waah waaah bahot hi sunder panktiyaaN likhi hain aapne Madhu saahiba.....
ab mujhe yaqeen hone laga hai ke aapki mehnat zoron shoron se ho rahii hai.... aapka kalaam kaafii had tak rawaani yaani ke flow me hai...... bahot hi acchii aur dil se nikli hui kavitaa lag rahi hai ye..... likhtii raheN, merii duaaen hain aapke saath....

Shaad....
Bahut bahut shukriya shaad ji..bahut khushi huyi ki aapko meri koshish pasand aayi..yoon hi sath dete rahiyega....
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
Maine ki thi khata haan ye.
Tum kyon uska malaal karte ho..
Mohabbat tumko na ho jaye..
kyon mera itna khyaal karte ho
adat ban gayi ab ye mushkile meri..
kyon khud zindgi bawaal karte ho.
Mujhe mera farz samjhaane wale..
Bhagte duniya se tum kamaal karte ho.
Rang jazbaat ka nahi padta feeka..
Ghahra isko saal dar saal karte ho.
Jab bhi tum ye sawaal karte ho..
Mere dil ka vo haal karte ho.
Behad khoobsurat khayal aur aashaar. Bahut khoobsurati se aapne sab kashmakash keh daali hai aur mujhe bahut pasand aayi. Meri dil se daad kubool kijiye, yunhi likhti rahiye.
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
Behad khoobsurat khayal aur aashaar. Bahut khoobsurati se aapne sab kashmakash keh daali hai aur mujhe bahut pasand aayi. Meri dil se daad kubool kijiye, yunhi likhti rahiye.
Aaj ye kavita achanak yaad AA gayi...Aur yahaan aayi to dekha aapka shukriya ADA nahi kiya Maine....
Thank u so much Pulkit.....
Aate raho...
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..