Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
“Khuda zalim ke saath hai”
Old
  (#1)
Dard ki daastan
Registered User
Dard ki daastan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 43
Join Date: Feb 2003
Location: U.S.A
Rep Power: 0
Thumbs down “Khuda zalim ke saath hai” - 14th April 2003, 07:41 PM

“Khuda zalim ke saath hai”

Hamesha uski haar main meri haar shamil thi
Magar aaj hamain maar kar w oh khushi ke paas hai
Meri wafaon ka khoon karke
Khusiyon ka jaam bhi uske haath hai
Aaj w oh kehta hain mujhse
Kyon khuda ka khauff ho, “khuda to mere saath hai”
Aaj tak jo hai liya tujhse maine
Meri chalaki hi nahin, khuda ka bhi is.me saath hai
Ab to haalat yeh hai
Hum bahut pareshaan hain
Humain hi lagta hai, paap humne kiya
Aur “punye” uske haath hai
Shayad isii liye khuda hamain nazar aata nahin
Aur hamain yeh ehsaas hai
Zaroor khuda usii zalim ke saath hai
Duniya ke baad sirf bharosa tha khuda pe
Magar aaj yeh bhi to ehsaas hai
Ho na ho w oh sahi kehta hai
Zaroor khuda usii zalim ke saath hai


Doston...pyar ki baatain na karo

Guzare hain mohabbat main aise mukaam se
Nafrat si ho gayi hai mohabbat ke naam se

Jai Mata Di
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
15th April 2003, 10:05 PM

Wah daastan ji,

Khayaal khoob pesh kiya hai aapne..shayad khuda ki is yug mein zaalim hi ibaadat karte hain.

Likhte rahiye
Varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
damal
Registered User
damal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 102
Join Date: Jan 2003
Location: mumbai
Rep Power: 22
16th April 2003, 12:41 PM

Dard mujhe hairani hoti jub koi apna dard zahir karta hai aur
phir use padh kar uski tareef karta hai....
dard main janta hoon ki aap ke dil ko kitna gahra zakhm diya
hai usne magar khuda ko hi dosh dena sahi baat nahin hai...kyon
ki is jahan mein shaitan ka bhi wajood hai...aur jub kisi ke
dimagh pur shaitan hawi ho jata hai to use apne aur paraye
ka farq mahsoos nahi hota...Dard isiliye main aap se kahoonga
ki jo hota woh achche ke liye hota hai...jubki main ise khud nahin manta....kyon ki dard kisi baat ko samjhne ki qoowat khatm kar
deta hai.... phir bhi main usko dosh nahin deta....

kyon ki......

kuch to mujbooriyan rahin hongi
uoonhi koi bewafa nahin hota...

purana sher hai pur bahot sateek hai......

aise hi likhte rahiye....
Allahhafiz....


Damal.
...........
kuch too hi mere dard ka mazmoon samajh le
hansta hua chehra to zamane ke liye hai
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Dard ki daastan
Registered User
Dard ki daastan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 43
Join Date: Feb 2003
Location: U.S.A
Rep Power: 0
16th April 2003, 07:49 PM

shurkriya Varinder ji.

-----------------------------------------------------------------------------------
Damal ji. Sabse pehle aapka shukria karna chahungi. main aapke comments se kuch-kuch sehmat hoon. yeh, such hai ke mujhe khuda se naraaz nahin hona chahiye kyonki ek woh hi hai, jo mushkil bhi saath de jaaye. Aur haan, aapki baat bahut sahi hai ke "shaitaan ka bhi wajood hai" magar maine socha ki bhagwan shaitaan se upar hai...well, Khuda mera imtihaan le raha hai...magar mujhe wishwaas hai ke jeet meri he hogi.

Magar aapne jo kaha ke "kuch to mujbooriyan rahin hongi
uoonhi koi bewafa nahin hota..."
is..se main sehmat nahin hoon. kyon...?
"Us..se nazar na koi aur aaya duniya main
Kya reh gaya tha yahi dil dillagi ke liye"

Damal ji, hum to unhe maaf kar dete, agar kuchh majbooriyan rahi hoti. magar unhone to hamara istemaal kiya, jine ke liye. ji..se hum umar bhar na bhool payenge.

Shukria dost.


Doston...pyar ki baatain na karo

Guzare hain mohabbat main aise mukaam se
Nafrat si ho gayi hai mohabbat ke naam se

Jai Mata Di
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
zalim sanaji Shayri-e-Ishq 1 22nd March 2008 10:01 AM
zalim............ shahab_e_saqib Shayri-e-Ishq 1 23rd November 2006 06:18 PM
Khuda Ne Mere Saath Yeh Kaisa Insaaf Kiya Junior_Ghalib Shayri-e-Dard 0 21st December 2005 11:52 AM
Zalim *AALISHAN* Shayri-e-Ishq 0 13th July 2005 02:20 PM
Zalim RICKY_DIL_SE Shayri-e-Sharaab 1 27th May 2002 06:54 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com