey se mujh nalaayiq ka hauNsla badhaate aaye haiN aur aapki muhabbatoN ka karz mujh par kayi barsoN se hai, aapki faraaKh-dill hai jo kisi qaabil samajhte haiN vagarna maiN to mere liye to yeh baaNvre mann ka shor hi hai


daad ke liye behadd mashkoor hooN bhai aapka


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com