waise uper kayi jagah padha .. ki insaan change nahi hua... pehle koi ye batayega.. ki insaan akhir liya kise jaa raha hai ... uski rooh ko ya jism ko ... jaise buland saahab ne umra ka hawaala diya to baqs ne kaha umra change hui insaan nahi ... chalo maana umra change hui .. par physical changes bhi to aaye.. tabhi to wo jo 1 foot ka bhi nahi tha kabhi 6 foot tak jaa pahuncha.. ab har saal kya change hua.. JISM , ya UMRA ya dono... dono hue to Umra to insaan nahi ho sakti .. JIsm zaroor ho sakta hai ... to kya change hua .. InsaaN hi shayad ..
Phir Buland jee ne sehat ka hawaala diya to sameer bhaai ne keh diya .. SEHAT change hui insaan nahi... Ab sehat rooh ki to ho nahi sakti .. aur agar insaan jism hai to insaan change hua... is liye pehle ye decide karo ki insaan ki baat ho rahi hai .. ya tabiyat ki .. ya dono ki .. ya kisi ki nahi ..
ya aise leN .. insaan ki tabiyat kharaab thi .. aur ab insaan ki tabiyat theek ho gayi .. aur agar ye awkward lage to phir jaise maine poocha waise pooch lena ... KAISE HO.....!