Quote:
Originally Posted by madishanu
Yoon hi aksar main bewajah ab....
aasmaan dekha karta hoon....
.
Nahi milti tu iss jahaan mein shayad tabhi....
woh jahaan dekha karta hoon.......
.
Yoon toh nahin milta tera pata laakh dhundu phir bhi....
ab aankhein band karke tujhe main meri jaan dekha karta hoon.....
.
Laakhon duaa-en ki hain khuda se tujhko paane ki........
ab un duaa-on ko hote kurbaan dekha karta hoon......
.
Yoon hi aksar main bewajah
ab aasmaan dekha karta hoon.........
|
achchhe khayaalaat haiN...
ek behad khubsurat kalaam pesh kiya hai
daad qbul kijiye....
Adil