Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > Informative Stories

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Vikshipta Nritya
Old
  (#1)
jahhan
Registered User
jahhan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 9
Join Date: Oct 2013
Rep Power: 0
Vikshipta Nritya - 10th October 2013, 11:58 PM

Vikshipta Nritya


@all right reserved




Nadi K Pani Mein Bahot Dur Samne Suraj Dubne Laga Tha ... SarSarati Hui Hawa Jaise Kuchh Nashe Mein Dubi Paglai Si Alhad Navyuwati Si Vishva ki Deh Par Shararate Karti Si Lag Rahi Thi …. Antatah Us MadVyagr Pavan Pravah Nein Jaise Us Ko Moh Liya …. Usne Apne Dono Hath Hawa Mein Uthaye Aur Jaise Pavan Prawah K Sath Bah Raha Ho Daudta Chala Gaya …. Ghat K Upar Wale Teele Ki Uchai Se Wo Jaise Hawa Mein Tairta Hua Nadi Kinare K Ret Mein Pahuncha …. Achanak Hi Uske Dono Pair Jaise Ret Nein Tham liye … Wo Jaha Tha Wahi Jaisa Tha Waisa Hi Sakat Ho Gaya ….. Uski Bahe Waise Hi Faily Rahi … Ankhe Band Rahi …. Kuchh pal U Hi Bite …. Aur Fir Jaise Usne Hawao mein Kuchh Suna …. Kuchh Bada Pyara … Ek Naad EK Gunj Ek Naad …. Ek Purn Prakritik Sangeet …. Uska Badan Jagah Jagah Se Thirakane Laga ….. Bahot Ajib Ajib Tarike Se Wo Apne Har Ang Ko Jhatke Dene Laga Aur Sharir Ko Todne Marodne Laga …. Wo Jo Bhi Kar Raha Tha Wo Andekha Tha … Naya Tha … Ajib Tha … Nachne Jaisa Kuchh Tha … Kabhi wo bahot Gati Mein Age Badhta .. Kabhi Jaise Jad Ho Jata Aur Uska Sharir Tufano Mein Tej Hawao Mein Jhumte Nachte Vriksho Phoolo Ki Tarah Mast Hokar Jhumne Lagta ….. Kabhi Aisa Lagta Jaise Hawao Nein Use Utha liya Kabhi Aisa Lagta Jaise Hawao Use Gira DIya Kabhi Lagta Hawao Nein Use patak Diya … Kabhi lagta K wo Hawao Ko Chum raha Hai … Kabhi Lagta Wo Hawao Se Prem Kar Raha Hai … Ruth Raha Hai Mana Raha Hai …… Har Bhav Har Bhangima … Andekhi …. Ajib …Magar Prabhavshali …. Koi Dekhta To Aisa Lagta k Wo Nach Nahi Raha Balki Dekhne Wale K Hriday Ko Hatho Mein Le K Daba Sahla Raha Tha …. Kabhi Dekhne Walo K Roye Roye Sihar Uthte … To KAbhi Unka Kan Kan Anandmay Ho Jata …..


Wo Jaise Hi Ghat K Teele Se Kinare Par Bhaga Tha …. Jaha se Wo Bhaga Tha …. Waha EK Halka Sa Ujale Ka Ghera Bana Aur Usme Se Ek Lamba Vridhdh Vyakti Bahar Aya ….Ascharyajanak Rup Se Uski Manshpeshiya Kisi Navyuva Ki Bhati Sampusht Thi …. Dheer Prajjaval Mukh …. Bhav Bhangima Kuchh Vitrishna Purn Thi …. Safed Dhoti Salike Se Pehni Hui Khule Vistrit Vaksh Ko Shobhayman Karta Yajnopavit …. Badi Badi Garimamay Shunyaleen Ankhe …. Vishal Ucha Chauda Matha ….. Pure Deh par Bade Bade Kale Roye … Sar K Kesh Jatao Mein Parivartit Ho kar Kandhe Aur Vaksh Par Bikhre Pade They …. Hath Mein Uske Kad Se Bhi Ucha Danda ….


Wo Agni Saman Ugra Jvallant Tatha Daiviya Abhamay Tha ….. Wo Dev Saman Purush ..Vishmay Fatit Drishti Se Apalak Sthir Khada Vishva Ke Pagalpan Ko Dekh Raha Tha ….. Lagta Tha Jaise Kisi Adrishya Rahasya Ko Drashtavya Hote Dekh Raha Tha …. Achambhit Tha ….. Achanak Hi Uske Mukh Mandal Par Vishad Purn Bhav Dikhne Lage Aur Usne Ek Vishadpurn Nishvash Bhari Antatah Usne Nritya K NiGudh Bhavo Ko Samajh Liya Tha …Adbhutt... Swatah Hi Uske Hotho Se Nikla ....Tabhi Kisi Nein Unki Bhujao Ko Sparsh Kiya ….. Unhone Achambhit Ho Sparsh Karta Ko Dekha …. Ek Garimamay Gyansidhdh Sa Dikhta Bramhan Tatha Uske Kuchh Sangi Jo Sab Usi K Jaise DIkhte They Sab Usi Ki Taraf Dekh Rahe They …. Usne Prashnsuchak Drishti Bhangima Prakat Ki …


Mahashay Brmhan Nein Sascharya Kaha … Ye Kaun Hai …. Aur Kya Kar Raha Hai ?


Vridhdh Nein Palat Kar Vishva Ka Vikshipt... Nritya Dekha …. Fir Palta …. Aur Gambhir Ojasvita Purn Swar Mein Bola …. Mere Bete Ka Dimag Kharab Ho Gaya Hai …. Pagal Hai …. Aise Hi Anap Shanap Uchhalta Bhagta Rehta Hai …. Dhyan Rakhna padta Hai … Kahi Kuchh Ahit Na Kar Le ….


Ohhhh Mahashaya Bramhan Nein Gahan Dukh Vyakt Kiya …. Pas Hi Maharshi Ashram Hai … Nishulk Upchar Hota Hai …. Aur vaidhya Bhi Bade Jane Mane Hai …. Awashya Hi Aapke Bete Ko Theek Kar Denge


Sab Jagah Dikhaya ….. Kehte Hai … Janmjat Hai …. Avikasit Hai …. Koi Upchar Sambhav Nahi ….


Ohhhh Mahashaya Bramhan Nein Dukh Prakat Kiya …. Fir Muskura Kar Bole …. Bhagwan Bhole Nath Ki Sharan Lijiye …. Awashya Hi Theek Ho Jayega


Ab To Unhi Ka Asra Hai pandit Ji ….. Aage Ishvar Iksha …. Unhone Apne Hath Naman Ki Mudra mein Jode


Pandit Ji Nein Unki Awastha Tatha Abha Ko Dhyan Mein Rakhte Hue Pratyutar Mein Naman Kiya … Aur Vishva Ki Taraf Dekh Kar Ashirvachan Kahe "Kalyan Ho" …. Aur aage Badh Gaye ..


Wo Garimamay Dev Unhe Jate Dekhta Raha …. Fir Wapas Palta …Vishva Ab Pehle Se Kahi Adhik Vikshiptavastha Mein Ankhe Munde Nritya Mein Magan Tha …. Wo Garimamay Dev Fir Vishva Ke Hriday Vidaran Nritya Mein Leen Ho Gaye ….. Achanak Hi Punah Kisi Nein Unki Bhuja Ko Sparsh Kiya … Parantu Is Baar Na Hi Wo Chakit Hue …. Na Hi Unhone Mud Kar Dekha … Wo Is Sparsh Ko Bhali Bhati jante They …… Unhi Ki Bhati Ek Daiviya Parantu Stree Kaya Unhi Ki Bhanti Shunya Se Prakat Hui Thi ….


Do Pal Pratiksha Karne K baad Stree Nein Ulahana Dete Krudhdh Swar mein Kaha …. Mera Beta Pagal Hai ? Uska Upchar Sambhav Nahi …? Hummmnnnn …..

Antatah Un Garimamay Dev Ko Un Daviya Stree Swarup Ki Or Mudna Hi Pada …. Unke Vishadpurn Mukh Mandal Par Ek Mand Smit Kaundhi
Devi yadi Main Brmahn Dev se Ye Batata K Aap Ka Putra Prakrity K Sangit Par Vayu K Taal Par Apna Akroshit Nritya Kar Apne Dukh … Apne Ashantushti Ko Pradarshit Kar Raha Hai …. Prem Tatha Santvana Ki Yachna Kar Raha Hai …. Mrityu Ki Kalpana Premika K Rup Mein Kar Uske Alingan Mein Sukh Ki Anubhuti kar Raha Hai …. To Vishvash Kijiye Devi …. Wo Brmhan Dev Avashya Hi Aapke Pati Tatha Putra Dono Ko Hi Vikshipt Mante …. Abhi Kam Se Kam Dono Mein Se Ek Ki Vyakhya Budhdhiman Mein To Awashya Hogi …..


Wo Garimamay Stree Unke Uphas Ko Samajh …. Krodhit Si Hokar Boli ….. Ye Vasundhara Tatha Sab Manujo Ka Bhagya Hai K Vishva Yaha Hai ……

Kintu Hamare Putra Ka Durbhagya Hai K Woy Yaha Hai .....Unka Praytutar Unke Antar Ki Vyatha Ko Vyakta Kar Gaya ...


Wo Garimamayi Un Dev K Krodh Ko Unke Dukh Ko Anubhut Kar Vinamra Tatha Santvanapurn Ho Gayi ….Vishva Nein Apne Marg Ka Apni Yatra Ka Apne Gantavya Ka Chunav Swayam Kiya Hai ….


Astya Hai Ye ….. Un Garimamay Ka Swar Katu Ho Gaya …. Usne Kewal Hamari Iksha Ka Samman Kiya Hai …. Jo Hamne Chaha K Wo Kare Usne Kiya …. Jo Apne Chaha K Wo Kare Usne Kiya …. Kyu Ki Apne Aisa Chaha …… Unhone Spasht Krodh ka Pradarshan Kiya …. Un Garimamay Ka Astitva Jis Parkar Shunya se Pragata Tha … Usi prakar Shunya Mein Parivartit Ho Gaya Tha …..


Un Garimamayi Nein Ek Gahri Swash Bhari …. Aur Ab Tak Vikshipt Nritya … Karte Vishva Ko Dekhte Hue Atyant Hi Pida-purn Mand Kintu Spasht Swar Mein boli …
Vishu …… Kya Hua …. Mere Bete …… ??


Vikshipt Ho Ankhe Munde Nachte Vishva Nein Chauk Kar Ankhe Kholi Uska Nritya Anvarat Chalta Raha Aur Usne Vyagra Bhav Se Charo Taraf Dekha …. Koi Nahi Tha ….. Kahi Koi Nahi Tha ….. Wahi Tha Bas Wahi Akela Tha …… Achanak Se Jaise Uski Swans Tut Gayi Aur Wo Jaha Tha wahi Se Palat Kar Mukh K Bal Gira … Uske Ghutne Mude Aur Dono Hath Ret Mein Dhas Gaye …. Apne Hi Pasine Mein Nahaya Hua Vishva …. Jaise Tut Kar Fusfusaya …. “Maaahhhh”…. Aur Uske Galo Se Jo Ek Bund Tapka wo Pasina Nahi Balki Uska Anshu Tha …..


Upar Teele Par Khadi Stree Nein Jaise Chauk Kar Kisi Anisht Ki Ashanka Mein Apne Hath Uthaye Jaise Kuchh pakdane Ka Prayatn Kar Rahi Thi …. Parantu Unhe Der Ho chuki Thi …. Unki Hatheliya Khali Thi ….. Aur Unke Netra Vishfarit …….. Ohhh Ohhhh .... Ye Kya Anarth Ho Gaya ......


[Date 16th Of June2013] …Theek Usi Samay Kuchh Palo Baad ……. Himalay Ki God Mein Behti Ek Nadi Mein Kuchh Bahot Bada Sa Tut Kar Gira Aur Achanak Se Jaise Koi Badal Fata Aur Pani Ki Lagbhag 10 Meter Uchi Ek Lahar Uthi Jo Apne Pichhe Kahi Khatam Hone Ka Naam Hi Nahi Leti Thi …..


[Date 17th of June 2013] …Bhor Ka Samay …… Ek Mandir Jaisa Kuchh …. Charo Taraf Bhid Bhad …. Hajaro Ki Sankhaya Mein Log … Chhoti Badi Imarto Ka Ek Samooh …… Har Har Mahadev …. Jay Bholenath …. Jay Kedar Nath ….. Achanak HI Se Jaise Maut Fat padi Aur Sab Tinko Ki Tarah Ukhadte Bahte CHale Gaye ….. Mandir pani Mein Dub Raha Tha ….. log Bina Chikhe Chilaye Hi pani Ki God Mein Maut Ki Nind So gaye They .


Wo Sari Rat Takiye Par Pith Sataye Samne Diwal Ko Ghurta Raha ….. Uski Ankho Se Tut Tut Kar Anshu Ki Bunde Uske Galo Par lakir Banati Ja rahi Thi … Aur Shayad Use Iska Abhash Hi Nahi Tha .... Wo To Bas Apne Hi Socho Mein Gum Tha …. Bhor Ho Chali Thi ….. Rat Bhar Rah Rah Kar Barish Hoti Rahi thi … Abhi bhi Pani Ruka Nahi Tha …..



Wo Sari Rat Takiye Par Pith Sataye Samne Diwal Ko Ghurta Raha ….. Uski Ankho Se Tut Tut Kar Anshu Ki Bunde Uske Galo Par lakir Banati Ja rahi Thi … Aur Shayad Use Iska Abhash Hi Nahi Tha .... Wo To Bas Apne Hi Socho Mein Gum Tha …. Bhor Ho Chali Thi ….. Rat Bhar rah Rah Kar Barish Hoti Rahi thi … Abhi bhi Pani Ruka Nahi Tha …..

Achanak se jaise nind se Bojhil Ho Uski ankhe Mund Gayi … par wo Soya Nahi tha …. Wo jag raha Tha ….
Usne Dekha Nadi K Teele Par Ek chhota 8 ya9 varshiya Balak Khada Tha …. Uske Bagal Mein Ek Uchi Garimamayi purntah Dhawal Vastra Dharan Kiye Atyant Sundar Daiviya Stree Uska Hath Thame Khadi Thi ….. Usne Dekha Nadi Ka pani Uske Pairo K Thora Niche Se Bah Raha Tha …. Use Ascharya Hua Abhi Kuchh Der Pehle To Pani Niche Ghat Par Tha Ye Achanak Se Pani Itna Upar Kaise AA Gaya … use Bhay Hua K Pani Aur Upar Aa Gaya Tab wo KYa Karega ..… Usne Hath Thame Us Garimamayi Ki Taraf Dekha …..Grimamayi Nein Uske Bhavo Ko Samajh Mand Smit Ho Santvanapurn Ho Use Utha Kar USke Mastak Par Chuma ... Aur Use Khud Se Sata liya .... Vishva Nein Apne Sar US Garimamayi K Kandhe Par Tek DIya .... Aur Vishva Ki Ankhe Mundti Chali Gayi ...... Sab Bhay Vyakulta Asantushti Vyatha Sab tirohit Ho Gaya .... JAise Nischint Ho Kar Usne Swayam Ko Sab Niyantran Se Mukt kar Us Abhutpurva Surksha Tatha Prem K Sagar Mein Swayam Ko Dub Jaane Diya /\ Aur Wo Gahre Dhasta CHala Gaya ....

Last edited by jahhan; 11th October 2013 at 12:07 AM..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com